Ishq Ki Aag Mein Jalne Walo Ko..!!...........Shireen Hakani

by Shireen Hakani on September 04, 2012, 08:25:16 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 6938 times)
Shireen Hakani
Guest
Reply with quote
Ishq Ki Aag Mein Jalne Walo Ko Kahin Karar Nahi,
Saansein Ho Chahe Khatam, Par Hota Intezar Nahi,
Mujburi Ke Naam Par Juda Hone Wale Sanam Sun,
Jo Jee Paye Apne Yaar Bina, Use Kehte Pyar Nahi..!!


Shireen Hakani
Logged
saahill
Mashhur Shayar
***

Rau: 86
Offline Offline

Waqt Bitaya:
147 days, 17 hours and 51 minutes.
Posts: 18610
Member Since: Jun 2009


View Profile
«Reply #1 on: September 04, 2012, 08:29:13 AM »
Reply with quote
waaah bilkul sahi kaha apne ,

bhul jayein jo sanam ko use qaraar  nahi kehte ,

jo kar na sakein hum use intzaar nahi kehte ,

dil wale to luta dete hain apni jaan bhi ,

jo bechain na ho sake use pyaar nahi kehte

Logged
sahal
Umda Shayar
*

Rau: 109
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
47 days, 4 hours and 0 minutes.

love is in the Air,but CuPiD is alone here.

Posts: 4410
Member Since: Sep 2012


View Profile WWW
«Reply #2 on: September 04, 2012, 08:41:21 AM »
Reply with quote
MASHALLAH ZABARDAST KALAAM HAI
Logged
Shireen Hakani
Guest
«Reply #3 on: September 04, 2012, 08:43:35 AM »
Reply with quote
Bohat Aache Saahil Jee!!! Applause Applause Applause Applause Applause

Bohat Mushkil Hota Hai Intezar Maine Mana,
Aasani Jo Se Mile, Use Ishq Nahi Kehte Jana..!!
Logged
Mohammad Touhid
Umda Shayar
*

Rau: 35
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
38 days, 12 hours and 35 minutes.

'I' 'Luv' d Way 'U' 'Forget' Me..!.!

Posts: 7160
Member Since: Aug 2009


View Profile
«Reply #4 on: September 04, 2012, 08:55:20 AM »
Reply with quote
wah wah... bahut bahut khoob...

ehsaas-e-ishq se bharpur.. Usual Smile
Logged
pankajwfs
Guest
«Reply #5 on: September 04, 2012, 09:28:30 AM »
Reply with quote
Bahut bahut khoob shireen ji Applause Applause
Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #6 on: September 04, 2012, 09:53:07 AM »
Reply with quote
bahut khoob
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #7 on: September 04, 2012, 10:20:52 AM »
Reply with quote
good
Logged
mkv
Guest
«Reply #8 on: September 04, 2012, 10:21:22 AM »
Reply with quote
Applause Applause bahut khoob SH

ishq samundar hai kaheeN doob na jaana
gir gaye to khud ko mushkil hai bachaana
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #9 on: September 04, 2012, 10:59:08 AM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause bahut khoob Shireen ji...!!!


kya tum aansuon ke saagar ko pyaar kehte ho
kya tum rasmon ki deewaar ko pyaar kehte ho
jo mar jaaye mohabbat me uskaa kyaa faaidaa
kyaa tum jaan se jaane ko pyaar kehte ho? ?
Logged
mkv
Guest
«Reply #10 on: September 04, 2012, 11:13:15 AM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause bahut khoob Shireen ji...!!!


kya tum aansuon ke saagar ko pyaar kehte ho
kya tum rasmon ki deewaar ko pyaar kehte ho
jo mar jaaye mohabbat me uskaa kyaa faaidaa
kyaa tum jaan se jaane ko pyaar kehte ho? ?
Bahut khoob hriday jee
Applause Applause
kabhi jaan lena to kabhee jaan dena bhi pyaar hota hai
kitne bhi jatan kar lo hardam ye dil bekaraar hota hai
aksar ishq men ye sawaal uth jaate hai dost
javaab laakh koi de dil ko, na kabhee aitbaar hota hai

Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #11 on: September 04, 2012, 11:27:09 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applausebahut khoob Mukesh ji... massstt likha hai aapne...!!!

karke mohabbat kisi kaa jahaan kabhi aabaad nahi hotaa
na kare mohabbat jo wo dil ke haathon barbaad nahi hotaa
log dil behlaane ke liye mohabbat kar lete hain aksar
ek waqt ke baad dard ke siwaa kuch bhi to yaad nahi hotaa

Bahut khoob hriday jee
Applause Applause
kabhi jaan lena to kabhee jaan dena bhi pyaar hota hai
kitne bhi jatan kar lo hardam ye dil bekaraar hota hai
aksar ishq men ye sawaal uth jaate hai dost
javaab laakh koi de dil ko, na kabhee aitbaar hota hai


Logged
mkv
Guest
«Reply #12 on: September 04, 2012, 11:52:36 AM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applausebahut khoob Mukesh ji... massstt likha hai aapne...!!!

karke mohabbat kisi kaa jahaan kabhi aabaad nahi hotaa
na kare mohabbat jo wo dil ke haathon barbaad nahi hotaa
log dil behlaane ke liye mohabbat kar lete hain aksar
ek waqt ke baad dard ke siwaa kuch bhi to yaad nahi hotaa

wah wah wah wah kya khoob likha hai hriday jee
bahut kuch yaad hota hai par jubaan kaise kahe.n
dil bhee hota hai bechain unke bina kaise rahe.n
koi dil se khel kar chupchaap chalaa jaaye aur
bhula de un haseen lamhoN ko to dil kaise sahe.n
Logged
Sps
Guest
«Reply #13 on: September 04, 2012, 12:37:50 PM »
Reply with quote
bahot khoob bahot umda...aur baaki sab ne bhi kya khoob kaha,aise sher per sher padhne me bahot achcha lagta hai
Logged
Shireen Hakani
Guest
«Reply #14 on: September 04, 2012, 05:51:40 PM »
Reply with quote
Bohat Khub Hriday Jee Aur Mukesh Jee!!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley  Clapping Smiley Clapping Smiley

Kuch Kehne Ki Koshish Maine Bhi Ki Hai....

Dil Diya Aur Phir Jaan Bhi De Di Mohabbat Mein Tere,
Intezar Karti Aankhe Hai Khuli Raah Mein Sham Savere,
Chand Tale Phigalti Hai Saansein Meri Dheere-Dheere,
Dil Mein Dhadakti Udasi Puche, Kaha Ho Tum Sanjan Mere..!!
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 02:13:36 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.117 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer