jab tum milogi

by samir_bc on February 14, 2006, 09:31:32 AM
Pages: 1 ... 4 5 6 7 [8]
ReplyPrint
Author  (Read 11240 times)
samir_bc
Guest
«Reply #105 on: August 20, 2006, 01:25:59 PM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"

bahut khoob ..samir  :D



kuch raahi bas yun hi mil jaate hain
saath saath chalat hue hamkadam ho jaate hain

chhipa lo hame apni palko mein kahi
chalo kuch dur hi sahi hum aapke humsafar ban jaate hain

haatho ki lakeero mein jo nahi basate hain dost
kabhi kabhi wahi zindagi ke sahaare  ban jaate hain

talash karte rahe hum bhi ab tak na jaane kya kya
aaj chalo ishq mein had se gujar jaate hain

basa iiya hai jabse us tasveer ko hamne dil ke aaeine mein
bas ab har lamha hum unko apne hi kareeb paate hain


good one ranjana ji,
thnks gourav ji, apke to hum kabse fans hain, bahoot khoob likha hai apne


mile hum tujhse achanak,per ab yun lagta hai
zindagi ka safar tere bin hum kat na payenge

chaloge jo do kadam bhi hamare humsafar banker
un palon ko hum kabhi na bhool payenge

hum bhale hi tere haathon ki lakeeron me nahi
hai yeh wada., hum tera saath zindagi bhar nibhaynge

hum dil-o-jaan se tere ho chuke hain jaane jaan
ab to hum apni rooh tak me tumhe basayenge

rahoge saath hamare isi tarah karo waada humse
ke hum door hoker tujhse ek pal bhi na je payenge



Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
KAB MILOGI TUM___DIL_K_JAZBAAT by DIL_K_JAZBAAT in Shayri for Dard -e- Judai
ranjana
Guest
«Reply #106 on: August 21, 2006, 05:04:20 AM »
Reply with quote
koi deta hai mujhe dil ki gehraiyo.n se avaaz
koi mujhe apne kareeb bulaata hai

hai rishta kya tujhse mera bata de
yeh dil samajh nahi paata hai

ek khumar sa chhaaya hai meri rooh per
koi mujhe bin peeye hi behekaata hai

khil rahe hain mere tan mann mein palaash van
yeh kaun hai jo mujhe ishq ki raha per liye jaata hai

machal rahi hain tamanaye betaab ho kar aaj
koi mere rooh mein apne baato ke jaadu se samaaye jaata hai
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #107 on: August 21, 2006, 06:02:30 AM »
Reply with quote
shukriya samir ji aur haan aap khud hi behadd khubsuratt likhtey hain... ranju ji badnaam ji bahut khoob......
Logged
samir_bc
Guest
«Reply #108 on: August 21, 2006, 12:01:47 PM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
koi deta hai mujhe dil ki gehraiyo.n se avaaz
koi mujhe apne kareeb bulaata hai

hai rishta kya tujhse mera bata de
yeh dil samajh nahi paata hai

ek khumar sa chhaaya hai meri rooh per
koi mujhe bin peeye hi behekaata hai

khil rahe hain mere tan mann mein palaash van
yeh kaun hai jo mujhe ishq ki raha per liye jaata hai

machal rahi hain tamanaye betaab ho kar aaj
koi mere rooh mein apne baato ke jaadu se samaaye jaata hai




bahoot khoob ranjana ji


dil ki gehraiyon se jo awaz di hai humne
ek baar us awaz ko apni dhadkano me basa ker to dekho

bhul jaogi jo gam hain tumhare yeh wada hai
bus ek baar humare kareeb aaker to dekho

hum abhi se kiya batayen kiya rishta hai tera mera
pehle ek baar dil se yeh rishta banaker to dekho

bina mile hi tum hamari rooh me basne lagi ho
ek baar hume bhi apne dil me basaker to dekho

tumhari har mushkil ko asaan bana denge hum
ek baar humper tum bhrosa to karke dekho

tum kehte ho bahoot mushkil hai ye ishq ki raah
ek baar banake humsafar hamare saath kadam badaker to dekho

kar denge hum tujhper yeh zindagi bhi fanah
ek baar apna samajhker aazmaa ker to dekho


Logged
ranjana
Guest
«Reply #109 on: August 22, 2006, 04:46:39 AM »
Reply with quote
uski baato mein jo bholapan hai wahi is dil ko lubhaata hai
 uska  yeh saadapan mere hosh udaa jaata hai

uske sapane duniya mein sabse anokhe se lagte hain
uski khmosh jubaan se bhi mohbbat ka peghaam aata hai

jab woh nazaro se kuch kehta hai muskara ke mujhe
mujhe baago mein khile hue gulaabo ka dhayaan aata hai

dil jaanta hai mera ki uske haatho mein basi lakeer nahu hun main
woh fir bhi mujhe le kar apne khawabo ko sajaata hai
Logged
akil khan
Guest
«Reply #110 on: July 07, 2009, 07:25:11 AM »
Reply with quote
dua k veer main ek dua humari hoge, jisme mange her khushi tumhari hoge, jab bhi koi khushi mile to samajh na dua jo qubul huwe wo humari hoge.
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #111 on: July 07, 2009, 08:17:07 AM »
Reply with quote
Wah Sameer ji,Ranjna ji,Akil ji very nice and beautiful creation. icon_thumleft Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #112 on: July 07, 2009, 08:21:04 AM »
Reply with quote
Nice ones Samir Ji N Ranjana Ji
Logged
Pages: 1 ... 4 5 6 7 [8]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 11:49:05 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer