Jara aahista se

by chitra on June 01, 2016, 08:27:32 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1176 times)
chitra
Guest
Reply with quote


Kuchh bechain si saanse , kuchh dhundhli si yaade hai,
kuchh ajeeb se wo jazbaat , aur bahut si baate hai,

Kuchh dhadkano ke shor mein,  khamoush tere mere afsaane hai,
aur milne ki wo tadap, kaise kaise wo bahaane hai,

Ho jaaye guftgu aaj wahi, bahut bolti si teri nigahe hai,
bahak jaaye bekhudi mein wanhi, bahut rangeen si wo rahe hai,

uff kya haseen khyaal ye hai, zara ahista se ye farmaane hai,
ahat si bhi na ho koi, bahut bedard se ye zamaane hai.



Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
aahista aahista.... by tushar_4u_im in Shayri-E-Dard
Humein Aa-Hii Gaya Hunar Aahista Aahista! by nirbhay in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3 4 »
*****Aahista ***** by honeyrose in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Milegi Nazar Se Nazar Aahista-Aahista..!!...Shireen Hakani by Shireen Hakani in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Aahista aahista.. by nashwani in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Rustum Rangila
Yoindian Shayar
******

Rau: 128
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
10 days, 16 hours and 31 minutes.

Posts: 2534
Member Since: Oct 2015


View Profile
«Reply #1 on: June 01, 2016, 08:34:17 AM »
Reply with quote


Kuchh bechain si saanse , kuchh dhundhli si yaade hai,
kuchh ajeeb se wo jazbaat , aur bahut si baate hai,

Kuchh dhadkano ke shor mein,  khamoush tere mere afsaane hai,
aur milne ki wo tadap, kaise kaise wo bahaane hai,

Ho jaaye guftgu aaj wahi, bahut bolti si teri nigahe hai,
bahak jaaye bekhudi mein wanhi, bahut rangeen si wo rahe hai,

uff kya haseen khyaal ye hai, zara ahista se ye farmaane hai,
ahat si bhi na ho koi, bahut bedard se ye zamaane hai.





Bahot achey  Applause Applause Applause Applause Applause

But i confused with the title "Jara artists se"  DOH
Logged
chitra
Guest
«Reply #2 on: June 01, 2016, 09:23:51 AM »
Reply with quote
Title was
Jara aahista se

Par mobile ne garbad kar di. ...
bejaan cheeze bhi dhoka deti hai
Logged
Rustum Rangila
Yoindian Shayar
******

Rau: 128
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
10 days, 16 hours and 31 minutes.

Posts: 2534
Member Since: Oct 2015


View Profile
«Reply #3 on: June 01, 2016, 09:30:18 AM »
Reply with quote
Title was
Jara aahista se

Par mobile ne garbad kar di. ...
bejaan cheeze bhi dhoka deti hai

Ji andaza tha ke "Zara Aahista Se" hi hoga Usual Smile

Bejaan cheezen bhi dhoka deena seekh gai hain,,, kyonke ziyada waqt jandaron ke saath jo raheti hain  Laughing hard
Logged
chitra
Guest
«Reply #4 on: June 01, 2016, 09:52:56 AM »
Reply with quote
Abhi sahi ho gya. ....title.....thank God
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #5 on: June 01, 2016, 07:35:38 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
kyaa kehne Chitra ji, kyaa khoob likhaa hai aapne, mazaa aagayaa padhke, aajkal aise poems kam hi dikhte hain Yoindia mein, mohabbat mein doobi hui, ek ek shabd mohabbat barsaataa huwaa...kyaa kehne... kuch likhe binaa rahaa nahi gayaa jawaab mein... ummeed hai aap buraa nahi maanenge...


aksar  kitaab  ke    panno   ko   palat_taa  jaataa hoon main
fir  tere  diye  ghulaab  ko  dekh   muskuraataa  hoon   main

kehnaa  chaahtaa  hoon  bahut  si baatein sabhi  se  magar
zaalim  zamaane  se  bhi to  bahut  ghabraataa  hoon  main

kabhi  zameen  pe  pare  dhool   ko seene se lagaataa hoon
kabhi aasmaan  ko  chhune  ko pankh  failaataa  hoon main

kaisi  hai   bechaini   is   dil   ki  main  samajh   paataa  nahi
inhi uljhano  mein   aur   ulajhtaa  chalaa jaataa hoon main

yun  to  aadat   thi  hi  nahi  kisi  nashe  ki  mujhe  aaj  tak
mohabbat ke nashe mein hi ab jhoomtaa jaataa hoon main


***HRIDAY***

Logged
surindarn
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 273
Offline Offline

Waqt Bitaya:
134 days, 2 hours and 27 minutes.
Posts: 31520
Member Since: Mar 2012


View Profile
«Reply #6 on: June 01, 2016, 09:13:09 PM »
Reply with quote
kyaa baat hai waah waah waah dheron daad w/ Rau.
 icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
          Applause Thumbs UP Applause Thumbs UP Applause Thumbs UP Applause Thumbs UP Applause Thumbs UP Applause Thumbs UP Applause Thumbs UP Applause Thumbs UP Applause
Logged
Sps
Guest
«Reply #7 on: June 02, 2016, 06:20:08 AM »
Reply with quote
wowwww!! aapke fans me hame bhi add kar lijye...bahot hi sunder .... love4 notworthy icon_salut love4
Logged
Mast Khalander
Maqbool Shayar
****

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
2 days, 11 hours and 42 minutes.

PhoolNahiMeraDilHai

Posts: 902
Member Since: Jul 2013


View Profile
«Reply #8 on: June 02, 2016, 08:07:33 AM »
Reply with quote
Massssssssst  icon_flower Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley icon_flower
Logged
chitra
Guest
«Reply #9 on: June 02, 2016, 01:44:10 PM »
Reply with quote

Sukriya rustam ji. ...hriday ji. .....surindarn ji. ....aur mast kalandar ji. ......bahut bahut Sukriya


Logged
chitra
Guest
«Reply #10 on: June 02, 2016, 02:10:27 PM »
Reply with quote


Hriday jee
Aapne bahut khubsurat likha hai. ...
aur mujhe iska bura lage. ....ye to koi baat ho hi nahi sakti .....
hum kuchh likhe. ...aur use pad kar zazbaat na umde ....to fir maza hi kya hai. ....aap bindaz likhye.....hume yakin maaniye bahut achchha laga. ...


Kuchh humne bhi koshish ki hai

Aksar kitaab ke panno mein, wo baate dafan hoti hai
khaali Rakhi panktiya bhi, raz E dil kholti hai

Huaa tha ek nasha hume bhi, kisi ki muhbbat ka
Zindgi ki har uljhan , usi ke nashe mein suljhati hai
   
Logged
sbechain
Guest
«Reply #11 on: June 02, 2016, 08:42:48 PM »
Reply with quote


Kuchh bechain si saanse , kuchh dhundhli si yaade hai,
kuchh ajeeb se wo jazbaat , aur bahut si baate hai,

Kuchh dhadkano ke shor mein,  khamoush tere mere afsaane hai,
aur milne ki wo tadap, kaise kaise wo bahaane hai,

Ho jaaye guftgu aaj wahi, bahut bolti si teri nigahe hai,
bahak jaaye bekhudi mein wanhi, bahut rangeen si wo rahe hai,

uff kya haseen khyaal ye hai, zara ahista se ye farmaane hai,
ahat si bhi na ho koi, bahut bedard se ye zamaane hai.





acha hai ji icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower!
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #12 on: June 03, 2016, 05:58:08 AM »
Reply with quote


Hriday jee
Aapne bahut khubsurat likha hai. ...
aur mujhe iska bura lage. ....ye to koi baat ho hi nahi sakti .....
hum kuchh likhe. ...aur use pad kar zazbaat na umde ....to fir maza hi kya hai. ....aap bindaz likhye.....hume yakin maaniye bahut achchha laga. ...


Kuchh humne bhi koshish ki hai

Aksar kitaab ke panno mein, wo baate dafan hoti hai
khaali Rakhi panktiya bhi, raz E dil kholti hai

Huaa tha ek nasha hume bhi, kisi ki muhbbat ka
Zindgi ki har uljhan , usi ke nashe mein suljhati hai
    



bahut bahut shukriyaa hamaari kavita pasand karne ke liye aur khoobsoorat saa jawaab likhne ke liye...!!! bahut achchaa likhaa hai aapne... kuch saal pehle YO mein alag hi mausam huwaa kartaa thaa jugalbandi kaa, hum bhi likh lete the... aajkal log apne mein hi busy rehte hain...!!!

kuch lines aur likh letaa hoon..!!!


kyaa  bataaun  tumse  main ki haalat apni kaisi hai
bin  jal  ke ho  machhli koi,  haalat   apni  waisi hai

saanson kaa naataa unse, unse hi har bandhan hai
haal  unse judaa  hokar hamaari deewaano jaisi hai



Logged
chitra
Guest
«Reply #13 on: June 03, 2016, 02:07:29 PM »
Reply with quote

Sahi kaha aapne hriday ji
mahoul bahut badal gya. ...mahfil itni sooni to kabhi nahi thi. .....aajkal waqt ko bhi fursat nahi. ...ki kisi ko mil jaaye. .....


Hum ronak le aate hai wapas
ek aur koshish ki hai..

Kuchh aise hi ishq mein, mere haalat huye jaate hai
kya gazab ke machlate se, mere zazbaat huye jaate hai
aur nashe mein jhumate se   , mere har alfaz  huye jate hai
koi roke to bhi shouk se , hum barbaad huye jaate hai


Logged
saahill
Mashhur Shayar
***

Rau: 86
Offline Offline

Waqt Bitaya:
147 days, 17 hours and 56 minutes.
Posts: 18611
Member Since: Jun 2009


View Profile
«Reply #14 on: June 03, 2016, 05:02:32 PM »
Reply with quote
Bohut khub waaah waah waah
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 04, 2024, 08:58:30 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.107 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer