Ishq hai tujhse......na mit paayega kabhi...!!!!!!!

by Talat on April 04, 2006, 09:44:42 AM
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7
ReplyPrint
Author  (Read 7809 times)
natural
Guest
«Reply #75 on: August 04, 2006, 08:47:17 AM »
Reply with quote
Quote from: "sharmaarunkumar"
Quote from: "Talat"

Ishq ka ek chota sa diya hum apne dil main jalaye baithe hain
Bachaane ko aandhiyon se use, hum haath jalaye baithe hain

Kabhi girte hain aansu to kabhi yaadain de jaati hain muskaan
Har lamha jo guzra sang tere, hum dil main sajaye baithe hain !!


Ishq ki hawaon mein dard ki dastaan hoti hai!
Yeh kahani to aansuon se hi bayaan hoti hai!

Na aadam na hawwa, kisi ka bus nahin is par,
Is teer ke liye faqat ek dil ki kamaan hoti hai!

Mohabbat nahin koi makhmali Phoolon ka Haar,
yeh woh shay hai jo Gham ka samaan hoti hai!

Mohabbat se zindagi lage mahka hua Gulshan,
Bina iske zindagi gham ka aasmaan hoti hai!

Guzarta hai rasta ishq ka tang pathreeli galiyon se,
Magar is  ki Manzil khushi ki machaan hoti hai!
[/color]


Wow Arun ji.... Ishq ki bahut achhi definition di hai aapney.... Really superb.. Usual Smile  Waisey bahut dino baad dikhaayi diye hain aap yahan, abhi tak kahan thhey.... Usual Smile
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
ishq kabhi fana nahi hota! (EK BAAR ZARUR PADHE) by clicksahil in Shayri-E-Dard
tujhse bichurdne ka gum, tujhse milne ki khushi by vikas2210 in Shayri-E-Dard
***e-zindgi tujhse bhi mil lenge kabhi*** by kaushikbhawna008 in Shairi - E - Zindagi
Ishq hai tujhse.. by nashwani in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Ye Kaisa Ishq Hai Tujhse,. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #76 on: August 04, 2006, 09:23:27 AM »
Reply with quote
Thanks!! Natural ji & Majid ji!!! :D
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #77 on: August 04, 2006, 09:43:06 AM »
Reply with quote
Quote from: "Talat"

Ishq ka ek chota sa diya hum apne dil main jalaye baithe hain
Bachaane ko aandhiyon se use, hum haath jalaye baithe hain

Kabhi girte hain aansu to kabhi yaadain de jaati hain muskaan
Har lamha jo guzra sang tere, hum dil main sajaye baithe hain !!


Talat ji very touching words...A1 Usual Smile
Logged
sona doll
Guest
«Reply #78 on: August 05, 2006, 07:21:17 AM »
Reply with quote
Gum ki aahat bhi na aaye tere dar pe
pyar ke samandar ka tu bhi ek kinara ho
kabhi gire jo teri aankh se moti
thame wahi jo tujhe sabse pyara ho
Logged
Talat
Guest
«Reply #79 on: October 03, 2006, 01:39:33 PM »
Reply with quote
Thanks Arunji, Jags (ab guest ban gaye ho sad5), Majid, and Gesu Usual Smile

Very nice Sona and Majid !!!
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #80 on: October 11, 2006, 07:05:40 AM »
Reply with quote
wah wah bahut khoob ..........
Logged
luvable_vishal
Guest
«Reply #81 on: October 12, 2006, 05:10:20 AM »
Reply with quote
Bataana chahe bhi koi,
Tho kaise Bataye koi
Haal-e-Dil Sunaaye bhi,
Tho kasie Sunaaye koi
Zaroori tho nahi ke jisse hum Chahe,
Woh bhi Chahe humain
Kaise apne Pyaar ka,
Yu Mazak banaaye koi

Pyar tho Jadoo hai jo,
Kisi pe bhi chal jaata hai
Ise sirf wahi Samajhte hai,
Jinhe khud Pyar ho jaata hai
Chupke chupke na jaane kaise,
Dil kahin kho jaata hai
Yakin kar sako tho karlo,
Na isse koi bach paata hai.

Ye deewano ki baatein hain,
Sirf deewane hi samajhte hain
Pyar mein hai kitna asar,
Jo karte hai wahi samajhte hain
Na jaane kaise log hain woh,
Jo dil ko khilona samajhte hain
Jazbaaton se khelte hain,
Aur pyaar ko ruswa karte hain

Kaise unhe ye Bataaye koyi,
Ke Pyaar kya hota hai
Kyu dil Bekarar hota hai,
Kyu Izhaar hota hai
Na-samajh hain woh,
Woh tho Nadaan hain,
Ulfat ki Raahon se,
Aur apne Dilse woh Anjaan hai
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #82 on: October 13, 2006, 09:18:14 AM »
Reply with quote
Quote from: "luvable_vishal"
Bataana chahe bhi koi,
Tho kaise Bataye koi
Haal-e-Dil Sunaaye bhi,
Tho kasie Sunaaye koi
Zaroori tho nahi ke jisse hum Chahe,
Woh bhi Chahe humain
Kaise apne Pyaar ka,
Yu Mazak banaaye koi

Pyar tho Jadoo hai jo,
Kisi pe bhi chal jaata hai
Ise sirf wahi Samajhte hai,
Jinhe khud Pyar ho jaata hai
Chupke chupke na jaane kaise,
Dil kahin kho jaata hai
Yakin kar sako tho karlo,
Na isse koi bach paata hai.

Ye deewano ki baatein hain,
Sirf deewane hi samajhte hain
Pyar mein hai kitna asar,
Jo karte hai wahi samajhte hain
Na jaane kaise log hain woh,
Jo dil ko khilona samajhte hain
Jazbaaton se khelte hain,
Aur pyaar ko ruswa karte hain

Kaise unhe ye Bataaye koyi,
Ke Pyaar kya hota hai
Kyu dil Bekarar hota hai,
Kyu Izhaar hota hai
Na-samajh hain woh,
Woh tho Nadaan hain,
Ulfat ki Raahon se,
Aur apne Dilse woh Anjaan hai


wAH WAH!!!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #83 on: October 16, 2006, 11:28:40 AM »
Reply with quote
Bohot khoob Vishal !!
Logged
admani
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 1 hours and 45 minutes.
Posts: 213
Member Since: Oct 2006


View Profile
«Reply #84 on: October 16, 2006, 12:17:08 PM »
Reply with quote
excellent work vishal!

zindagi mein aik hi dua humari hai
maangi jiss mein harr khushi tumhari hai
jahan raho,jiss ke saath raho,khush raho
buss yehi dua raat bhar humari hai

Logged
Talat
Guest
«Reply #85 on: October 17, 2006, 11:37:44 AM »
Reply with quote
Nice admani and welcome to Yoindia !
Logged
Talat
Guest
«Reply #86 on: November 21, 2008, 04:19:06 PM »
Reply with quote


Ishq ki hawaon mein dard ki dastaan hoti hai!
Yeh kahani to aansuon se hi bayaan hoti hai!

Na aadam na hawwa, kisi ka bus nahin is par,
Is teer ke liye faqat ek dil ki kamaan hoti hai!

Mohabbat nahin koi makhmali Phoolon ka Haar,
yeh woh shay hai jo Gham ka samaan hoti hai!

Mohabbat se zindagi lage mahka hua Gulshan,
Bina iske zindagi gham ka aasmaan hoti hai!

Guzarta hai rasta ishq ka tang pathreeli galiyon se,
Magar is  ki Manzil khushi ki machaan hoti hai!
[/color]


Waah....khoobsurat asha'ar hain Arunji, bohot khoob !!

Kuch aapke hi andaaz main,

Mohabbat ki to humne suni bas ek hi daastaan hai
Dil main mohabbat, aankhon main ashk nehaan hai

Dil toot kar sheeshe ke maanind bikherte hain,
Mohabbat hai saza koi, ya phir imtihaan hai

Dil ki nigaah-e-shauq se jab dekhte hain log,
Khizaan pe bhi bahaar ka hi hota gumaan hai

Labon par muskurahat, chehre pe rang-e-bahaar
Haqeeqat to nahin, haan bas ek daastaan hai




Logged
Pooja
Guest
«Reply #87 on: November 22, 2008, 04:28:12 AM »
Reply with quote
bahoot khoob AKS ji and Celmira
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #88 on: November 22, 2008, 04:46:01 AM »
Reply with quote

Waah....khoobsurat asha'ar hain Arunji, bohot khoob !!

Kuch aapke hi andaaz main,

Mohabbat ki to humne suni bas ek hi daastaan hai
Dil main mohabbat, aankhon main ashk nehaan hai

Dil toot kar sheeshe ke maanind bikherte hain,
Mohabbat hai saza koi, ya phir imtihaan hai

Dil ki nigaah-e-shauq se jab dekhte hain log,
Khizaan pe bhi bahaar ka hi hota gumaan hai

Labon par muskurahat, chehre pe rang-e-bahaar
Haqeeqat to nahin, haan bas ek daastaan hai







 :clapping:waah kya baat hai!!!  :clap:bauth khoob!!!

Zakhm-e-dil humein yaad aane lage!
apne aansu hi humko jalane lage!

kuchh na mila magar mut'maeen hain hum,
mohabbat mein haath kya khazane lage!

Yahi hai rasta aur yehi hai manzil,
Ab to yahin dil kisi bahane lage!

Khudfarebi si khud farebi hai,
Paas se dhol bhi suhaane lage!

Ab to hota hai har kadam pe gumaan,
Hum yeh kaisa kadam uthane lage!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #89 on: November 22, 2008, 04:49:46 AM »
Reply with quote
bahoot khoob AKS ji
Logged
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 03:32:48 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.134 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer