Idhar ham le ke dil meN khwaahish e deedaar baiThe haiN.

by Ghulam Haider on October 09, 2013, 03:48:22 AM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 1610 times)
Ghulam Haider
Guest
«Reply #15 on: October 12, 2013, 07:14:56 PM »
Reply with quote
Bahut badhiya Haider jee
maqta khoob kaha aapne
dil mubarakbaad
Pasand karne, daad o mubaarakbaad se navaazne aur tashveeq ke liye tah e dil se shukr guzaar hooN aap ka. Hamesha khush raheN
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
chori ka maal chalta hain kya idhar by arsenmen in SMS , mobile & JOKES
Chupaye baithe hain by CoolGirl in Shayeri for Dard -e- Bewafai
AAJKAL AAP KE DEEDAAR KAHAAN MILTE HAIN .........HASAN by F.H.SIDDIQUI in Miscellaneous Shayri « 1 2 3  All »
Hum Un Par Mare Baithe haiN by nishi gahlaut in Shayri for Khumar -e- Ishq
Chupaaye Baithe Hain... by Daastaan Goh in Shairi - E - Zindagi
Ghulam Haider
Guest
«Reply #16 on: October 12, 2013, 07:24:11 PM »
Reply with quote
Haider sahaab ... Taareef ke liye alfaaz awwal to mil naheen rahe hain aur agar milte bhi to kaafee n hote ... bas itna kahoonga ki aap ke qalaam ne bas dil fateh kar liya hai ... aap ko is beintehaa khoobsurat ghazal par bahut bahaut mubaarakbaad ..


Bhai jis moHabbat aamez aur pur khulooS andaaz se aap ne mere kalaam ko saraha hai us ka shukriya adaa karne ke liye mere paas alfaaZ nahiN haiN. Allah aap ka martaba buland kare, tah e dil shukr guzaar hooN aap ka.
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #17 on: October 12, 2013, 07:27:59 PM »
Reply with quote
waah waah waah waah waah bohut khub dear bohut umda
hukriya HuZoor, aap ki tavajjoh mere kalaam par huie aur aap ne daad se navaza.Aap ki mehrbaani hai.
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #18 on: October 16, 2013, 04:47:27 AM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP
Waaaaaaaaah Haider saab kya khoooooooooob likha hai aapne... behad umda ghazal kahi hai aapne... sabhi ashaar dil ko choo gaye... is khoobsurat kalaam par hazaron hazaron dili daad qubool kijiye..
Aap ko sab se pehle Eid ki bohot bohot mubaarakbaad!. Is mubaarak din meN aap ke liye dua'a go hooN ke Allah aap ko hamesha shaad o aabaad rakhe, dunya o aakhirat meN apni raHmat, maghfirat aur barakaat se navaaze. Kalaam ko pasand karne aur daad e sitaaish ke liye aap ka sipaasguzaar hooN.
Logged
parinde
Guest
«Reply #19 on: October 17, 2013, 05:40:45 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #20 on: November 02, 2013, 03:51:37 AM »
Reply with quote
lajawaaab...
A’jab si kaifiyat hai jab se ham ne un ko dekha hai,
Kiye har dam tamannaa e lab o rukhsaar baiThe haiN.
============================================
Na kahiye is ko gar deewaangi to aur kya kahiye,
Ham un ke dwaar, apna chhoR kar gharbaar baiThe haiN.
============================================
Na dil apna na na fikr apni na hosha apna na baat apni,
Mili haiN un se kya naZreN ke sab kuchh haar baiThe haiN
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Janaab aap ne ghazal ke Haseen tareen asha'ar ka intekhaab kiya hai. Aap ka intekhaab bhi qaabil e daad hai. Is navaazish ke liye aap ka shukrguzaar hooN.
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #21 on: November 02, 2013, 04:01:45 AM »
Reply with quote
KaheN kya aik pal ki bhi hiameN furSat nahiN lekin,
Zamana ye samajhta hai ke ham bekaar baiThe haiN.

Na kahiye is ko gar deewaangi to aur kya kahiye,
Ham un ke dwaar, apna chhoR kar gharbaar baiThe haiN.

Jo koie pooch hi baiTha ke kya karte ho, keh deNge,
Hai tapti dhoop, zer e saaya e deewaar baiThe haiN.

Jo ham soey to sun ai chaarahgar tera buraa hoga,
Samajh le Theek haiN jab tak bhi ham bedaar baiThe haiN.


WAAH WAAH BOHUT KHOOB HAIDER SAHAB UMDA BAYANI
ApplauseApplauseApplauseApplauseApplauseApplauseApplauseApplause
Sahal ji mujhe be hadd khushi hui ke aap ne mere kalaam se hasb e zauq asha'ar ka intekhaab farmaya. Kalaam ko pasand karne aur daad e taHseen se navaazne ke liye banda e na cheez tah e dil se shukr guzaar hai.
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #22 on: November 02, 2013, 04:04:59 AM »
Reply with quote

nice,sir
I'zzat afzaaie ke liye mamnoon hooN.Allah aap ko shaad o aabaad rakhe.
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #23 on: November 02, 2013, 04:51:35 AM »
Reply with quote
nice ashaar hain ,....bohat c daad,.............
Shukriya laaiba ji. Aap ki daad ke liye aap ka shukr guzaar hooN.
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 08:26:19 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer