Ishq hai tujhse......na mit paayega kabhi...!!!!!!!

by Talat on April 04, 2006, 09:44:42 AM
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7
ReplyPrint
Author  (Read 7700 times)
badnaam_shayar
Guest
«Reply #45 on: July 06, 2006, 04:15:20 AM »
Reply with quote
Quote from: "Talat"
Shukriya, Shahid and Tabassum !!! Aap logon ne bhi bohot achcha likha hai !!

Kuch is tarah se izhaar-e-ishq kiya tumne
Dil ki dhadkanon ko bohot bechain kiya tumne

Ek jhalak dekhne ko ye aankhain tarasti hain
Kyun khud ko ab tak tha itna door kiya tumne

Dooriyaan hai bohot phir bhi ehsas-e-qurbat hai
Baaton baaton me bolo kaisa jaadu kiya tumne

Aankhen jo karun band, to saamne aa jaate ho
Chehra ho gaya gulnaar, aisa kya kaha tumne

Ye kaisa sukoon mere wujood me utar aaya
Dunya se kiya begaana, baahon me jo liya tumne!!


Wah kya baat hai Talat ji

Inn Aankhon se nahi Tah-e-Dil se tujhe Pyar kia humne......
Na jaane kitni Gujarti Shaamon ko tera Intezaar kia humne......

Khele kuch khel apni Kismat se bhi.......
Toh apni Nilaami ka Tamasha sar-e-Bazaar kia humne.......

Mahobbat me teri humne bhi koi kasar toh na chori thi......
Buland tere Khawaab Chahe kyu na Khud ko Badnaam kia humne.....!!!!!!!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
ishq kabhi fana nahi hota! (EK BAAR ZARUR PADHE) by clicksahil in Shayri-E-Dard
tujhse bichurdne ka gum, tujhse milne ki khushi by vikas2210 in Shayri-E-Dard
***e-zindgi tujhse bhi mil lenge kabhi*** by kaushikbhawna008 in Shairi - E - Zindagi
Ishq hai tujhse.. by nashwani in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Ye Kaisa Ishq Hai Tujhse,. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard
tabassum shakeel
Guest
«Reply #46 on: July 06, 2006, 04:17:36 AM »
Reply with quote
very nice bs ......keep it up......
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #47 on: July 06, 2006, 04:26:36 AM »
Reply with quote
Thnx Tabassum ji
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #48 on: July 08, 2006, 12:55:54 PM »
Reply with quote
Quote from: "Talat"

Jaane kya hua aaj ki phir yaad teri aayi hai
Socha tujhe maine aur aankh bhar aayi hai

Kis maasoomiyat se chaaha tha tune mujhe
Aur ab zindagi kitni door mujhe le aayi hai

Yadon ka gulistaan ban gaya hai mera dil
Har guzre hue pal ne yoon li angdaai hai

Kyun milte hain dil jab lakeerain nai milti
Jaane kya soch, Us ne taqdeer banayi hai

Ye ishq kya balaa hai, na samajh paaye hum
Askh ban ke  jaan aankhon se nikal aayi hai !!!


wah talat ji its superbbbbbbbb!!!!!!!
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #49 on: July 08, 2006, 12:57:29 PM »
Reply with quote
Quote from: "Talat"

Kuch is tarah se izhaar-e-ishq kiya tumne
Dil ki dhadkanon ko bohot bechain kiya tumne

Ek jhalak dekhne ko ye aankhain tarasti hain
Kyun khud ko ab tak tha itna door kiya tumne

Dooriyaan hai bohot phir bhi ehsas-e-qurbat hai
Baaton baaton me bolo kaisa jaadu kiya tumne

Aankhen jo karun band, to saamne aa jaate ho
Chehra ho gaya gulnaar, aisa kya kaha tumne

Ye kaisa sukoon mere wujood me utar aaya
Dunya se kiya begaana, baahon me jo liya tumne!!


wah wah!!!!!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #50 on: July 12, 2006, 09:15:54 AM »
Reply with quote
Quote from: "badnaam_shayar"
Quote from: "Talat"
Shukriya, Shahid and Tabassum !!! Aap logon ne bhi bohot achcha likha hai !!

Kuch is tarah se izhaar-e-ishq kiya tumne
Dil ki dhadkanon ko bohot bechain kiya tumne

Ek jhalak dekhne ko ye aankhain tarasti hain
Kyun khud ko ab tak tha itna door kiya tumne

Dooriyaan hai bohot phir bhi ehsas-e-qurbat hai
Baaton baaton me bolo kaisa jaadu kiya tumne

Aankhen jo karun band, to saamne aa jaate ho
Chehra ho gaya gulnaar, aisa kya kaha tumne

Ye kaisa sukoon mere wujood me utar aaya
Dunya se kiya begaana, baahon me jo liya tumne!!


Wah kya baat hai Talat ji

Inn Aankhon se nahi Tah-e-Dil se tujhe Pyar kia humne......
Na jaane kitni Gujarti Shaamon ko tera Intezaar kia humne......

Khele kuch khel apni Kismat se bhi.......
Toh apni Nilaami ka Tamasha sar-e-Bazaar kia humne.......

Mahobbat me teri humne bhi koi kasar toh na chori thi......
Buland tere Khawaab Chahe kyu na Khud ko Badnaam kia humne.....!!!!!!!!


Bohot khoob Gaurav !! Very Nice one Usual Smile
Logged
Talat
Guest
«Reply #51 on: July 12, 2006, 09:16:12 AM »
Reply with quote
Thanks a lot Gesu Usual Smile
Logged
indian_groom
Guest
«Reply #52 on: July 12, 2006, 09:19:50 AM »
Reply with quote
Quote from: "Talat"
Hasrat hi rahi mujhko tere aaghosh main aane ki
Thi aarzu tere ishq se na kabhi hosh main aane ki

Jo dil main bas jaata hai fana hota nahin wo ishq
Juda ho gaye hain hum ki nazar lag gayi zamane ki

Teri ulfat meri rag rag main khoon ban ke daudti hai
Har jhonka hawa ka deta hai mujhe aas tere aane ki

Hon ab kisse khafa hum, karen kisse koi shikwa
Kaise bhulaayen adaa hum tere manaane ki

Ye dooriyaan ye judaai na mita saki hain tujhse ishq
Uthti hai hook dil main kahin ab bhi tujhe paane ki !!!





nice jaise lagta hai sidhe dil ke armaan hoton se nikal pade ho.
Logged
Talat
Guest
«Reply #53 on: July 12, 2006, 09:33:08 AM »
Reply with quote
Thanks Naveen, dil se hi nikla hai !!!  Usual Smile
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #54 on: July 13, 2006, 03:35:05 PM »
Reply with quote
Thnx Talat ji

Zindagi judi ho jisse.....
Kyu hai Dil bhi usi ki Sunta hai.....

Raat ho jab Khawahishon ki aadhi......
Toh kyu Zehem me ek hee naam basta hai......

Dhoondte jaa raha hoon me kayi Manzilein......
Par na jaane kyu dikhta sirf tere Sheher ka hee Rasta hai......!!!!!!!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #55 on: July 14, 2006, 08:02:46 AM »
Reply with quote
Bohot khoob Gaurav !
Logged
popat
Guest
«Reply #56 on: July 21, 2006, 10:38:22 AM »
Reply with quote
Tujhko chookar jo hawa aati hai,
Na jane kyun mujhko bulati hai.

Nahi ho pata hai deedar tera,
Par wo teri tasveer dikhati hai.

Tujhse ishq kar,ki galti aisa,
Aakhir mujhko kyun jatati hai.

Ye hawayen aakar ke mujhko,
Teri halat ki khabar batati hai.

Jab bhi hansti hai tu kahin bhi,
To ye teri hansi mujhe sunati hai.

Tere pyar ko jab bhi yaad karoon,
To ask bankar mujhko rulati hai.

Teri har kilakari kisi aur ke sang,
Pagalon ki tarah mujhko satati hai.

Teri har ek yaad jo aaye mujhe,
Kyun wo mujhe“ghayal”kar jati hai.
Logged
natural
Guest
«Reply #57 on: July 21, 2006, 10:56:02 AM »
Reply with quote
Wow ........ Too good popat.... carry on writing.. & Welcome to yoindia....
Logged
Talat
Guest
«Reply #58 on: July 23, 2006, 11:57:25 AM »
Reply with quote
Very Nice Popat !!!
Logged
sangy
Guest
«Reply #59 on: July 26, 2006, 10:12:04 AM »
Reply with quote
Quote from: "Talat"

Jaane kya hua aaj ki phir yaad teri aayi hai
Socha tujhe maine aur aankh bhar aayi hai

Kis maasoomiyat se chaaha tha tune mujhe
Aur ab zindagi kitni door mujhe le aayi hai

Yadon ka gulistaan ban gaya hai mera dil
Har guzre hue pal ne yoon li angdaai hai

Kyun milte hain dil jab lakeerain nai milti
Jaane kya soch, Us ne taqdeer banayi hai

Ye ishq kya balaa hai, na samajh paaye hum
Askh ban ke  jaan aankhon se nikal aayi hai !!!


wow... one of the best ones of urs talatji... very touching  :D
esp the line -
"ashk banke jaan aankhonse nikal aayi hain"
waah kya kaha
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 04:46:00 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.1 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer