Itne ache kyu lagte ho?

by arzoo22 on November 04, 2006, 05:55:03 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 10974 times)
arzoo22
Guest
Reply with quote
Itni muddad baad mille ho!
Kin socho me Gum phirtay ho?
Itne Khaif  kyu rehte ho?
Har ahat se darr jaate ho!
Taazi hawa ne mujhse pujha:
Rait pe kya likhte rehte ho?
Kaash koi hamse bhi pujhe :
Raat gaye tak kyu jaage ho?
Me darya se bhi darta hu,
Tum darya se bhi gehray ho!
kounsi baat hai tum me aisi?
Itne ache kyu lagte ho?

NM
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Aap muskuraate hue he achhe lagte ho by pankaj_pups in Shayri for Khumar -e- Ishq
Kya Kya Lagte Ho!! by Kumkum in General Stories
Reasons for Amitabh's stomach ache........!! by sunny_bunny in SMS , mobile & JOKES
tum mujhko achche lagte ho by tabassum shakeel in Shayri for Khumar -e- Ishq
tanha hum lagte hai by samnoj in Miscellaneous Shayri
arzoo22
Guest
«Reply #1 on: November 04, 2006, 05:58:39 PM »
Reply with quote
Dil karta hai tumse pyari si baat ho,
Khamosh ho sabhi taare...lambi si raat ho,
Phir raat bhar tumse yehi guftugu rahe:
ke tum meri zindagi ho meri kayenaat ho.........

NM
Logged
arzoo22
Guest
«Reply #2 on: November 04, 2006, 06:02:39 PM »
Reply with quote
Meri raat din me chuppi hui,
mera din chupa kisi raat me.
Meri zindagi koi raaz hai,
koi raaz hai meri zaat me.
Me jaha kahi bhi bhatak gaya,
waha girtay girtay sambhal gaya.
Mujhe thokhro se pata chala,
mera haath hai kissi haath me......

NM
Logged
arzoo22
Guest
«Reply #3 on: November 04, 2006, 06:08:54 PM »
Reply with quote
Suno...acha nahi lagta.
Mujhe acha nahi lagta,
karre jab tazkara koi,
tumhari zaat ko khojay,
tumhari baat ko sochay,
mujhe acha nahi lagta.
tumhari muskurahat par hazaaro marte ho,
tumhari ik ahat par hazaaro dil dharakte ho,
kissi ka tum pe yuh marna mujhe acha nahi lagta.
Suno...acha nahi lagta

NM
Logged
arzoo22
Guest
«Reply #4 on: November 04, 2006, 06:18:26 PM »
Reply with quote
Mere Sabr ka na le imtihaan,
meri khamshi ko sada na de.
Tere baghair jo na jee sakoo,
mujhe zindagi ki dua na de.
mere ang ang lahu lahu,
meri har kasak me hai tu hi tu,
lubay zakhm jo kabhi bol uthay,
mujhe us dard ki dua na de!
Jo sakoon dil  ka sakoon ho,
jo karar dil ka karar ho!
jo de sakay wo tu hi tu,
jo na de sakay wo khuda na de!
Tujhe pa ke bhi na chah saku,
tujhe chah ke bhi na pa saku!
Meri hasarato ko shumar kar,
meri chahato ka sila na de.
Ik lahek hai jo shola-e-jaan thi
mere tan badan se lipat gayi,
jo bhuja sake to bhuja issay,
na bhuja sake to hawa na de................

NM
Logged
arzoo22
Guest
«Reply #5 on: November 04, 2006, 06:22:22 PM »
Reply with quote
Kehne ko to ISHQ ki tafseer hi boht.
Pharli to Ankho ki tehreer hi boht.
Betha raha wo paas to me sochti rahi:
Khamoshio ki apni taseer hi boht...

NM
Logged
arzoo22
Guest
«Reply #6 on: November 04, 2006, 06:25:19 PM »
Reply with quote
Unse ROOZ milne ko dil chahta hai
Kuch sunnaye aur sunane ko dil chahta hai
Tha kissi ke manane ka Andaaz esa ke
Phir rooth jaane ka dil chahta hai.....

NM
Logged
arzoo22
Guest
«Reply #7 on: November 04, 2006, 06:28:37 PM »
Reply with quote
Baat esi ho ke jazbat kam na ho,
Khealat ese ho ke kabhi Gham na ho.

Dil ke konay me itni si jagah rakhna,
ke khaali khaali sa lagay Jab ham na ho....

NM
Logged
arzoo22
Guest
«Reply #8 on: November 04, 2006, 06:31:24 PM »
Reply with quote
Azmaish pyar me zaruri hoti hai,
na mil pana kisi ki majboori hoti hai.

Yaad dur se aapko kar to sakte hai,
lekin dil ki hasrat to mulaqat se hi  puri hoti hai.........

NM
Logged
arzoo22
Guest
«Reply #9 on: November 04, 2006, 06:34:17 PM »
Reply with quote
Tussi hasde ho sanu hasaan waaste,
tussi ronde ho sanu rulaan waaste.
tussi ek vaar ruske te vekho,
mar  jawange tuhanu manan waaste....

NM
Logged
arzoo22
Guest
«Reply #10 on: November 04, 2006, 06:39:08 PM »
Reply with quote
Tujhse milne ka mann kar raha hai,
mann ko samjhaya to dil tarap raha hai.
Dil ko bataya to aankhe ro padi,
unhe chup karaya to saanse bol padi...!

NM
Logged
arzoo22
Guest
«Reply #11 on: November 04, 2006, 06:46:03 PM »
Reply with quote
Tere ikhlaas se mohabbat ki hai.
Tere ehsaas se mohabbat ki hai.
Tu mere paas nahi hai,phir bhi
teri Yaad se mohabbat ki hai.
Kabhi tune bhi mujhe yaad kia hoga,
mene un lamhaat se mohabbat ki hai.
jin me ho sirf teri aur meri hi batain,
mene un oqaat se mohabbat ki hai.
Aur jo mehkay ho sirf teri hi mohabbat se,
mene un jazbaat se mohabbat ki hai.
Tujhse milna to ab khwaab sa lagta hai,
mene tere intizaar se mohabbat ki hai.........

NM
Logged
srikant
Guest
«Reply #12 on: November 05, 2006, 11:36:08 AM »
Reply with quote
aarzo ji pyar cheej hi aisi hai
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #13 on: November 07, 2006, 06:32:27 PM »
Reply with quote
Quote from: "arzoo22"
Tere ikhlaas se mohabbat ki hai.
Tere ehsaas se mohabbat ki hai.
Tu mere paas nahi hai,phir bhi
teri Yaad se mohabbat ki hai.
Kabhi tune bhi mujhe yaad kia hoga,
mene un lamhaat se mohabbat ki hai.
jin me ho sirf teri aur meri hi batain,
mene un oqaat se mohabbat ki hai.
Aur jo mehkay ho sirf teri hi mohabbat se,
mene un jazbaat se mohabbat ki hai.
Tujhse milna to ab khwaab sa lagta hai,
mene tere intizaar se mohabbat ki hai.........

NM

good Usual Smile

Bahut hain zulm keh dast-e-bahana-ju keh liye
Jo chund ahel-e-junoon tere naam leva hain
Baney hain ahel-e-hawas muddai bhi, munsif bhi
Kise wakil karen, kis-se munsifi chahen
NM
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 10:26:28 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer