*~*~*JeE kArTa HaI*~*~*

by ghayal_shayar on April 11, 2006, 02:06:40 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1299 times)
ghayal_shayar
Guest
Reply with quote
ek baar fir se pesh hai ye nacheez ghayal aap sabhi ki mehfil me bas isi khwaish ke saath ki aapko humara ye kalaam v pasand aayega.


tere saath fir chalne ko jee karta hai,
tujhse kyun milne ko jee karta hai.

teri baahon me sama ke khud ko,
aaj fir pighalne ko jee karta hai.

tere ishq ki shamma karke roshan,
usme hume jalne ko jee karta hai.

apne ishq ki arthi se utha ke raakh,
badan par malne ko jee karta hai.

teri baahon ka jo sahara hai saath,
to fir sambhalne ko jee karta hai.

ishq ke is murjhaye hue chaman me.
"ghayal"ka fir khilne ko jee karta hai.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Mera jee karta hai ! by Rishi in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3 4  All »
- Dil Karta Hai - by Meena in Shayri for Dard -e- Judai
Nahin karta ........... !!!! by Talat in Ghazals
Ae dil tu mahobaat karta kyun hai by shami in Shayri for Dard -e- Judai
dil yaad karta hai by Only4U in Shayri-E-Dard
rockindia
Guest
«Reply #1 on: April 11, 2006, 02:14:41 PM »
Reply with quote
wah wah wah ghayal......teri shayari padh kar humey aur teri shayari padh ne ka jee karta hai.........
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #2 on: April 11, 2006, 02:47:04 PM »
Reply with quote
Quote from: "rockindia"
wah wah wah ghayal......teri shayari padh kar humey aur teri shayari padh ne ka jee karta hai.........
]

rock india sahab ye to aapki dariya dili jo aapko hume padhna ahcha lagta hai.nahi to kahan hai koi khasiyat is nacheez me.bas aage v hume aap yunhi padhte rahiye.
Logged
Talat
Guest
«Reply #3 on: April 11, 2006, 02:50:53 PM »
Reply with quote
Bohot khoob Ghayal...ek baar phir bohot achcha likha hai aapne !!

Humsaaya humraaz ho tu mera, jee karta hai
Meri raahain mile teri raahon se, jee karta hai

Tere labon ki muskurahat pe ho jaaun qurban
Luta doon jaan teri khushion pe, jee karta hai

De doon tujhe main apni neendain, apne khwaab
Bechainiyaan teri chura loon main, jee karta hai !!!
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #4 on: April 11, 2006, 02:52:10 PM »
Reply with quote
Ghaya, Talat

Bahut khoobsurat !

Rajbir
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #5 on: April 12, 2006, 01:15:02 PM »
Reply with quote
Quote from: "Talat"
Bohot khoob Ghayal...ek baar phir bohot achcha likha hai aapne !!

Humsaaya humraaz ho tu mera, jee karta hai
Meri raahain mile teri raahon se, jee karta hai

Tere labon ki muskurahat pe ho jaaun qurban
Luta doon jaan teri khushion pe, jee karta hai

De doon tujhe main apni neendain, apne khwaab
Bechainiyaan teri chura loon main, jee karta hai !!!


talat ji ahcha kaha hai aapne.jaan kar behad khushi hui ki aapko ye pasand aaya.bas aage v yunhi gaur farmaate rahiye.
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #6 on: April 12, 2006, 01:26:26 PM »
Reply with quote
Bohat khoob Ghayal & Nice Reply Talat...
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #7 on: April 13, 2006, 01:46:53 PM »
Reply with quote
Quote from: "Rajbir"
Ghaya, Talat

Bahut khoobsurat !

Rajbir


thanks rajbir bhai.keep reading.
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #8 on: April 13, 2006, 01:48:19 PM »
Reply with quote
Quote from: "Aryaan"
Bohat khoob Ghayal & Nice Reply Talat...


aryaan shukriya.yunhi padhte rahiye hume.
Logged
mehek
Guest
«Reply #9 on: April 13, 2006, 02:00:25 PM »
Reply with quote
bohat khoob ghayal shayar ji.. and talat .. Usual Smile
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #10 on: April 15, 2006, 03:40:47 PM »
Reply with quote
Quote from: "mehek"
bohat khoob ghayal shayar ji.. and talat .. Usual Smile


bahut bahut shukriya mehek ji.
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #11 on: April 16, 2006, 07:23:21 AM »
Reply with quote
Quote from: "majid"
bohat khoob gayal sir


tere diye hue gum main muskurane ko dil karta hai.
jaante hai tu nahi aayega fir bhi tere intezaar main
baithne ko dil karta hai.

barso ho gaye hum juda huae fir bhi na jaane kyun?
aaj tujhe yaad karne ko dil karta hai.


shukriya majid bhai jaan.bas aap yunhi padhte aur likhte rahiye.aur doosri baat hume sir keh ke na bulayen aap.kyunki meri umar bas 18 saal hi hai.umeed hai aap humari mehfilon me yunhi shirkat karte rahenge.
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #12 on: April 20, 2006, 03:22:42 PM »
Reply with quote
Quote from: "majid"
ok ghayal ji not sir just ghayal ok?

aur insha ALLAH  agar zindagi saath deti rahi to
jaroo aap ki mehfil main hum shirkat karenge ok  :wink:



shukriya janaab, itna jawaab dene ke liye..............
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 06:06:16 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.103 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer