ik din jab tumne ye kaha tha

by tabassum shakeel on June 27, 2006, 02:01:41 PM
Pages: 1 2 3 [4] 5 6
ReplyPrint
Author  (Read 6426 times)
tabassum shakeel
Guest
«Reply #45 on: July 12, 2006, 03:07:16 PM »
Reply with quote
Quote from: "Aryaan"

Door tujh se main agar ho jaaun
Jaal duniya ka hai rangeen-o-haseen
Uss ke rangon mein agar kho jaaun
Teri masoom si unn baaton ko
Shokh-o-saada si teri yaadon ko
bhool jaaun bhi tau yeh yaad rahe
Aaj tujh se mera yeh vaada hai
Jab bhi barsaat tere aangan mein
pyaar se aan ke dastak de gi
Main usi roz chala aaun ga..

Aaj main soch raha hoon kab se
Kya huwi baat keh tu aaya nahi
Jab ke barsaat tau kal se mere
Kachey aangan mein
Baras rahi hai Shab bhar...



bahut khoob aryan apki qalam ka jawab nahi hai aur shukriya aap yahaan aae......

aisi barsaaten dil pe hoti hain
sari raat gham barsate rahte hain
aisa to lagta nahi chain se hain vo bhi sote
phir bhi gussa sa hai kabhi aata
vaada karke jo vo nahi aae
kab talak unka intezaar karen
kya zaroori hai ki vo aaenge
vaada unko nahi bula paya
koi hichaki na la saki unko
aankh ke aansu sab fizool hue
vo the jaise bas vaise hi to rahe
par ham kya kahen ab majboori
ham ko unse hai pyar kuchh itna
 unki sari khataen maaf unhe
ham to bas intezaar karte hain
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #46 on: July 14, 2006, 04:01:38 AM »
Reply with quote
hawaon ke chalne se patte sarsarate hain
ham ko lagta hai ki vo is taraf hi aaten hain
aise kuch rang bhi hain fizaaon me
jaise rang vo saath me laate hain laate hain
sara aalam hai khwab me dooba
raat rani mahk rahi hai kahin
dil ki dhadkan ki taal kahti hai
vo qadam is tarf badhate hain
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #47 on: July 15, 2006, 04:14:50 AM »
Reply with quote
dil ki baaten likhne  baithe hamsa koi aur nahi hai
lekin iska ham kya karen ab dil pe koi zor nahi hai
saari duniya me bas apna ek bechara dil hi to hai
isaki baat agar na maane ye bhi koi tour nahi hai
jaisa bhi hai ,hai bas apna,ham ko pasand hai, kaafi hai
isane  aisa kiya bhi kya hai jis pe mile na maafi hai
saari galati isaki nahi hai baat faqat bas itani hai
ye thoda sa sachcha hai aur duniya jhoothi kitani hai
bas hamko ab nahi gila kuch dil se ya is duniya se
dono hi bas alag alag hain saath saath bas rahten hain
alag alag hone ki qeemat dono dete rahte hain
inke beech khade hain ham bas inko dekhte rahte hain
duniya par to zor nahi hai dil pe konsa zor hi hai
phir dil bhi kahe ka apna ye to koi aur hi hai................
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #48 on: July 19, 2006, 02:29:53 PM »
Reply with quote
dil ka sach bas ek yahi hai
ham ko unse hai kuchh ulfat
jitna unse door hain jaate
dil unko hai yaad hai karta
aisa kya ji hai bas tum me
tum sochon par kyun chhae ho
tum se dil ko kyun hai mohabbat
bas itna hamko batala do
aisa bhi kya khas hai tum me
kyun mujhko achche lagte ho?
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #49 on: July 20, 2006, 08:11:52 AM »
Reply with quote
jab tu mujh se rootha rahta
mujhko tu pyra hai lagta
rootha bhi kis baat pe hai tu
mujhko hai vo baat pasand bas
tu bhi jaane kaisa hi hai
baat kare to achcha lagta
rootha rahe to aur bhi pyara
door hai lekin dil me hai tu
paas kabhi na aana mere
bas itna hai mera kahna
ek baar jo tujhko dekha
jaata tujhe na dekh paaungi
jaisa hai bas vaisa hi rah
door se mujhse roz hai chidhta
baat karun to roothe mujhse
phir bhi jaane kya hai tujh me
 tu mujhko achcha lagta hai
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #50 on: July 20, 2006, 08:22:22 AM »
Reply with quote
Tabassum

Bahut achche !

Very well written ! Keep going  :arrow:

Rajbir
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #51 on: July 20, 2006, 03:05:49 PM »
Reply with quote
Very Nice Tabassum....
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #52 on: July 20, 2006, 03:41:01 PM »
Reply with quote
shukriya rajbir ji shukriya aryan
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #53 on: July 21, 2006, 06:51:51 AM »
Reply with quote
hamaare dil me jo rahte hain door hain itane
ki hamne aankhon se unko kabhi nahi dekha
ye aur baat hai is dil pe hukumat hai unaki
ki unake baad kisiko bhi bas nahi dekha
ab ye khabar hai ki vo aur door jaaenge
ki dil ko mere vo kuchh aor aazmaanege
ye khinchta jaata hai doori ki baat sun kar bas
mujhe bhi dekhna hai dil ki had ya doori ki
kahan talak main mahsoos unko karti hun
kahan talak vo nigahon me meri rahte hain
jo dooriyon se bhi main chhoo tak unko sakti hun
to dooriyon se mujhe phir vo kyon darate hain
hain sare dar ye unhi ke unhi ko shak sare
hame to dil se pata hai ki vo hamare hain
qalam hai unke liye lafz bhi unhi ke liye
kaha kya unka koi maine kabhi tala hai
rahen vo phir bhi khafa tab bhi ham khafa na hue
ki haq kahaan hai hame unse khafa hone ka
vo dil me aaj bhi hain kal bhi vo dil me honge
yahan rahen na rahen mere dil me vo honge
ki thodi saansen hain baaqi jo hain vo jeena hai
bas ab na lamba safar samne hi manzil hai
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #54 on: July 21, 2006, 05:22:11 PM »
Reply with quote
teri baaten kaisi hain ji
kab tak tujhko main samjhaun
tera mujhpe pyar hai itna
tujhko bas mujhse hi gila hai
meri chahat hai kuch aisi
main tujhse kya chahun bata de
maang sakun kuchh haq na mera
de kuchh paaun haq na tera
tera mera saath khoob hai
dard se nikla hai ik rishta
is rishte me dard bahut hai
dard hi bas ye de  paega
chahe tumko chahe hamko
mera to ab sab kuchh chhoota
teri bas ik baat rakhun main
par ab to tu kahega mujhse
main tujhko achchi lagti hun?
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #55 on: July 22, 2006, 10:51:54 AM »
Reply with quote
bahut khoob TABASSUM JI....
behad khubsoorat likha hai aapne...
unhi likhte rahiye.....
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #56 on: July 22, 2006, 11:26:41 AM »
Reply with quote
wonderful tabassum ji......
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #57 on: July 23, 2006, 01:14:09 PM »
Reply with quote
shukriya vicky ji aur gesu Usual Smile

jaane kab ki baaten tu
jaane kab dohraata hai
milane ko aata hai mujhse
 ya chidhne ko aata hai
ye kyon likha hai maine aisa
vaisa maine kyon hai likha
mujhko na dena kuchh bhi javab ab
sara tujhko hi to likha hai
chahe kah le kuch bhi mujhko
main to hansati rahti hun
mujhko tu pyara hi bahut hai
main tere dil me rahti hun.....................
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #58 on: July 24, 2006, 12:24:14 PM »
Reply with quote
tum to bas ekdam hi alag ho kya kahti hun
kya karte ho
jaane kya ho samajh na paati tumse kahun kuch dar lagta hai
jaise bhi ho mujhko pyare isi ada se ham hain tumhare
yahi kaha hai yahi kahenge tum mujhko achche lagte ho
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #59 on: July 25, 2006, 04:34:59 PM »
Reply with quote
mere dil pe tera jo jaadu hai
usko tu zara kam kar dena
mujhko mushkil bahut hai ab jeena
tu isko aasaan kar dena
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5 6
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 02:45:05 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.148 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer