janoon *****

by ranjana on October 28, 2006, 03:50:09 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1256 times)
ranjana
Guest
Reply with quote
teri aankho mein shokhiyaan hai zamaane bhar ki
jise tu dekh le woh fir bhatakane ka naam na le

rakh liya hai hamne tujhe apni nazaro mein Qaid karke
ab is dil ko behekane ka ilzaam na de

kaun karega  beadabi ab is IsaQ mein
jahan khud KHUDA aa ke isaq ka payaam de

mohbbat hai ek dariya aur jawaani iski lahere.n hain
ab kaun inmein doobane ka naam na le

diwaana bana deta hai mujhe ishqe janoon uska
mohbbat mein koi janoon se ubharne ka naam na le
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
kaisa janoon by salmaan delhi in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2  All »
ishq-e-janoon by jeet jainam in Shairi for Manzar -e- Kudrat
Sonu
Guest
«Reply #1 on: October 28, 2006, 04:52:46 AM »
Reply with quote
Ranju sis bahut khoob.... wonderful...

Quote from: "ranjana"
teri aankho mein shokhiyaan hai zamaane bhar ki
jise tu dekh le woh fir bhatakane ka naam na le

rakh liya hai hamne tujhe apni nazaro mein Qaid karke
ab is dil ko behekane ka ilzaam na de

kaun karega  beadabi ab is IsaQ mein
jahan khud KHUDA aa ke isaq ka payaam de

mohbbat hai ek dariya aur jawaani iski lahere.n hain
ab kaun inmein doobane ka naam na le

diwaana bana deta hai mujhe ishqe janoon uska
mohbbat mein koi janoon se ubharne ka naam na le
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #2 on: October 28, 2006, 05:47:45 AM »
Reply with quote
wonderful   Ranjana sis..........
Logged
ranjana
Guest
«Reply #3 on: October 28, 2006, 08:51:38 AM »
Reply with quote
shukriya Sonu .......Waheed ......majid........



mere labo per koi naam yun bhi aaya thaa
koi saaya dil mein yun hi utar aaya thaa

dekha thaa ek chehara aksar khaawabo mein
aaj uski ek jahalk ko hamne ru baru paaya thaa

khilne laga hai badan mein yeh vasant fir se kaise
koi chupke se aa kar pehlu mein samaaya thaa

badne lagi tapan ab dil mein ishq ki
koi nazaro se dil mein utar aaya thaa

kiski khushboo mehekaaye jaati hai meri saanso ko
pyaar ki pehli chhooan ne yun dil ko behakaya thaa

chaand bhi sharma ke chip raha hai badaalo mein
mere dil ke kareeb woh is qader aaya thaa!!
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #4 on: October 28, 2006, 09:10:21 AM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
teri aankho mein shokhiyaan hai zamaane bhar ki
jise tu dekh le woh fir bhatakane ka naam na le

rakh liya hai hamne tujhe apni nazaro mein Qaid karke
ab is dil ko behekane ka ilzaam na de

kaun karega  beadabi ab is IsaQ mein
jahan khud KHUDA aa ke isaq ka payaam de

mohbbat hai ek dariya aur jawaani iski lahere.n hain
ab kaun inmein doobane ka naam na le

diwaana bana deta hai mujhe ishqe janoon uska
mohbbat mein koi janoon se ubharne ka naam na le


bahut khoob RANJANA... humesha ki tarah khubsoorat kalaam likha hai
aapne... is kalaam ke aage kuch likhne ki himmat hi nahi ho rahi....
kitna hi acha likhne ki koshish karun.. par iske aage feeka hi lagega..

bahut khoob................!!!!!!!!!!!!!!!
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #5 on: October 28, 2006, 10:00:32 AM »
Reply with quote
Ranju di... Dono kalaam bahut achhe lage...
Bahut achha likha hai Di... =D> =D>
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #6 on: October 28, 2006, 04:35:12 PM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
teri aankho mein shokhiyaan hai zamaane bhar ki
jise tu dekh le woh fir bhatakane ka naam na le

rakh liya hai hamne tujhe apni nazaro mein Qaid karke
ab is dil ko behekane ka ilzaam na de

kaun karega  beadabi ab is IsaQ mein
jahan khud KHUDA aa ke isaq ka payaam de

mohbbat hai ek dariya aur jawaani iski lahere.n hain
ab kaun inmein doobane ka naam na le

diwaana bana deta hai mujhe ishqe janoon uska
mohbbat mein koi janoon se ubharne ka naam na le



Wonderfull Job Ranju....!!!!

Junoon hai Mahobbat ka......
Warna kaise koi Naam Badnaam kar le......

Ab toh Jee raha hu Hasrat me bhi teri......
Kaho toh tere binn yeh Zindagi bhi jeene ka Naam na le......

Khuli palkon me koi kaise tera Salaam na le......
Dakhil hai jab Armaan Seene me toh kaise bebas Mahobat ko anjam na de.........!!!!!!!! :wink:
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #7 on: October 29, 2006, 02:36:11 AM »
Reply with quote
Quote from: "badnaam_shayar"
Quote from: "ranjana"
teri aankho mein shokhiyaan hai zamaane bhar ki
jise tu dekh le woh fir bhatakane ka naam na le

rakh liya hai hamne tujhe apni nazaro mein Qaid karke
ab is dil ko behekane ka ilzaam na de

kaun karega  beadabi ab is IsaQ mein
jahan khud KHUDA aa ke isaq ka payaam de

mohbbat hai ek dariya aur jawaani iski lahere.n hain
ab kaun inmein doobane ka naam na le

diwaana bana deta hai mujhe ishqe janoon uska
mohbbat mein koi janoon se ubharne ka naam na le



Wonderfull Job Ranju....!!!!

Junoon hai Mahobbat ka......
Warna kaise koi Naam Badnaam kar le......

Ab toh Jee raha hu Hasrat me bhi teri......
Kaho toh tere binn yeh Zindagi bhi jeene ka Naam na le......

Khuli palkon me koi kaise tera Salaam na le......
Dakhil hai jab Armaan Seene me toh kaise bebas Mahobat ko anjam na de.........!!!!!!!! :wink:


wowwwwwwwww.........wonderful ranju mom and gauravji :D:D:D:D:D

mohabbat ka janoon hai jo humhe badnaam kiya ja raha hai
aikh yehi manzil hai, jo humhe chalne pe majboor kar raha hai
app he baatayein e-sanam abbh teri bighar sansein kaise le
tum he tu ho jiske liye dhadkhan yeh sansein liye ja raha hai :D
Logged
Pooja
Guest
«Reply #8 on: October 29, 2006, 02:36:58 AM »
Reply with quote
good job all
Logged
Sonu
Guest
«Reply #9 on: October 29, 2006, 03:42:45 AM »
Reply with quote
sabney bahut acha likha hai wonderful dostooo..... keep up the good work...
Logged
ranjana
Guest
«Reply #10 on: October 30, 2006, 05:51:26 AM »
Reply with quote
wah !! sabka shukriya bahut bahut ..... Usual Smile


katara katara yeh waqt kuch gujar jaaye
aaj yeh sama kuch yun gujar raha hai

koi aake meri yaado mein dil mein utar raah hai
baate kuch unkahi se nazaro se keh raha hai

alsaai oas ki boond sa ho raha hai aaj mann
teri dharkano ka ehasaas aaj yahan ho raha hai

thamta girta yeh jazbaao ka shor hai aaj koi
tere pyaar ka ek katara peene ki aas mein dil beqarar ho raha hai!!
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #11 on: October 30, 2006, 06:36:08 AM »
Reply with quote
Superb Ranju di.... Too Good...
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #12 on: October 30, 2006, 10:52:22 AM »
Reply with quote

Junoon hai ya ishq humara,
Kaise tum ko samjhayege…
Bus har ek lamha lamha,
Naam tera dohrayenge…

Pyaar ke deep jala kar hum,
Tufano ko khud bulayenge..
Muhabbat mey hai kitnii takat,
Aaj yeh hum dikhlayenge…

Naam lenge hum sanam ka.
Sare mehfil unko bulayenge..
Rakh denge kadmo mey dil,
Aur haal-e-dil sab sunayenge…

Rang hai inme armaano ka,
Kaanto sey kyon bachtey ho..
Hum yeh bhi kar jaayenge..
Kaanton mey phool khilaayege… :D
[/b]
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #13 on: October 31, 2006, 03:56:36 PM »
Reply with quote
Gud Job Ranju and Shikha....


Junoon me tere.....
Main Saat Samander paar kar doon......

Katti nahi Raat binn tere.....
Sochta hu Din ke peher Chaar kar doon.....

Nigaah jo tera Deedar maangti hai......
Use teri ek Adaa pe Nisaar kar doon.....

Aaalam hai Betabi ka......
Jee Karta hai Mahobbat iss Dunia me aam kar doon......

Junoon me tere......
Main Saat Samander paar kar doon......~!!!!~
Logged
ranjana
Guest
«Reply #14 on: November 02, 2006, 10:18:14 AM »
Reply with quote
bahut khoob shikha and gauarv ..........too good ....



yeh tere ishq ka janoon kahi kar na de mujhe diwaana
sajan ab ke tum yun hamse nazare na milna

hai teri aankho mein koi pyaar ka badal
yun mujhe bharma ke mera hosh na udaana

dil mein jaag rahi hai kasak si ab koi
dil ko yun ab beqarar na kar jaana

jaana hamne apana de diya sabkuch tujhe
bas ab dil mein bas ke yun dur na tum jaana

janoon ishq ka tere badane laga hai kuch aise
ab mujhe apni duniya apni manzil tum banaana !!
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 07:46:28 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.097 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer