Ishq ka rog laga ho to maza aata hai.

by Ghulam Haider on October 13, 2008, 03:19:11 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 3811 times)
Ghulam Haider
Guest
Reply with quote
Ishq ka rog laga ho to mazah aata hai.
Dard furqat ka uTha ho to mazaa aata hai.

Dil nasheeN hoti hai mahboob ki har aik adaa,
Jab koi khaas adaa ho to mazah aata hai.

Chehra-e-yaar pe zeebaa hai hayaa ka aaNchal,
Rukh se pardaa jo utha ho to mazah aata hai.

Roz milne meN naii baat nahiN yaaroN se,
Koi barsoN meN mila ho to mazah aata hai.

Sab samajhte hoN magar phir bhi kisi pahloo se,
Raaz baatoN meN chhupa ho to mazah aata hai.

Dil jo aouroN ka jalaane meN mazah leta hai,
Dil agar us ka jala ho to mazah aata hai.

Sab mazaa lete haiN baatoN se hamaari "Haider",
Jab haqeeqat meN mazah ho to mazah aata hai.
Logged
Sleepless Soul
Guest
«Reply #1 on: October 13, 2008, 03:33:25 PM »
Reply with quote
wow really beautiful poetry
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #2 on: October 13, 2008, 04:35:37 PM »
Reply with quote
wow really beautiful poetry
Thanks a lot
Logged
Tanha(Saurabh)
Guest
«Reply #3 on: October 13, 2008, 04:51:07 PM »
Reply with quote
bohat bohat bohat umda , lajawab, behtareen likha hai aapne haider ji.
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Tanha(Saurabh)
Guest
«Reply #4 on: October 13, 2008, 04:53:40 PM »
Reply with quote
Ishq ka rog laga ho to mazaa aata hai.
Dard ulfat ka uTha ho to mazaa aata hai.

Dil nasheeN hoti hai mahboob ki har aik adaa,
Jab koi khaas adaa ho to mazaa aata hai.

Chehra-e-yaar pe zeebaa hai hayaa ka aaNchal,
Rukh se pardaa jo utha ho to mazaa aata hai.

Roz milne meN naii baat nahiN yaaroN se,
Koi barsoN meN mila ho to mazaa aata hai.

Sab samajhte hoN magar phir bhi kisi pahloo se,
Raaz baatoN meN chhupa ho to mazaa aata hai.

Dil jo aouroN ka jalaane meN maza leta hai,
Dil agar us ka jala ho to mazaa aata hai.

Sab mazaa lete haiN baatoN se hamaari "Haider",
Jab haqeeqat meN mazaa ho to mazaa aata hai.


ek baar fir se bohat hi umda, taareef ke liye lafz nahi hain....
 Applause Applause
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #5 on: October 13, 2008, 05:31:50 PM »
Reply with quote
bohat bohat bohat umda , lajawab, behtareen likha hai aapne haider ji.
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Mujhe is baat ki khusi hai k aap ko meri ghazal pasand aai, maiN ye hi chahta hoN k aap log khush rahen
thaks
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #6 on: October 13, 2008, 05:34:33 PM »
Reply with quote
very nice choice of words  Applause
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #7 on: October 13, 2008, 10:21:00 PM »
Reply with quote
Bohot khoob Haider sahab bohot khoob!.
---------------------------------------------------

+++++++++++
                           
                                       -: Sayyid Randeri :-
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #8 on: October 14, 2008, 04:38:21 AM »
Reply with quote
Ishq ka rog laga ho to mazaa aata hai.
Dard furqat ka uTha ho to mazaa aata hai.

Dil nasheeN hoti hai mahboob ki har aik adaa,
Jab koi khaas adaa ho to mazaa aata hai.

Chehra-e-yaar pe zeebaa hai hayaa ka aaNchal,
Rukh se pardaa jo utha ho to mazaa aata hai.

Roz milne meN naii baat nahiN yaaroN se,
Koi barsoN meN mila ho to mazaa aata hai.

Sab samajhte hoN magar phir bhi kisi pahloo se,
Raaz baatoN meN chhupa ho to mazaa aata hai.

Dil jo aouroN ka jalaane meN maza leta hai,
Dil agar us ka jala ho to mazaa aata hai.

Sab mazaa lete haiN baatoN se hamaari "Haider",
Jab haqeeqat meN mazaa ho to mazaa aata hai.

Bahut Bahut Khoob haider sahab.. Applause Applause Applause

Bohot khoob Haider sahab bohot khoob!.
---------------------------------------------------

++++++++++++++
                           
                                       -: Sayyid Randeri :-


Bahut Khoob!! sach kahan aapne randeri sahab aapne. Applause Applause[/color][/b]
Logged
baadal102
Guest
«Reply #9 on: October 14, 2008, 06:54:33 AM »
Reply with quote
bahut khoob bahut hi aacha likha hai aap ne
haider ji wahhhh



Baadal
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #10 on: October 14, 2008, 07:35:32 AM »
Reply with quote
Ishq ka rog laga ho to mazaa aata hai.
Dard furqat ka uTha ho to mazaa aata hai.

Dil nasheeN hoti hai mahboob ki har aik adaa,
Jab koi khaas adaa ho to mazaa aata hai.

Chehra-e-yaar pe zeebaa hai hayaa ka aaNchal,
Rukh se pardaa jo utha ho to mazaa aata hai.

Roz milne meN naii baat nahiN yaaroN se,
Koi barsoN meN mila ho to mazaa aata hai.

Sab samajhte hoN magar phir bhi kisi pahloo se,
Raaz baatoN meN chhupa ho to mazaa aata hai.

Dil jo aouroN ka jalaane meN maza leta hai,
Dil agar us ka jala ho to mazaa aata hai.

Sab mazaa lete haiN baatoN se hamaari "Haider",
Jab haqeeqat meN mazaa ho to mazaa aata hai.

Ghulam Haider ji,
 Applause Applause Applause Clapping Smiley  Bahut hee umdah gazal hai aap kee!


Aap ki gazal ko gaaney mein mazah aataa hai!
Marhabaa! Sunney-sunaaney mein mazah aataa hai!!

                              - abd bundeli

Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #11 on: October 14, 2008, 08:20:15 AM »
Reply with quote
Ishq ka rog laga ho to mazaa aata hai.
Dard furqat ka uTha ho to mazaa aata hai.

Dil nasheeN hoti hai mahboob ki har aik adaa,
Jab koi khaas adaa ho to mazaa aata hai.

Chehra-e-yaar pe zeebaa hai hayaa ka aaNchal,
Rukh se pardaa jo utha ho to mazaa aata hai.

Roz milne meN naii baat nahiN yaaroN se,
Koi barsoN meN mila ho to mazaa aata hai.

Sab samajhte hoN magar phir bhi kisi pahloo se,
Raaz baatoN meN chhupa ho to mazaa aata hai.

Dil jo aouroN ka jalaane meN maza leta hai,
Dil agar us ka jala ho to mazaa aata hai.

Sab mazaa lete haiN baatoN se hamaari "Haider",
Jab haqeeqat meN mazaa ho to mazaa aata hai.

SAMAJ NAHI AA RAHA KAISE KAHU KITNAAAAAAAAAAA MAZA AAYA AAPKA KALAM PAKE HAIDER I REALLY READ IT 5 TIMES ALREADY

(KISI QAWALI ME PEHLI LINE SUNI THI TUTA FOOTA YAAD HAIN AAPKI GHAZAL SE MUTASSIR HOKAR USE SHER ME TABDIL KIYA HAIN)


BAAL BIKHRAYE JAB KOI HASEEN ROTI HAIN
MARNE WALO KO MAUT ME BHI MAZA AATA HAIN.









Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #12 on: October 14, 2008, 08:36:12 AM »
Reply with quote
Yaqeen NahiN ho raha ke meri ghazal aap logoN ko itni pasand aayegi.
Aap logoN ne meri himmat do guni kar di hai.Ye sab aaplogoN ki mohabbat hai.
Sajid bhai,abdbundeli ji, Khwaish ji, Sayyid Randeri ji Aap sab ka bohot 2 shukriya, aour shukriya un tamaam logoN ka jinhoN ne meri ghazal ko PaRha.
bohot khushi hui aap logoN ke msg paRh kar.
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #13 on: October 14, 2008, 10:20:46 AM »
Reply with quote
Ghulam Haider ji,
Lovely creations shall always attract lovely commendations! You're WELCOME to introduce more and more; and I'm sure, you'll find us ready to read them with ample interest full of a lot of curiosity!
                                               - abd bundeli
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #14 on: October 14, 2008, 12:18:46 PM »
Reply with quote
Ghulam Haider ji,
Lovely creations shall always attract lovely commendations! You're WELCOME to introduce more and more; and I'm sure, you'll find us ready to read them with ample interest full of a lot of curiosity!
                                               - abd bundeli
Mujhe yaqeen hai ke aap har qadam par isi tarah meri himmat baRhate raheNge. Aour maiN bhi apni taraf se aap ki khushi ka poora khayaal rakhoNga.
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 02:17:47 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.101 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer