Jara aahista se

by chitra on June 01, 2016, 08:27:32 AM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 1178 times)
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #15 on: June 05, 2016, 06:59:40 AM »
Reply with quote

Sahi kaha aapne hriday ji
mahoul bahut badal gya. ...mahfil itni sooni to kabhi nahi thi. .....aajkal waqt ko bhi fursat nahi. ...ki kisi ko mil jaaye. .....


Hum ronak le aate hai wapas
ek aur koshish ki hai..

Kuchh aise hi ishq mein, mere haalat huye jaate hai
kya gazab ke machlate se, mere zazbaat huye jaate hai
aur nashe mein jhumate se   , mere har alfaz  huye jate hai
koi roke to bhi shouk se , hum barbaad huye jaate hai




bahut bahut shukriyaaa Chitra ji is thread ko aage badhaane ke liye...deri se jawaab dene ke liye maafi maangtaa hoon...  kyaa khoob likhaa hai aapne.... aapke is jawaab ke liye....


 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Aum hamaara jawaab yeh raha....



jaani pehchaani raahon par hum jaane kyun fisalte hain
khud hi girte hain hum aur kabhi khud hi sambhalte hain
karte hain koshish har ehsaas ko qaid kar len dil mein
unhe jitnaa bhi roken woh aur bhi zyaadaa machalte hain

mud mud ke dekhte hain hum unke ghar ki khuli khidki ko
jab bhi kabhi hum unki galiyon se ho kar nikalte hain
baahon mein bhar len unhein yaa honthon se chhuu len hum
kaise kaise khayaal aajkal hamaare dil mein palte hain

lat yeh kyaa lagi humein ki hum neendon mein chalte hain
sard si hawaaon mein bhi aajkal kyun hum pighalte hain
kyaa yeh mohabbat hai yaa hai bas deewaanaapan hamaaraa
karte hain woh hanske baat kisise to hum bas jalte hai


Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
aahista aahista.... by tushar_4u_im in Shayri-E-Dard
Humein Aa-Hii Gaya Hunar Aahista Aahista! by nirbhay in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3 4 »
*****Aahista ***** by honeyrose in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Milegi Nazar Se Nazar Aahista-Aahista..!!...Shireen Hakani by Shireen Hakani in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Aahista aahista.. by nashwani in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 04, 2024, 07:52:37 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.088 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer