jaan lena

by rubyali on July 10, 2008, 07:02:38 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1172 times)
rubyali
Guest
Reply with quote

Kabhi tum kitabon mein kuchli hui koi titli jo dekho
To ye jaan lena...!
Mujhe aasma“n aur zamee“n ne kuchal kar
Tumhari kitabon mein titli ki soorat bakhsh di hai

Kabhi phool toota hua koi pao
To ye jaan lena...!
Mujhe Mere andar ne khud tor kar
Tere qadmon mein naqsh-e-wafa kar diya hai

Kabhi koi saagar umadta jo dekho
To ye jaan lena...!
Ye mere hi aansu hain jo ab samandar mein toofa“n baney hain

Kabhi phool,titli,samandar kinarey
Guzarte huye tere qadmon ko thaamey
To ye jaan lena...!
Ye main hoon jo thak kar yahan agaya hoon
Hamarey liye aise din bhi likhe they
Ke jin mein ana ne fana k safar mein
Keyi dard jhelay
Keyi roop dharey
Kabhi phool titli,samandar kinarey
Kabhi rang khushbu,ujala sitarey
 
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Sar jhuka lena.. by hifrnd20 in Shayeri for Dard -e- Bewafai
~~~~~>soch lena!!!!!!<~~~~~ by roshni246 in Shayri for Khumar -e- Ishq
rok lena mujhko by majid in Shayri for Khumar -e- Ishq
Apna lena by manoj12021989 in Shayri-E-Dard
***aajma lena*** by kaushikbhawna008 in Miscellaneous Shayri
Muhammed
Guest
«Reply #1 on: July 11, 2008, 04:06:41 AM »
Reply with quote
Kabhi phool toota hua koi pao
To ye jaan lena...!
Mujhe Mere andar ne khud tor kar
Tere qadmon mein naqsh-e-wafa kar diya hai


Waah Rubyali Ji..Wafaa Ka Haqq adaa Karne Wali Lines..Nice
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #2 on: July 11, 2008, 04:42:13 AM »
Reply with quote
bohut khoob ruby ali ji

bade shauk se dil tod jaane wale
haan tere hain kai chahne waale
par wada hain mera bhi tujhse mohobbat ka
yu mujhsa na milega tujhe
har kadam par jaan lutane wala
Logged
Talat
Guest
«Reply #3 on: July 16, 2008, 08:42:09 PM »
Reply with quote

Kabhi tum kitabon mein kuchli hui koi titli jo dekho
To ye jaan lena...!
Mujhe aasma“n aur zamee“n ne kuchal kar
Tumhari kitabon mein titli ki soorat bakhsh di hai

Kabhi phool toota hua koi pao
To ye jaan lena...!
Mujhe Mere andar ne khud tor kar
Tere qadmon mein naqsh-e-wafa kar diya hai

Kabhi koi saagar umadta jo dekho
To ye jaan lena...!
Ye mere hi aansu hain jo ab samandar mein toofa“n baney hain

Kabhi phool,titli,samandar kinarey
Guzarte huye tere qadmon ko thaamey
To ye jaan lena...!
Ye main hoon jo thak kar yahan agaya hoon
Hamarey liye aise din bhi likhe they
Ke jin mein ana ne fana k safar mein
Keyi dard jhelay
Keyi roop dharey
Kabhi phool titli,samandar kinarey
Kabhi rang khushbu,ujala sitarey
 


Thanks for "sharing" this beautiful poem.....Jisne bhi likhi hai kamal ki likhi hai !!
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 03:35:41 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.096 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer