ITNA TOOTA HOON

by tushar_4u_im on March 03, 2006, 11:05:27 AM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 3618 times)
tushar_4u_im
Guest
Reply with quote
Itna toota hoon Kay chhonay se bikhar jaon ga
Ab agar aur dua do gay to mar jaon ga
Pooch kar mera pata waqat raye gaan na karo
Main to banjara hoon kia janay kidhar jaon ga
Phool reh jaien gay fakat gulldanoon ki nazar
Main to khushboo hoon hawaon mein bikhar jaon ga
Zindagi main bhi musafir hon teri kashti mein
Tu jahaan mujh se kahay ge utar jaon ga
Ab agar aur dua do gay to mar jaon ga
Itna toota hoon Kay chhonay se bikhar jaon ga
Logged
natural
Guest
«Reply #1 on: March 03, 2006, 11:17:47 AM »
Reply with quote
Good one.... I read it three years back in a Magazine.... :D  Do Write Not Mine when the creation is not yours..... Bhool gaye kya.... :wink:
Logged
tushar_4u_im
Guest
«Reply #2 on: March 03, 2006, 05:30:34 PM »
Reply with quote
Quote from: "tushar_4u_im"
Itna toota hoon Kay chhonay se bikhar jaon ga
Ab agar aur dua do gay to mar jaon ga
Pooch kar mera pata waqat raye gaan na karo
Main to banjara hoon kia janay kidhar jaon ga
Phool reh jaien gay fakat gulldanoon ki nazar
Main to khushboo hoon hawaon mein bikhar jaon ga
Zindagi main bhi musafir hon teri kashti mein
Tu jahaan mujh se kahay ge utar jaon ga
Ab agar aur dua do gay to mar jaon ga
Itna toota hoon Kay chhonay se bikhar jaon ga



sorry ye meri galti nahi hai mere dost ne mera is khol ker isse likha hai
or mai isme not mine nahi likh sakta kyuki maine ye sher nahi likha .....

bus mai sorry keh sakta hu or wo mai keh raha hu......

SORRY.........................
Logged
tushar_4u_im
Guest
«Reply #3 on: March 03, 2006, 05:34:13 PM »
Reply with quote
itna tota hu mai aaj k mujhe khud bhi aab hosh nahi .....
mera khayal na kisi ko isme kisi or ka dosh nahi.....
Logged
natural
Guest
«Reply #4 on: March 04, 2006, 07:07:24 AM »
Reply with quote
Quote from: "tushar_4u_im"
Quote from: "tushar_4u_im"
Itna toota hoon Kay chhonay se bikhar jaon ga
Ab agar aur dua do gay to mar jaon ga
Pooch kar mera pata waqat raye gaan na karo
Main to banjara hoon kia janay kidhar jaon ga
Phool reh jaien gay fakat gulldanoon ki nazar
Main to khushboo hoon hawaon mein bikhar jaon ga
Zindagi main bhi musafir hon teri kashti mein
Tu jahaan mujh se kahay ge utar jaon ga
Ab agar aur dua do gay to mar jaon ga
Itna toota hoon Kay chhonay se bikhar jaon ga



sorry ye meri galti nahi hai mere dost ne mera is khol ker isse likha hai
or mai isme not mine nahi likh sakta kyuki maine ye sher nahi likha .....

bus mai sorry keh sakta hu or wo mai keh raha hu......

SORRY.........................

 Puzzled !  Puzzled !
Logged
kaiynath
Guest
«Reply #5 on: March 04, 2006, 10:50:40 AM »
Reply with quote
that was nice tushar
Logged
tushar_4u_im
Guest
«Reply #6 on: March 04, 2006, 03:44:48 PM »
Reply with quote
lakin ye maine nahi likha na kayinath
jo nahi likha wo chahe kaise bhi ho galat hai ......


itna toote hum kisi bedard ki aaisi baho me......
kate bhi lage phool hume unke sang raho me.......
na chahte hue bhi hum unse pyar ker baithe........
unko aapna dil deke khud per hi warr ker baithe.....
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #7 on: March 05, 2006, 03:45:59 AM »
Reply with quote
Toot chuka hoon tera Intezar karte karte......
Kab tak likhunga yeh Sher-O-Shayari tere khayalon mein......
Kahin mar na jaon yoon hee kisi dinn tere liye Aahein bharte bharte.....

Tadap ke reh jaati hai meri rooh.......
Saansein bhi saath chor chalengi kisi dinn......
Mein bhi chala jaonga yoon haste haste...........
Logged
tushar_4u_im
Guest
«Reply #8 on: March 05, 2006, 07:47:27 AM »
Reply with quote
na der satai koi na satai koi gum hume....
teri zulfo ki chow tale guzar jaye yuhi zindgi.........

_________________________________________________ ____________

tumse milne ki khawish liye baithe hai ,,,,aa kabhi aaker ikkrar to ker.....
hum baithe hai tere der per aapne hath failai kabhi aa or hume aapne seene se laga le
zakhmi hai dil mera tarap raha hai tere pyar ko ...aa ja mere karib aa mujhe gale laga le
_________________________________________________ ____________

humara dard tum kyu mehsuus karoge kyu tum humare liye aahe bharoge...hum cheer denge dil aapna tere aage lakin tum phir bhi kaha hume palatker pyar karoge....

_________________________________________________ ____________

kabhi yaad to tumhe humari aati nahi .
jaan dete hai hum magar kabar tumhe sunai jati nahi
sulag jate hai hum yuhi zinda reh ker bhi ,,,,tumhe kabhi humare jalne ki boo bhi aati nahi............
Logged
BeNam
Guest
«Reply #9 on: March 05, 2006, 01:03:08 PM »
Reply with quote
Quote from: "tushar_4u_im"

kabhi yaad to tumhe humari aati nahi .
jaan dete hai hum magar kabar tumhe sunai jati nahi
sulag jate hai hum yuhi zinda reh ker bhi ,,,,tumhe kabhi humare jalne ki boo bhi aati nahi............


Kya baat hai Tushar bahot achhe! BS Ji well said!

Her arazu tujhe pane ko tadape,
Her lamha tere didar ko tarase,
Hum tere ek izhaar ko tadape,
Kabhi yeh ghata hum per bhi toh barase!
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #10 on: March 05, 2006, 02:25:11 PM »
Reply with quote
Aaye Meri kalam ki shayahi..
Aapne Houslon ko zara Buland karke Baras
Aye Meri Hijr-o-gum ki shayahi..
Tanhai jabb sataye to zara jamm ke Baras
Manzilon ko karde to rafta..
Mehfil Sajne de kuch lamha Tham ke Baras
Loutne ke raastey karde bandh
orr harr raahon pe tu zara jamm ke Baras!!
Logged
tushar_4u_im
Guest
«Reply #11 on: March 05, 2006, 04:17:01 PM »
Reply with quote
itna toota hu mai aab k ......
tere bvin na jee sakunga tere bin mer bhi na sakunga ....aab to aalam hai tujhse mera...tere bin na mai kabhi khush reh sakunga
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #12 on: March 05, 2006, 06:43:16 PM »
Reply with quote
Toot ke toh woh Guldasta bhi na bach paya.......
Toh dil cheez hee kya hai......

Jab pehle hee likha hai khuda ne sabki kismat ka khel......
Toh bande ki Raza kya hai.................!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!
Logged
anand_modani
Guest
«Reply #13 on: March 06, 2006, 12:16:45 AM »
Reply with quote
Quote from: "badnaam_shayar"
Toot ke toh woh Guldasta bhi na bach paya.......
Toh dil cheez hee kya hai......

Jab pehle hee likha hai khuda ne sabki kismat ka khel......
Toh bande ki Raza kya hai.................!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!


bande ki raza kyon zaroori hai nahi?Huh?
kyonki pyar karna koi mazboori hai nahi.............
pyar usse hota hai jisse dil lag jaye
to phir khuda aur kismat kahan beech mein aaye.......
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #14 on: March 06, 2006, 04:51:42 AM »
Reply with quote
nice ones tushar ji, badnam ji and benam ji ..
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 06:31:17 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.116 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer