Ishq-e-Mohammed {SAWS}

by Jaanasheen on February 27, 2010, 01:55:02 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 66537 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
Reply with quote
As Salaam Walaikum Doston, Mohabbat Ishq Sirf Apne Saathi Ke Liye Partner Ke Liye Nahi Hoti, Ishq Ka Junoon Uska Nasha Uska Mazaa Kisi Bhi Cheez Se Hota Hai Isi Nizbat Se Main Yahaan Hazrat Mohammed Sal Allahu Alayhi Wa Sallam Se Apni Mohabbat Ka Kuch Andaz Bayaan Kar Raha Hoon Umeed Hai Kisi Ko Mere Post Se Koi Takleef Nai Hogi,.

Rab Sab Ka Bhala Kare,.

Milad-e-Nabi {SAWS} Tamaam Afraad Ko Mubarak Ho,.

Darood Pardhlein Ek Baar,.
Unki Shaan Mein,.


Aap Se Ujaala Milaa Hai Kaynaat Ko,.
Aap Se Mila Hai Chaand Bhi,Is Raat Ko,.
Aap Se Mili Roshni Aaftaab Ko,.
Aap Se Mili Hain Boondein Bhi Barsaat Ko,.

Aap Ke Liye Banaa Duniya Ka Nizaam,.
Aap Pe Ya NABI Laakhon Salaam,.

Ye Samander Ye Jazire Aapke Liye,.
Ye Fizaayein Ye Nazaare Aapke Liye,.
Aap Ke Liye Bane Aasmaan-o-Zameen,.
Bane Hain Chaand Sitaare Aapke Liye,.

Aap Par Lutaa Doon Apni Zindagi Tamaam,.
Aap Pe Ya NABI Laakhon Salaam,.

Aap Ka Saaya Jo Sar Par Rahe,.
Banda Rab Ki Khaas Nazar Par Rahe,.
Wo Jeet Lega Dono Jahaan "Azeem,.
NABI Ki Mohabbat Jiske Andar Rahe,.

Duniya Uski Kadmo Pe Gire, Jo Hojaaye Aapka Ghulaam,.
Aap Pe Ya NABI Laakhon Salaam,.

Humpar Nazar-e-Karam Ki Guzaarish Karna,.
Ya Mehboob-e-Khuda Humpe Reham Ki Baarish Karna,.
Aapke Sadke Rab Maaf Kare Hum Sab Ko,.
Ya Nabi, Aap Hum Sabki Sifaarish Karna,.

Aap Par Pardhoon Main Darood Subha Shaam,.
Aap Pe Ya NABI Laakhon Salaam,.

-Azeem-



Ya Rab Koi Bhool Chook Ho Gayi Ho To Rab Maaf Karna,.
Humpar Nazar-e-Karam Karna,.

Aameen,.
Logged
dead heart
Guest
«Reply #1 on: February 27, 2010, 02:36:42 PM »
Reply with quote
Applause Applause
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #2 on: February 27, 2010, 03:55:28 PM »
Reply with quote
Bahut Hi Umda Peshkash Hai Azeem Bhai... Aapko bhi Milad-e-Nabi Ki Tahe Dil se Mubaaraq Baad... Usual Smile Usual Smile



**~** Mann **~**
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #3 on: February 27, 2010, 04:20:48 PM »
Reply with quote
Waah Waah Waah .. Suban Allah Bahoot Bahoot Khoob Likha hai Azeem !
Logged
Talat
Guest
«Reply #4 on: February 27, 2010, 04:58:04 PM »
Reply with quote
Bohot Khoob Azeem.....Eid milad-un-Nabi ki bohot mubarakbad !
Logged
Shihab
Yoindian Shayar
******

Rau: 27
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
29 days, 3 hours and 46 minutes.

Maut To Ek Shuruaat Hai...

Posts: 2082
Member Since: Dec 2006


View Profile
«Reply #5 on: February 27, 2010, 06:04:39 PM »
Reply with quote
Walaikum As Salaam Azeem Bhai.
Aur Bahut Bahut Hi Khub Likha Hai Aapne.

ALLAH Pak Aapko Humesha Khush Rakhe.

Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #6 on: February 27, 2010, 07:38:26 PM »
Reply with quote
Wah wah Azeem bhai.too good.great creation.bahut pasand aayi.keep it up. Hats off to you! icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #7 on: February 28, 2010, 05:29:30 AM »
Reply with quote
Dear Azeem Bhai bahut achhi Naa't aapne likhi hai. Yahi sach hai ke Allah ne Hazarat Muhammad SAW ki wajah se hi ye duniya aur insaan ko banaya. Khuda kare hum sabhi sunnaton par amal karne wale ban jayen tabhi hum apne is dawe mein sachhe ho sakte hain ke humein Hazrat Muhammadn SAW se muhabbat hai. 

Nice creation Azeem bhai.
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #8 on: February 28, 2010, 11:48:03 AM »
Reply with quote
Bahut khoob Azeem!!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Padhkar sach mein bahut Acha Laga..  Thumbs UP
Logged
drpandey
Guest
«Reply #9 on: February 28, 2010, 06:13:14 PM »
Reply with quote
Azeem bhai, bahot khub! Khuda aapko har bala se mahfooz rakhe aur aapki her khwahis puri kare meri yahi arz hai us almighty se..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #10 on: March 01, 2010, 11:32:39 AM »
Reply with quote
Applause Applause

Shukriya Rahim Bhai,.
Bahut Hi Umda Peshkash Hai Azeem Bhai... Aapko bhi Milad-e-Nabi Ki Tahe Dil se Mubaaraq Baad... Usual Smile Usual Smile



**~** Mann **~**

Shukriya Vikas Bhai Aur Sab Ko Milad Mubarak Ho,.

Waah Waah Waah .. Suban Allah Bahoot Bahoot Khoob Likha hai Azeem !

Shukriya Divya,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #11 on: March 01, 2010, 11:36:39 AM »
Reply with quote
Bohot Khoob Azeem.....Eid milad-un-Nabi ki bohot mubarakbad !

Shukriya Talat Sis,
Walaikum As Salaam Azeem Bhai.
Aur Bahut Bahut Hi Khub Likha Hai Aapne.

ALLAH Pak Aapko Humesha Khush Rakhe.



Shukriya Hum Dum Ji,.
Rab Ki Khaas Nazar Sab Pe Ho,.
Wah wah Azeem bhai.too good.great creation.bahut pasand aayi.keep it up. Hats off to you! icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Shukriya Madhuwesh JI.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #12 on: March 01, 2010, 11:38:44 AM »
Reply with quote
Dear Azeem Bhai bahut achhi Naa't aapne likhi hai. Yahi sach hai ke Allah ne Hazarat Muhammad SAW ki wajah se hi ye duniya aur insaan ko banaya. Khuda kare hum sabhi sunnaton par amal karne wale ban jayen tabhi hum apne is dawe mein sachhe ho sakte hain ke humein Hazrat Muhammadn SAW se muhabbat hai. 

Nice creation Azeem bhai.


Beshaq Allah Hume Nabi-e-Kareem SAWS Ki Sunnaton Pe Chalna Naseeb Kare Aameeen,
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #13 on: March 01, 2010, 11:52:13 AM »
Reply with quote
Subhan ALLAH...Subhan ALLAH
Azeem Meri Jaan Kya Khub Likha Hai Yaar
Samajh Nahi Aa Raha Kaise Tareef Karun...
Bas Itna Hi Kahunga Ki Dil Khush Ho Gaya Parhke
Bahut Bahut Hi Umda Mere Bhai...
Aur Aakhri Main Jo Mafi Mangi
Woh Bhi Bahut Achha Kiya Aapne
Kyun Ki Nabi Ki Shaan Ko Lafzon Mein
Likh Pana Namumkin Hai...Khair
Bahut Khub....

ALLAH Pak Aapko Har Ranj o Gham Se Mehfooz Rakhe

Khush Rahiye...

~Shihab~

Shukriya Mere Bhai,
Sahi Kaha Tumne Nabi-e-Paak Ki Shaan Mein JItna Bhi kahein Kam Hai,.

Allah Mere Likhne KO Sabke Pardhna KO Kabool Kare,.

Aameen,.
Logged
gaurav shrivastav
Guest
«Reply #14 on: March 18, 2011, 02:31:59 PM »
Reply with quote
Wah wah Azeem bhai.too good.great creation.bahut pasand aayi.keep it up. Hats off to you! icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause Applause
sunny NaNaNa laughing4 laughing4
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 08:12:29 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.114 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer