Izhar

by thycreator on September 10, 2005, 09:56:14 AM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 3775 times)
thycreator
Guest
Reply with quote

Kab tak rahenge chup yuhi kuch bhi na kahenge,
Yuhi khamosh baith ek duje ko dekha karenge...

Jhilmil rat bhi sitaron ke aagosh mein chali,
Kab tak hum yuhi judai ka dard sahenge...

Jo bat tere dil mein hai wahi iss dil mein dabi hai,
Ab kab talak tanha hum yuhi aahen bharenge...

Iqrar teri aankhon mein hai ijhar kyu nahi hota,
Kab tak yuhi hum iss zalim jamane se darenge..

Ab ye mel bhi kaisa jo chand labzon ke nazar ho,
Ab toh nigahon mein hi har bat karenge....

Tu bhi na kuch kehna mujhe,hum bhi na kahenge,
Tere in kapkapate lab ki hi bhasha hum sunenge..

Gar izhar e muhabbat itna mushkil hai mere humdum,
Bina izhar hi hum tujhe muhabbat bhi karenge....
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
izhar by injured.warrior in Shayri for Khumar -e- Ishq
Pyaar ka izhar... by shivani(9899207979) in SMS , mobile & JOKES
izhar na kar saka by nadia brohi in Shayri for Dard -e- Judai
love{izhar] by Nahid Ayaz in Urdu Poets
FEELINGS{IZHAR} by Nahid Ayaz in Urdu Poets
HumTum
Guest
«Reply #1 on: September 10, 2005, 10:18:14 AM »
Reply with quote
hummmmmm  waah waah bahut khoob Creator ..... Salma ji kuch pda aapne ...... gour talab ki baat hai;) Miyaan dewane hote chle ja rhy hai  ........... uffffff  kya nasha hota hai ....ishq ka bhi .. na din ki kabar na raat ka pta ..... ik chehra ankhoon mein har lamha rehta hai ........ haye  re husn tera kya kehna ..tum pe mit na jaye to kehna ......... chaliye hum bhi kuch likhte hai ......



gar dil na hota na jahaan yeh hota
zameen bhi na hoti asmaan hi hota

dilon ki badaulat khayam mohabbat
gar yeh na hota kuch bhi na hota

rab ki raza ko bhi azmaye zamana
dard se haar jaaye vo dil na hota

sab ko pata hai mohabbat khuda hai
khud apne liye dil banaya na hota
Logged
thycreator
Guest
«Reply #2 on: September 10, 2005, 10:23:59 AM »
Reply with quote
Ha ha ha humtum bhai......mulakat ho hi gayi......sach kaha waise apne...........

Iss dil ka hi aalam hai jo dunia rangeen ho chali,
Issi se jinda hai sabhi,kayanat iss se hi pali...
Kehte hai ki sabse haseen jajjba e muhabbat hui,
Issi se hui subah, issi mein sham hai dhali....
Logged
HumTum
Guest
«Reply #3 on: September 10, 2005, 10:44:35 AM »
Reply with quote
bahoot khoob Creator !!!


hai zinda aaj bhi muhoobat duniya mein dost
aaj bhi yha ranjha heer ke liye tadpta hai
iss ishq ne to apne rang mein rang liya hai
har lamha ab mehboob ki yaad mein guzrta hai !!
Logged
thycreator
Guest
«Reply #4 on: September 10, 2005, 10:48:26 AM »
Reply with quote
Sahi kaha dost...........mere dil se poocho......

Mehboob ki yad mein ab toh meri sansein chalti hai,
Ussi se din guzarta hai,ussi se raat dhalti hai,
Wo nahi hai jo kya ujala kya andhera hai,
Uski muskan se hi ab toh dil ki shama jalti hai.... ;-)
Logged
HumTum
Guest
«Reply #5 on: September 10, 2005, 10:52:56 AM »
Reply with quote
hummmmm ........  Miyaan ...... aaj kal taivar kuch badle badle hai aap ke ......  Salma ji hummm .. ab kya khe;)


ik uska khayaal hai ke jo dil se kabhi jata nhi
ik lamha bhi uske bhgair dil reh pata nhi
yeh ussi ki jadugari ka hi to asar hai goya
raat ko need aati nhi, din ko qraar aata nhi;)
Logged
thycreator
Guest
«Reply #6 on: September 10, 2005, 10:58:38 AM »
Reply with quote
wah wah........miyaan tum hi samajhte ho...jisse samajhna chahiye wo samajhta nahi.......:-(

Wo mud ke dekh le toh hum de denge apni jaan,
Ek nazar ka sawal hai,hoga bada hi uska ehsaan,
Koi toh kahe usko ki barson tadpe rahe hai hum,
Samajh hi nahi sake ki usko kiska hai gumaan...:-(
Logged
HumTum
Guest
«Reply #7 on: September 10, 2005, 11:04:42 AM »
Reply with quote
koi baat nhi Miyaan ... khoish jari rhey ... ik na ik din to sada mehboob  tak pahunchegi ...... uska dil bhi bechain hoga ...... tadpega vasl ke liye ... pyaar mein bda asar hai ......  waseey bhi yeh husn wale kha asaani se mate hai;)

E husn walo zra sambhal bhi jao tum
yun karna qatal ishq ka acha nhi hota
yeh to ishq ka jazba hai ke uff tak nhi karta
aiseey dilbhar ko tadpana acha nhi hota !!


ab aur kya khe Creator ....... woh samjh jayegei yeh sher pad ke !!
Logged
thycreator
Guest
«Reply #8 on: September 10, 2005, 11:09:43 AM »
Reply with quote
wah wah wah.................

Husn ko hosh aa jaye toh hum shayar kaise honge,
Unki adaon ko jhoothlana bhi toh accha nahi hota...happy9
Logged
HumTum
Guest
«Reply #9 on: September 10, 2005, 11:12:57 AM »
Reply with quote
Mana ke adawaar hai woh hai jalwa e magroor
lekin apne ashiq ko zinda jalana acha nhi hota !!
Logged
thycreator
Guest
«Reply #10 on: September 10, 2005, 11:17:28 AM »
Reply with quote
Ye bhi sahi hai..........

Khuda de tu samajh itni inn husn walon ko,
Aashiq ka dil tadap jaye toh accha nahi hota......
Logged
HumTum
Guest
«Reply #11 on: September 10, 2005, 11:20:33 AM »
Reply with quote
Husn waloon yeh tumhari naz o adaa hum hi se hai
ishq ko sar e raah yun karna bezaar acha nhi hota
na aayega tumhare dil ko bhi qaraar yeh jaan lo
yun karna kissi ka qatal sarkaar acha nhi hota
Logged
thycreator
Guest
«Reply #12 on: September 10, 2005, 11:25:48 AM »
Reply with quote
Ha ha ha...........sahi kaha ji........ekdam sahi...

Gar aashiq hi na ho toh husn bhala kaun poochega,
Yu humko thukarana yaar accha nahi hota....
Husn waqt ka mohtaaz hua hai barson se,
Chodna ishq beparwaaz yu accha nahi hota....
Logged
HumTum
Guest
«Reply #13 on: September 10, 2005, 11:29:17 AM »
Reply with quote
pehley apni adaa se iss dil ko lubana, tadpana
phir yun muuh mood ke jana acha nhi hota
hum hi se toh zinda hai ab tak husn ka wajood
yjn ab ishq ke nazarein churana acha nhi hota;)
Logged
thycreator
Guest
«Reply #14 on: September 10, 2005, 02:53:14 PM »
Reply with quote
Wah bhai HumTum.....

Ye dil ko lubhana,tadpana,tanha kar jana,
Inn adaon se aaya hai haseeno ka jamana,
Koi samjhaye inn nasamjh logon ko ek bar,
Wo shama bhi kya hui jiska na ho parwana.....
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:17:46 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.113 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer