Jab Tum Mere Paas Nahi Hote...

by Aryaan on December 10, 2005, 01:51:00 AM
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8 9 10
ReplyPrint
Author  (Read 16280 times)
Pooja
Guest
«Reply #90 on: March 24, 2006, 03:50:16 PM »
Reply with quote
wah kay abaat kahin hai!!

Najre mila kar mile aor wo samne aa baithy
hum kaya kahe dosto, hum to jameen se asmaan mai ja baithy
kuch der kari baaty aor wo uth kar chalne ko hui
yah jameen thum gai, aor hum kisi andhiyare mai aa baithy!!
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #91 on: March 24, 2006, 06:23:07 PM »
Reply with quote
Alag sa rut-ba hai ab mera
Jab se tujhse izhaar ho gaya

Har tarf ab tu hi tu dikhta hai
Ab yeh jahan, Gul-e-Gulzaar ho gaya
Logged
Pooja
Guest
«Reply #92 on: March 24, 2006, 06:31:48 PM »
Reply with quote
wah!!!

gul-e-gulzaar, dil mai aa gai bahaar
tune yah kaya kaha jhoom ke
dil ho gaya madhosh jhoom ke
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #93 on: March 24, 2006, 07:56:35 PM »
Reply with quote
haar taraf baas app hi ki tasveer hai
mera dil ki deewaroin pe sirf tera naam hai
meri ankhoin mein paas teri he pyaas hai
mera khwaboon mein tumhara he chehra bassa hai
mera dil aur dimagh pe tera he saaya hai
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #94 on: March 25, 2006, 02:43:32 AM »
Reply with quote
Quote from: "mehek"
bohat khoob aryaan ji
bohat acha likha hai aapne

and good one lallu ji Usual Smile

Bohat shukriya Mehek...
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #95 on: March 25, 2006, 02:47:42 AM »
Reply with quote
Quote from: "abeera"
asalam alkikum aryaan
best as always ,nice wordings

Kabhi yun bhi aa meri aankh main ke meri nazar ko khabar na ho
mujhe aik raat nawaaz de magar uske baad sahar na ho

Wo barha Raheem-o-Kareem hai mujhe ye sifat bhi ataa kare
tujhe bhuulne ki dua karuun tu dua mein meri asar na ho

take care aryaan ALLAH HAFIZ

Waleikum asalaam Abeera & Thanks a lot...
bohat khoob... keep writing..
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #96 on: March 25, 2006, 02:50:44 AM »
Reply with quote
Nice Ones Majid, Pooja, BD & Anjani_si...
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #97 on: March 25, 2006, 03:03:28 AM »
Reply with quote
Sulagtey Lamhey, pighalti saansein
Azaab raatein
Tumhari yaadein, tumhari baatein
Jinkey darmiyan gumm hain
Mere raaste, meri manzilein
Main kho gaya hoon
Bikhar gaya hoon
Najaane kab, najaane kaise
Umeed hai phir bhi...
Ek Aasra hai
Bharosa hai uss par
Jo mera Khuda hai
Mere safar ke nishan-e-manzil
Tumhari roshni mukhtasir hai
Timtimati, larkharati
Kabhi chamakti, kabhi larazti,
Kabhi wazeh, Kabhi maddham
Najaane kab Mile gi Mujhe
Meri mohabbat, Meri Manzil...
Logged
mehek
Guest
«Reply #98 on: March 25, 2006, 05:05:48 AM »
Reply with quote
bohat khoob majid.. pooja..jeet
and aryaan... Usual Smile
Logged
mehek
Guest
«Reply #99 on: March 25, 2006, 05:39:37 PM »
Reply with quote
nice one majid..


tere yaadon ka ho mela toh.. har intezaar ka pal guzaru main..
ho tere aangan khushi ki bahaar.. sabhi kaanton se apna daaman sajalu main..
teri mohabbat ka is qadar hai junoon.. zindagi bhi hairaan hai..
teri baahon mein nikale dam.. toh maut ko bhi gale lagalu main..
Logged
mehek
Guest
«Reply #100 on: March 26, 2006, 03:12:05 PM »
Reply with quote
bohat khoob majid


unka naam sunkar lab muskurate hain..
tassavur jo ho unka aankhien chamak jaati hain..
yeh unki mohabbat ka asar hua hai jabse..
udte hain hawaon mein kabhi laaj mein simat jaate hain..
:oops:
Logged
Tosha
Guest
«Reply #101 on: March 26, 2006, 03:24:20 PM »
Reply with quote
Quote from: "Aryaan"
Quote from: "Ricky"
Good style but Mr. Aryaan.. I am unable to read atleast 1/4th of the poem due to the color merging.

Well Mr. Ricky..here you go...


Jab tum mere paas nahi hote
Tau yun lagta hai keh kuch namukammal hai
Sab kuch hote huwe bhi, kuch kami si hai
Yeh parinde cheh-chaha nahi rahe
Balkeh kisi ke na hone ki itallah de rahe hain
Khushi ke mauqe par bhi
Udaasi chaayi rehti hai
Jahan jaaun aisa lagta hai
Keh kuch kami si hai
Harr dar, harr deewaar, harr gali
harr makaan mein
Mujhe tumhari shabeeh dikhayi deti hai
Raat ki tareeki mein tum dikhayi dete ho
jab din mein, harr kiran mein
tumhara hi chehra hota hai
Lekin tumhein meri haalat ka ka ilm
Tum tau mujhse koson door ho
Aur isi tassawur ne mere wajood ke
do tukre kar diye hain...

Meri mahooba hai tu
tu har pal mere khaiyole main hai
aasma ke ek pari hai tu
aaye zamee pe tu mere liye.
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #102 on: April 02, 2006, 06:54:02 PM »
Reply with quote
Bohat shukriya Mehek & Majid...

Very Nice  Mehek, Majid & Tosha....Usual Smile
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #103 on: April 02, 2006, 07:03:03 PM »
Reply with quote
Apna dil paish karoon, apni wafaa paish karoon
Kuch samajh mein nahi aata tujhe kya paish karoon

Tere milne ki khushi mein koyi naghma chaidoon
Ya tere dard-e-judaai ka gilah paish karoon

Mere khwaabon mein bhi tu, mere khayaalon mein bhi tu
Kaun si chiiz tujhe tujh se juda paish karoon

Jo tere dil ko lubhaaye woh adaa mujh mein nahi
Kyun na  tujh ko koyi teri hi adaa paish karoon..
Logged
mehek
Guest
«Reply #104 on: April 02, 2006, 07:12:40 PM »
Reply with quote
bohat khoob aryaan ji
Logged
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8 9 10
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 01:10:24 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.128 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer