Ishq hai tujhse......na mit paayega kabhi...!!!!!!!

by Talat on April 04, 2006, 09:44:42 AM
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7
ReplyPrint
Author  (Read 7811 times)
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #30 on: April 08, 2006, 02:04:40 PM »
Reply with quote
wah wah humtum ji.. bahut khoob...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
ishq kabhi fana nahi hota! (EK BAAR ZARUR PADHE) by clicksahil in Shayri-E-Dard
tujhse bichurdne ka gum, tujhse milne ki khushi by vikas2210 in Shayri-E-Dard
***e-zindgi tujhse bhi mil lenge kabhi*** by kaushikbhawna008 in Shairi - E - Zindagi
Ishq hai tujhse.. by nashwani in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Ye Kaisa Ishq Hai Tujhse,. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard
Bharat
Guest
«Reply #31 on: April 09, 2006, 12:05:32 AM »
Reply with quote
Quote from: "Talat"
Hasrat hi rahi mujhko tere aaghosh main aane ki
Thi aarzu tere ishq se na kabhi hosh main aane ki

Jo dil main bas jaata hai fana hota nahin wo ishq
Juda ho gaye hain hum ki nazar lag gayi zamane ki

Teri ulfat meri rag rag main khoon ban ke daudti hai
Har jhonka hawa ka deta hai mujhe aas tere aane ki

Hon ab kisse khafa hum, karen kisse koi shikwa
Kaise bhulaayen adaa hum tere manaane ki

Ye dooriyaan ye judaai na mita saki hain tujhse ishq
Uthti hai hook dil main kahin ab bhi tujhe paane ki !!!


Talat,
Wonderful......bohot hi achcha likha hai.....

Everybody...........good job.......nice work........


koshish kabhi na ki main ne, chand ko pane ki
jise jyutsju hai teri, mera yeh dil deewana hai

kaise samzaun is dil ko ki jis ki tuze aarzoo hai
chahane wala unka ek nahin, sara zamana hai !
Logged
Talat
Guest
«Reply #32 on: April 11, 2006, 01:43:31 PM »
Reply with quote
Thanks a lot Humtum and Bharat.... !!! and very well written by both of you...!!!
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #33 on: April 11, 2006, 02:20:17 PM »
Reply with quote
bahut khoob bharat ji...
Logged
Talat
Guest
«Reply #34 on: April 11, 2006, 02:41:57 PM »
Reply with quote
Kya kabhi ishq ki lau bujh paati hai ?
Wo nazron ki baatain nazar se
Wo dhadkanon ka machalna
Khamoshi main bhi ek guftugu ka hona
Kya dooriyan mita sakti hain yaadain ?
Juda ho kar bhi juda nahin hote
Saaya ban ke har pal saath hain rehte
Kyun sochti hoon hua khatm mohabbat ka safar
Ye safar to ta-umr mere saath chalega
Jab tak hain dhadkanen, dil main wo rahega
Bohot chaha hai tumhe dilbar maine
Mujhe ishq hai tumse, na mit paayega kabhi!!!
Logged
rockindia
Guest
«Reply #35 on: April 11, 2006, 02:55:36 PM »
Reply with quote
very nice talat and majid bhai
Logged
Talat
Guest
«Reply #36 on: April 11, 2006, 02:59:56 PM »
Reply with quote
Shukriya Majid and Rockindia..Majid ..nice reply from you Usual Smile
Logged
rockindia
Guest
«Reply #37 on: April 11, 2006, 03:00:57 PM »
Reply with quote
thnx talat ji
Logged
Pooja
Guest
«Reply #38 on: April 11, 2006, 03:36:31 PM »
Reply with quote
good job by all
Logged
Talat
Guest
«Reply #39 on: May 19, 2006, 02:44:38 PM »
Reply with quote
Thanks Pooja !!
Logged
Talat
Guest
«Reply #40 on: July 04, 2006, 02:06:28 PM »
Reply with quote

Jaane kya hua aaj ki phir yaad teri aayi hai
Socha tujhe maine aur aankh bhar aayi hai

Kis maasoomiyat se chaaha tha tune mujhe
Aur ab zindagi kitni door mujhe le aayi hai

Yadon ka gulistaan ban gaya hai mera dil
Har guzre hue pal ne yoon li angdaai hai

Kyun milte hain dil jab lakeerain nai milti
Jaane kya soch, Us ne taqdeer banayi hai

Ye ishq kya balaa hai, na samajh paaye hum
Askh ban ke  jaan aankhon se nikal aayi hai !!!
Logged
redwhitegang
Guest
«Reply #41 on: July 04, 2006, 02:38:30 PM »
Reply with quote
Quote from: "Talat"

Jaane kya hua aaj ki phir yaad teri aayi hai
Socha tujhe maine aur aankh bhar aayi hai

Kis maasoomiyat se chaaha tha tune mujhe
Aur ab zindagi kitni door mujhe le aayi hai

Yadon ka gulistaan ban gaya hai mera dil
Har guzre hue pal ne yoon li angdaai hai

Kyun milte hain dil jab lakeerain nai milti
Jaane kya soch, Us ne taqdeer banayi hai

Ye ishq kya balaa hai, na samajh paaye hum
Askh ban ke  jaan aankhon se nikal aayi hai !!!


bohot khub talat ji!...bohot umda tha :D

Jab bhi tanha raha tujhe socha maine
Aankhe sukhi rahii dil se roya maine
Tere ishq ka is kadar khumar tha
Raaton ko nind na din ko karar tha
Raaton ko sapne mein paya tujhe ,
Aur jab subha aankh khuli to khoya maine
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #42 on: July 05, 2006, 06:01:05 AM »
Reply with quote
Quote from: "Talat"

Jaane kya hua aaj ki phir yaad teri aayi hai
Socha tujhe maine aur aankh bhar aayi hai

Kis maasoomiyat se chaaha tha tune mujhe
Aur ab zindagi kitni door mujhe le aayi hai

Yadon ka gulistaan ban gaya hai mera dil
Har guzre hue pal ne yoon li angdaai hai

Kyun milte hain dil jab lakeerain nai milti
Jaane kya soch, Us ne taqdeer banayi hai

Ye ishq kya balaa hai, na samajh paaye hum
Askh ban ke  jaan aankhon se nikal aayi hai !!!


wah wah wah talat bahut khoob...............

yaadon ka gaanv sajaya hai
tum aake kabhi dekho to sahi
shaam dhale yaadon ke pachhi
roz yahan aa jaate hai ........
Logged
Talat
Guest
«Reply #43 on: July 05, 2006, 04:18:48 PM »
Reply with quote
Shukriya, Shahid and Tabassum !!! Aap logon ne bhi bohot achcha likha hai !!

Kuch is tarah se izhaar-e-ishq kiya tumne
Dil ki dhadkanon ko bohot bechain kiya tumne

Ek jhalak dekhne ko ye aankhain tarasti hain
Kyun khud ko ab tak tha itna door kiya tumne

Dooriyaan hai bohot phir bhi ehsas-e-qurbat hai
Baaton baaton me bolo kaisa jaadu kiya tumne

Aankhen jo karun band, to saamne aa jaate ho
Chehra ho gaya gulnaar, aisa kya kaha tumne

Ye kaisa sukoon mere wujood me utar aaya
Dunya se kiya begaana, baahon me jo liya tumne!!
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #44 on: July 06, 2006, 04:08:06 AM »
Reply with quote
tahnx talat aur bahut khoob likha hai aapne

arz hai..........
door rah kar bhi mere dil me kyun rahta hai koi
aata na mujhko nazar nazron me rahta hai koi

dil ko toote to is arsa hua bhool chuke
yaad rah rah ke vahi zakhm dilata hai koi

jaane kab aaenge aisa na ho aankhe band ho
aur vo samjhege dekhta tha na rasta koi
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 06:43:00 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.093 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer