ik din jab tumne ye kaha tha

by tabassum shakeel on June 27, 2006, 02:01:41 PM
Pages: 1 2 [3] 4 5 6
ReplyPrint
Author  (Read 6425 times)
badnaam_shayar
Guest
«Reply #30 on: July 06, 2006, 04:15:25 PM »
Reply with quote
Quote from: "tabassum shakeel"
ik din ka ye gussa tera
mere poore dil pe chhaya
mera dil kya mera dil hai
ye ab tera hi sarmaaya
tum jo ham se khush na rahoge
 ham to khud ko pasand nahi hain
tumne kaha to hamne socha
shayed ham bhi kuch achche hain
ab to khud se chid aati hai
aisi bhi kya main hun buri si
tum sa achcha rootha mujhse
tumne kabhi ye ham se kaha tha
main tumko achchi lagti hun
aaj main tum se khud  kahti hun
main bilkul bhi achchi nahi hun.................


Kya baat hai...Wah Tabassum ji

Yoon tera khud ko Gunhegaar kehna mujhe bhi satata hai.....
Aise na kaha karo khud ke baare me harr Lafz mujhe tadpata hai.....!!!!!!!!
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #31 on: July 06, 2006, 04:58:51 PM »
Reply with quote
shukriya  bs
Logged
shayar_dildaar
Guest
«Reply #32 on: July 06, 2006, 07:32:41 PM »
Reply with quote
cool going!!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #33 on: July 07, 2006, 02:42:45 AM »
Reply with quote
bahut khub Tabassum ......... Usual Smile
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #34 on: July 07, 2006, 05:46:56 PM »
Reply with quote
Quote from: "shayar_dildaar"
cool going!!!

sd ji aap ka honsala likhva deta hai reaaly thanx :lol:
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #35 on: July 07, 2006, 05:48:05 PM »
Reply with quote
thanx ranju dear
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #36 on: July 08, 2006, 01:00:23 PM »
Reply with quote
ek aur raat jo mujhko mili hai teri jaagi aankho ki
ye meri jageer bani hai tujhko main ab kaise kahun
soch ke ab main heraan hun aisa bhi kya hota hai
jab mujhko koi dard hua to tu vahan na sota hai
pahli baar tujhe dekha hai khwab nahi vo haqeeqat thi
sirhane par tu baitha tha chonk ke main uth bathi thi
tera sweater  mujhe chua tha rang hara sa tha uska
main to sach me dar si gai thi par tu dekhke hansta tha
Logged
shayar_dildaar
Guest
«Reply #37 on: July 08, 2006, 02:56:26 PM »
Reply with quote
Nice as usual...
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #38 on: July 08, 2006, 04:35:52 PM »
Reply with quote
very gud tabssum ji ...& sd ji nice support............

 tum kaho na kaho, per sun chuka hoon mai
 teri dil ki aahat ko ,tere labo ki chahat ko.......
 
us aag ko mehssos kiya hai maine
 jisme jal rahi hai,hum dono ki ruhe ek saath
bina kisi chingari ke ,naa hi hai dhua koi
phir bhi bhadak raha hai yeh shola
dono ke tan mai,is pagal man mai.........

ek tuk ghur rahe hai  mujhe tere nain
 aur unme uthte anginat sawal
 meri aankhon se jawab paa rahe hai
mil rahe ho jaise sadiyo baad hum
kuch yu ye pal tarsa rahe hai.......

phir tu hi bata kis tarah
tujhse door rahu main
chaha hai tujhe jaan se bhi jyada
kaise tujhse kahu main
per ye chahat ki ghadiya sab raaj khol rahi hai
kyunki ankhein bol rahi hai ....haan ankhein bol rahi hai .

....................@fahi@.......................
Logged
shayar_dildaar
Guest
«Reply #39 on: July 09, 2006, 02:14:25 AM »
Reply with quote
Tabassumjii likhiye aap..Faahi bhi acha likhta hain...
Aap dono ek saath likhiye...Main issliye support karta hu becoz when I had started writing very few used to support me..I feel k kuch support mein likhenge toh writer ko acha lagta hain...Josh banaye rehta hain!!! :D  :D
Quote from: "purani_jeans_aur_guitar"
very gud tabssum ji ...& sd ji nice support............

 tum kaho na kaho, per sun chuka hoon mai
 teri dil ki aahat ko ,tere labo ki chahat ko.......
 
us aag ko mehssos kiya hai maine
 jisme jal rahi hai,hum dono ki ruhe ek saath
bina kisi chingari ke ,naa hi hai dhua koi
phir bhi bhadak raha hai yeh shola
dono ke tan mai,is pagal man mai.........

ek tuk ghur rahe hai  mujhe tere nain
 aur unme uthte anginat sawal
 meri aankhon se jawab paa rahe hai
mil rahe ho jaise sadiyo baad hum
kuch yu ye pal tarsa rahe hai.......

phir tu hi bata kis tarah
tujhse door rahu main
chaha hai tujhe jaan se bhi jyada
kaise tujhse kahu main
per ye chahat ki ghadiya sab raaj khol rahi hai
kyunki ankhein bol rahi hai ....haan ankhein bol rahi hai .

....................@fahi@.......................
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #40 on: July 09, 2006, 04:22:51 AM »
Reply with quote
thanx sd ji aapke support ke liye main samjhati hun aapki baat aur sahi bhi hai aapke honsale ki vajah se hi likha jaata hai its very diffcult to write with out support thanx........ Usual Smile
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #41 on: July 09, 2006, 04:35:10 AM »
Reply with quote
Quote from: "purani_jeans_aur_guitar"
very gud tabssum ji ...& sd ji nice support............

 tum kaho na kaho, per sun chuka hoon mai
 teri dil ki aahat ko ,tere labo ki chahat ko.......
 
us aag ko mehssos kiya hai maine
 jisme jal rahi hai,hum dono ki ruhe ek saath
bina kisi chingari ke ,naa hi hai dhua koi
phir bhi bhadak raha hai yeh shola
dono ke tan mai,is pagal man mai.........

ek tuk ghur rahe hai  mujhe tere nain
 aur unme uthte anginat sawal
 meri aankhon se jawab paa rahe hai
mil rahe ho jaise sadiyo baad hum
kuch yu ye pal tarsa rahe hai.......

phir tu hi bata kis tarah
tujhse door rahu main
chaha hai tujhe jaan se bhi jyada
kaise tujhse kahu main
per ye chahat ki ghadiya sab raaj khol rahi hai
kyunki ankhein bol rahi hai ....haan ankhein bol rahi hai .

....................@fahi@.......................


thanx faahi aur aap to achcha hi likhten hain hamesha

meri qismat me hain raaten jaagi hui aur roi hui
tumko kya batlaun meri qismat hai bas soi hui
doori ka na mujhe gila tha door tha kab tu dil me tha
saare gile tujhko hi hue hain kahta nahi hai tu mujhse
mera to bas ik sachcha dil rog bana hai aaj mera
tu na mane to na mane maine tujhko dekha tha
door hi jaana tha gar mujhse ek bahana kyun dhoondha
teri raza me meri raza hai ye to tujhko pata hi tha
teri ik sachchai thi jo hame saath le aai thi
aaj teri ik zid ki khatir door hui hun main tujhse
jaanta hai tu mujhko nahi par apne dil se poochh zara
vo hi kahega sari haqeeqat mujhko ab na beech me la
ik usane  tujhe kaha tha main tujhko achchi lagti hun...............................
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #42 on: July 11, 2006, 01:37:42 PM »
Reply with quote
meri saari baaten jhooti
tera har  ek jhooth bhi sach hai
apni apni sochen hain ye
kisko kitna kispe bharosa
ham ne dil ko tere jaana
tujhko kbhi dekha hi kab hai
ab jo dekha tujhko us din
tu na mane tera bharosa
apna to bas ek ye dil hai
sachcha sa jo raha akela
isko samjhe koi nahi hai
ham ko kisi se gila nahi hai
ham is sab ke aadi hi hain
baat nai koi hui nahi hai
par bhi ham ko hai kahna
tum mujhko achche lagte ho
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #43 on: July 11, 2006, 06:31:34 PM »
Reply with quote
Bohat khoob Tabassum & Fahi....
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #44 on: July 11, 2006, 06:41:19 PM »
Reply with quote

Door tujh se main agar ho jaaun
Jaal duniya ka hai rangeen-o-haseen
Uss ke rangon mein agar kho jaaun
Teri masoom si unn baaton ko
Shokh-o-saada si teri yaadon ko
bhool jaaun bhi tau yeh yaad rahe
Aaj tujh se mera yeh vaada hai
Jab bhi barsaat tere aangan mein
pyaar se aan ke dastak de gi
Main usi roz chala aaun ga..

Aaj main soch raha hoon kab se
Kya huwi baat keh tu aaya nahi
Jab ke barsaat tau kal se mere
Kachey aangan mein
Baras rahi hai Shab bhar...
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5 6
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 02:36:27 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer