Ishq hai tujhse......na mit paayega kabhi...!!!!!!!

by Talat on April 04, 2006, 09:44:42 AM
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7
ReplyPrint
Author  (Read 7687 times)
natural
Guest
«Reply #60 on: July 26, 2006, 10:19:19 AM »
Reply with quote
Quote from: "Talat"

Jaane kya hua aaj ki phir yaad teri aayi hai
Socha tujhe maine aur aankh bhar aayi hai

Kis maasoomiyat se chaaha tha tune mujhe
Aur ab zindagi kitni door mujhe le aayi hai

Yadon ka gulistaan ban gaya hai mera dil
Har guzre hue pal ne yoon li angdaai hai

Kyun milte hain dil jab lakeerain nai milti
Jaane kya soch, Us ne taqdeer banayi hai

Ye ishq kya balaa hai, na samajh paaye hum
Askh ban ke  jaan aankhon se nikal aayi hai !!!


Wow Talat..... Wakayi bahut khoob likha hai.... Usual Smile
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
ishq kabhi fana nahi hota! (EK BAAR ZARUR PADHE) by clicksahil in Shayri-E-Dard
tujhse bichurdne ka gum, tujhse milne ki khushi by vikas2210 in Shayri-E-Dard
***e-zindgi tujhse bhi mil lenge kabhi*** by kaushikbhawna008 in Shairi - E - Zindagi
Ishq hai tujhse.. by nashwani in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Ye Kaisa Ishq Hai Tujhse,. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard
Talat
Guest
«Reply #61 on: July 27, 2006, 01:00:29 PM »
Reply with quote
Bohot bohot shukriya Sangy and Jags !! Usual Smile
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #62 on: July 28, 2006, 04:27:55 AM »
Reply with quote
Waah Talat ji!! Kya baat hai!!Kya baat hai! bahut Khoob kaha hai aapne!!! =D>  =D>  =D>

Dil to barg-e-khizaan hai ki hawa le jaaye!
Gham woh aandhi hai ki sahra bhi uda le jaaye!

Kaun laya tha teri mehfil mein humein hosh nahin,
koi aaye teri mehfil se utha le jaaye!

aur se aur hue jaate hain meaar-e-wafa,
ab mataa-e-dil-o-jaan bhi koi kya le jaaye!

Jaane kab ubhre teri yaad ka dooba hua chaand,
Jaane kab dhyaan koi humko uda le jaaye!



NM
Logged
sangy
Guest
«Reply #63 on: July 28, 2006, 10:15:24 AM »
Reply with quote
Quote from: "Talat"
Bohot bohot shukriya Sangy and Jags !! Usual Smile


you r welcome ji  :D
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #64 on: July 28, 2006, 11:23:43 AM »
Reply with quote
Quote from: "badnaam_shayar"
Thnx Talat ji

Zindagi judi ho jisse.....
Kyu hai Dil bhi usi ki Sunta hai.....

Raat ho jab Khawahishon ki aadhi......
Toh kyu Zehem me ek hee naam basta hai......

Dhoondte jaa raha hoon me kayi Manzilein......
Par na jaane kyu dikhta sirf tere Sheher ka hee Rasta hai......!!!!!!!!


wah wah!!
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #65 on: July 28, 2006, 11:24:59 AM »
Reply with quote
Quote from: "Talat"
Shukriya, Shahid and Tabassum !!! Aap logon ne bhi bohot achcha likha hai !!

Kuch is tarah se izhaar-e-ishq kiya tumne
Dil ki dhadkanon ko bohot bechain kiya tumne

Ek jhalak dekhne ko ye aankhain tarasti hain
Kyun khud ko ab tak tha itna door kiya tumne

Dooriyaan hai bohot phir bhi ehsas-e-qurbat hai
Baaton baaton me bolo kaisa jaadu kiya tumne

Aankhen jo karun band, to saamne aa jaate ho
Chehra ho gaya gulnaar, aisa kya kaha tumne

Ye kaisa sukoon mere wujood me utar aaya
Dunya se kiya begaana, baahon me jo liya tumne!!


superb talat ji..........
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #66 on: July 28, 2006, 11:27:51 AM »
Reply with quote
Quote from: "Bharat"



koshish kabhi na ki main ne, chand ko pane ki
jise jyutsju hai teri, mera yeh dil deewana hai

kaise samzaun is dil ko ki jis ki tuze aarzoo hai
chahane wala unka ek nahin, sara zamana hai !


bharat ji bahut khoob........ :D
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #67 on: July 28, 2006, 11:29:01 AM »
Reply with quote
Quote from: "Talat"
Kya kabhi ishq ki lau bujh paati hai ?
Wo nazron ki baatain nazar se
Wo dhadkanon ka machalna
Khamoshi main bhi ek guftugu ka hona
Kya dooriyan mita sakti hain yaadain ?
Juda ho kar bhi juda nahin hote
Saaya ban ke har pal saath hain rehte
Kyun sochti hoon hua khatm mohabbat ka safar
Ye safar to ta-umr mere saath chalega
Jab tak hain dhadkanen, dil main wo rahega
Bohot chaha hai tumhe dilbar maine
Mujhe ishq hai tumse, na mit paayega kabhi!!!


wah wah!!!!!!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #68 on: July 28, 2006, 04:17:42 PM »
Reply with quote
Quote from: "Gesu"
Quote from: "Talat"
Shukriya, Shahid and Tabassum !!! Aap logon ne bhi bohot achcha likha hai !!

Kuch is tarah se izhaar-e-ishq kiya tumne
Dil ki dhadkanon ko bohot bechain kiya tumne

Ek jhalak dekhne ko ye aankhain tarasti hain
Kyun khud ko ab tak tha itna door kiya tumne

Dooriyaan hai bohot phir bhi ehsas-e-qurbat hai
Baaton baaton me bolo kaisa jaadu kiya tumne

Aankhen jo karun band, to saamne aa jaate ho
Chehra ho gaya gulnaar, aisa kya kaha tumne

Ye kaisa sukoon mere wujood me utar aaya
Dunya se kiya begaana, baahon me jo liya tumne!!


superb talat ji..........


Bohot bohot shukriya Gesu !!!
Logged
Bharat
Guest
«Reply #69 on: July 29, 2006, 01:05:36 AM »
Reply with quote
Quote from: "Gesu"
Quote from: "Bharat"



koshish kabhi na ki main ne, chand ko pane ki
jise jyutsju hai teri, mera yeh dil deewana hai

kaise samzaun is dil ko ki jis ki tuze aarzoo hai
chahane wala unka ek nahin, sara zamana hai !


bharat ji bahut khoob........ :D


Gesuji,

Thank you very much !!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #70 on: August 03, 2006, 08:56:52 AM »
Reply with quote

Ishq ka ek chota sa diya hum apne dil main jalaye baithe hain
Bachaane ko aandhiyon se use, hum haath jalaye baithe hain

Kabhi girte hain aansu to kabhi yaadain de jaati hain muskaan
Har lamha jo guzra sang tere, hum dil main sajaye baithe hain !!
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #71 on: August 03, 2006, 09:00:53 AM »
Reply with quote
Talat

Bahut khoobsurat ! Sach mein !

Ishq aur dard ka sangam nazar aaya !

Rajbir
Logged
Talat
Guest
«Reply #72 on: August 03, 2006, 10:26:15 AM »
Reply with quote
Thanks Rajbir !
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #73 on: August 04, 2006, 03:14:32 AM »
Reply with quote
Quote from: "Talat"

Ishq ka ek chota sa diya hum apne dil main jalaye baithe hain
Bachaane ko aandhiyon se use, hum haath jalaye baithe hain

Kabhi girte hain aansu to kabhi yaadain de jaati hain muskaan
Har lamha jo guzra sang tere, hum dil main sajaye baithe hain !!


Ishq ki hawaon mein dard ki dastaan hoti hai!
Yeh kahani to aansuon se hi bayaan hoti hai!

Na aadam na hawwa, kisi ka bus nahin is par,
Is teer ke liye faqat ek dil ki kamaan hoti hai!

Mohabbat nahin koi makhmali Phoolon ka Haar,
yeh woh shay hai jo Gham ka samaan hoti hai!

Mohabbat se zindagi lage mahka hua Gulshan,
Bina iske zindagi gham ka aasmaan hoti hai!

Guzarta hai rasta ishq ka tang pathreeli galiyon se,
Magar is  ki Manzil khushi ki machaan hoti hai!
[/color]
Logged
natural
Guest
«Reply #74 on: August 04, 2006, 08:44:51 AM »
Reply with quote
Quote from: "Talat"

Ishq ka ek chota sa diya hum apne dil main jalaye baithe hain
Bachaane ko aandhiyon se use, hum haath jalaye baithe hain

Kabhi girte hain aansu to kabhi yaadain de jaati hain muskaan
Har lamha jo guzra sang tere, hum dil main sajaye baithe hain !!


Wow Talat bahut khoob likha hai.... Usual Smile
Logged
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 01:45:13 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.11 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer