Jara Sham hone do...

by Pooja on March 28, 2008, 09:45:42 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2078 times)
Pooja
Guest
Reply with quote
dil mera apne naam hone do
abhi kaya hua hai, jara sham hone do

baithein ho kyun is kadar najre jhuka kar
najaro se najro ki baat hone do
abhi kaya hua hai, jara sham hone do

uthi hai mehak, abhi to fiza khili bhi nahi
her taraf fizao main, humari hi baat hone
abhi kaya hua hai, jara sham hone do

gheere hai baadal, to barsaat bhi hogi kabhi
na bacho khud, na bachao hume, jo hota hai hone do
abhi kaya hua hai. Jara sham hone do

bad kar jo hath thama hai,
dhadkano ki bhi dhadkano se baat hone do
abhi kaya hua hai. Jara sham hone do

rooh ki rooh se mulkaat hone do
abhi kaya hua hai, jara sham hone do
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
jara humko bhi ab sune koi by mateen govindvi in Miscellaneous Shayri
Tinka Tinka, Jara Jara by waheed_rose2004 in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 ... 42 43 »
jara shaam hone do by innocent.devil20 in Shairi - E - Zindagi
Jara Mil Toh LeiN by harashmahajan in Tarruf Yoindia Sae : Give your Introduction
Jara sochiye............ by medha_jain3 in Miscellaneous Shayri
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #1 on: March 28, 2008, 09:59:15 PM »
Reply with quote
BAHUT KHOOOB POOJA...BAHUT HI KHOOBSURAT AUR KHUMARI KE SAATH LIKHA HAI AAPNE  Applause  Applause..EK KOSHISH MERI TARAF SE..

Kabhi to dil se dil ki baat hone do
na dekho peeche mud kar
jo baat lafz baayan na kar sake,
aaj nazro se woh baat hone do...

bicha lenge hum bhi apni palkon ko
teri raahon mein eh sanam
tere saath hoon main,
kabhi to mujhe bhi dil mein
yeh ehsaas hone do....

chalte-chalte mil hi jaayenge raahon mein kabhi
koi baat nahi,chahe kitni bhi tez barsaat hone do....

shaam tak ka intezaar nahi hota humse
jo baat hai aaj abhi,issi waqt hone do....

hum nahi jaante the mohabbat ki gehrai kya hai??
par ab jab jaan chuke hai to thodi der aur mulaakat hone do...

haqeeqat ki duniya berang si lagti hai "khwaish"
mujhe bhi khwaabo ki duniya mein khone do....

kabhi to dil se dil ki baat hone do...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #2 on: March 28, 2008, 10:05:47 PM »
Reply with quote
wah wah wah.. kaya baat hai... khumar mai apne bhi koi kami nahi ane di... bahoot hi acha jawab diya hai apne!!!

dil mera abaad hone do
aye ho mehfil mai, to yah mehfil tere hi naam hone do

mile jo pal sung tere mujhko
un palo ko sirf humare hi  naam hone do

band ankhon mai bhi surat teri hi najar ayye,
dil ki her ek murat ab tere naam hone do

hile jo honth, to tera naam hi lubo per aye
ankhon se, in lubo ki baat hone do

dil dhadaka hai ajj, na jaane kyun muddato baad
dhadkate dil ki, dhadkate dil se baat hone do…….
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #3 on: March 28, 2008, 10:19:47 PM »
Reply with quote
bahut bahut khoob pooja...

mehfil mein jab aa hi gaye hai to,
mujhe ab apne saath hi hone do...

log kehte hai ki har mulaakat ka anjaam judai hai
main kehta hoon ek baar mil jaao,
phir wahi par qayamat hone do...

jab band aankhon mein bhi surat kisi aur ki nazar aaye!!!
to apni zindagi ko ab ussi ke naam hone do...

jo nazar aaye har jagah har pal tujhe
kabhi uski aankhon mein bhi jhaank kar dekhna
phir khud hi kahoge ke ab pyaar ki barsaat hone do....

suna hai ki mohaabat mein dil se dil ki baat hoti hai
ab hume bhi iss baat ka ehsaas hone do.....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #4 on: March 28, 2008, 10:23:09 PM »
Reply with quote
wah kaya baat hai... apki pahli kavita ko najar mai rakhte hue yah likha hai...

Chalte chalte yah jo hath thama hai
Kampkapate hue, kaise khud ke sung bandha hai

Tufaan utha hai bahoot zoro se ajj
Bahon teri ka ek chata hi to chaha hai

Palko teri per sajati rahe khushia meri
Duao mai dil se yahi to manga hai

Sham ka intzaar nahi bas mai tere mere
Ya khuda kyun sabar, itna besabra sa manga hai

Socho mai tum, socho main hu main ajj
Ankhon ne ankhon se yah jaana hai

Muhobbat ki gahrai kon sochein ab yaha
Husan ne to sirf apne ashiq ko ab paana hai

Haqiqat bane khwab ya khawab bane haqiqat ab
Sari dunia bhool kar, bas ab ek tujhe hi jaana hai....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #5 on: March 28, 2008, 10:30:10 PM »
Reply with quote
bahut bahut khoob pooja...

mehfil mein jab aa hi gaye hai to,
mujhe ab apne saath hi hone do...

log kehte hai ki har mulaakat ka anjaam judai hai
main kehta hoon ek baar mil jaao,
phir wahi par qayamat hone do...

jab band aankhon mein bhi surat kisi aur ki nazar aaye!!!
to apni zindagi ko ab ussi ke naam hone do...

jo nazar aaye har jagah har pal tujhe
kabhi uski aankhon mein bhi jhaank kar dekhna
phir khud hi kahoge ke ab pyaar ki barsaat hone do....

suna hai ki mohaabat mein dil se dil ki baat hoti hai
ab hume bhi iss baat ka ehsaas hone do.....



apki is poem ka jawab yah raha:

Sath ho mere aor mere sath hi rahna
Na kabhi dunia ki bheer mai khona

Anjaam judai ho ya ho milan apna
Abhi se is baat per kis liye rona

Band ankhon mai najar jab jab tum aye
Na lagi bhukh, na goom hua mera sona (nind)

Najar atte ho her jagah ab tum hi
Kabhi na in najaro se ab tum khona

Dil ki baat humne to kah di juban se
Sun kar kahin tum na chup hona…….
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #6 on: March 28, 2008, 10:39:13 PM »
Reply with quote
wah! wah! bahut khoob!!!

chalte chalte maine bhi aaj yeh jaana hai
dil mein mere aaj ek ajeeb sa fasana hai
kehta hai mujhse "mujhe mere yaar ke paas hi jaana hai"

kisi ko apna banana asaan nahi hai aaj ki duniya mein "khwaish"
par aaj dil se kisi ko humne bhi apna maana hai...

jahna tak nazar jaa sake dekhte hai tujhe
ab tuhi bata kabhi dekha aisa bhi koi 'DEEWANA' hai???

sochte rehte hai har pehar har pal tujhe
zaroori nahi ke sache pyaar ka matlab sirf paana hai...

na dhoondo mujhe kahin door jaakar
apne dil mein hi ek baar jhaank kar dekho
wahi par mera thikaana hai...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: March 28, 2008, 10:49:14 PM »
Reply with quote
bahoot khhob khwaish ji.. bahoot khoob kaha apne:


sochte rehte hai har pehar har pal tujhe
zaroori nahi ke sache pyaar ka matlab sirf paana hai...
Logged
Roja
Guest
«Reply #8 on: March 29, 2008, 02:13:52 AM »
Reply with quote
Wah kya jugalbandi hai... Khwaish ji and Pooja di... superb  Applause
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #9 on: March 29, 2008, 03:40:25 AM »
Reply with quote
Pooja our khwaaiish....aap dono ne jo nazmoN se mehfil ko nazraana diya hai kaabil-e-tareef hai.....achchhii kaavish hai aap dono ki...mubaarak-baad ke  haq-daar haiN aap...itnii khoob-soorat nazm se ham-sab ko roo-b-roo karvaaya...

DiloN ki baat ko leker Mujhe purana sher yaad aa gaya.....

Pyaar maiN unse is kader kerta chala jaooN
woh zakhm diye chale jayeiN maiN bharta chala jaooN
Unki ye zidd ke woh mujhe maar hi daaleiuN
Meri ye zidd ke unpe marta chala jaooN.

Harash
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #10 on: March 29, 2008, 04:10:03 AM »
Reply with quote
Pooja ji,khwaish ji,

Behtareen. behad umda shaayri is section mein padhne ko mili. shukriya.

Harsh ji,

Bohut accha sher likha aapne.

Prateek.
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #11 on: March 29, 2008, 04:10:41 AM »
Reply with quote
Pooja ji,khwaish ji,

Behtareen. behad umda shaayri is section mein padhne ko mili. shukriya.

Harsh ji,

Bohut accha sher likha aapne.

Prateek.
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #12 on: March 29, 2008, 04:28:19 AM »
Reply with quote
Prateek ji... pasandgii ke liye mamnoon hooN ....Harash
Logged
baadal102
Guest
«Reply #13 on: March 29, 2008, 10:32:30 AM »
Reply with quote
 Applause  Applause Applause Applause Applause
wah pooja ji n khwaish ji kya kehne




Baadal
Logged
zakhmola
Guest
«Reply #14 on: March 29, 2008, 11:13:28 AM »
Reply with quote
Mera yaar ab shab ka chand hai
milaunga sabko jara shaam honey do..
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 09:58:48 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer