!!!-Jeevan Saathi-!!!

by ranjana on May 21, 2006, 04:45:40 PM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 5574 times)
ranjana
Guest
Reply with quote
jo tum hote jeevan saathi hamare
kitne sundar hote woh din rein hamhare
ek dusare ki bahon mein khoye rehte
jeevan ka andhiyara.........
aankho se aankhe mil jati
prem ki bahsaha sab pad jaati
saanso mein saanse kho jaati
jeevan ki bagiyaa mein mahekte phool saare
jo tum hote jeevan saathi hamare

dharkan se dharkan mil jaati
rom-rom mein bijali si daud jaati
main shabnam se shola ho jaati
madhoshi ke alam mein beetate
jo tum hote jeevan saathi hamare

kabhi ruthate kabhi mannate
kabhi yun hi  sote se tujhe jaagate
tere adharaon ki madakata apne adharo se pee jate
teri bahon ke ghere mein ........
bas thak kar hum so  jaate
aankho mein khilte sukhad swapan hamare
jo tum hote jeevan saathi hamare

main ban jaati vishwas tumahra
tum ban jaate aas hamaari
apnepan ki muskurahat se beette jaate din hamaare
jo tum hote jeenvan saathi hamaare
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
mere jeevan saathi by tere_naam786 in Shayri for Dard -e- Judai
saathi sirf who nahe hote by haroon_shaikh in Shayri-E-Dard
saathi by poonam singh in Shairi - E - Zindagi
Jeevan Uska Jeevan Hai by Abul Asad in Shairi - E - Zindagi
Hum Ladenge Saathi by saurabhzx in Share:Devotional Poetry
badnaam_shayar
Guest
«Reply #1 on: May 21, 2006, 04:52:49 PM »
Reply with quote
Marvalous Ranju..........
 Usual Smile
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #2 on: May 21, 2006, 05:23:58 PM »
Reply with quote
Ranju

Superb !  =D> =D> =D>

Kya rachna hai "jo tum hote jeevan saathi humare" :D

Rajbir
Logged
ranjana
Guest
«Reply #3 on: May 22, 2006, 02:38:23 AM »
Reply with quote
Quote from: "badnaam_shayar"
Marvalous Ranju..........
 Usual Smile


shukriya Gaurav.........
Logged
ranjana
Guest
«Reply #4 on: May 22, 2006, 02:40:34 AM »
Reply with quote
Quote from: "Rajbir"
Ranju

Superb !  =D> =D> =D>

Kya rachna hai "jo tum hote jeevan saathi humare" :D

Rajbir


shukriya Rajbir ji..............aap yahan aaye ,isko pasand kiya, dhanyewad

 :D
Logged
mrkotians
Guest
«Reply #5 on: May 22, 2006, 05:31:17 AM »
Reply with quote
realy wonderful ranjana... subah rangeen kar diya aapne..

maanti hoon priya gar hum hote jeevan saathi tere,
sundar itna hota jaisa bhagwan ka prasanna vadan...
woh aalingan aisa hota jahan
hawa ki ek jhonke bhi gus na jaata...
woh nazaren aise hoti har premiyon
ki prem ki pehle nazar hote...
khoya hua un saanso mein
hamari prem ka suvasan hota...
us bagiya mein khila har phool
tera sundar chehra hota...

woh dhadkan ka milan aisa hota
jaisa megh ka gharjan hota...
us romanchan aisa hota
jaisa pehli sparsh ka hota..
woh shola aisa hota jaise
arjun ka khaandav dahan hota...
us madhoshi ka alam narnaadiyon mein vyaapit hota..

ruthna manana hi toh hain
so'na aur jaagna hi toh hain
par unme shararate hote...

woh maadakta aisa hota
jaise apsaravon ki nayan mein hota...
tu phool ban jata aur main thithli...

un bahen itna vishal hota shayad
tumhe sara jahan hi chota ho jata...
woh thakavat aisa hota jaisa
abhi abhi rukha hua yuddh hota...

un sapne aise hoti jaise kamaldal hota...
vishwas hi kyon aatmvishvas hota...
aas hi bhale aashaon ka dariya behta...
aur teri muskurat ke baare mein kya kahe...
itna sunda hota jaise teri har kavitha hota...

jo hum hote jeenvan saathi tere
Logged
kamyayni
Guest
«Reply #6 on: May 22, 2006, 05:53:11 AM »
Reply with quote
Ranju Ji

i always bow down my head to ur creations and this one is not an exception.
beautifully expressed love feelings and thepower of attraction is great.
hats off to u again mam
Logged
Pankhuri2
Guest
«Reply #7 on: May 22, 2006, 06:18:22 AM »
Reply with quote
bahoot hi khoob Ranju and good one MK ji!!

Sathi ka roop, tumne muje samjhaya hai
kaya hai jeevan, iska arth bataya hai
sath na hokar bhi tuji ko sathi mana hai
jab tak hai jeevan, bas aise hi sath nibhana hai

kis ko kahty hai jeevan sathi, iska arth badal jaata hai
diya jo sath tune, wo hi in sabdo ko sarthak kar jaata hai!!
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #8 on: May 22, 2006, 06:28:45 AM »
Reply with quote
Excellent Pankhuri......maza a gaya padke.......Keep Writing
Logged
mrkotians
Guest
«Reply #9 on: May 22, 2006, 04:33:26 PM »
Reply with quote
shukriya pankhuri... prativandan...


Quote from: "Pankhuri2"
bahoot hi khoob Ranju and good one MK ji!!

Sathi ka roop, tumne muje samjhaya hai
kaya hai jeevan, iska arth bataya hai
sath na hokar bhi tuji ko sathi mana hai
jab tak hai jeevan, bas aise hi sath nibhana hai

kis ko kahty hai jeevan sathi, iska arth badal jaata hai
diya jo sath tune, wo hi in sabdo ko sarthak kar jaata hai!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #10 on: May 22, 2006, 04:51:57 PM »
Reply with quote
Quote from: "mrkotians"
realy wonderful ranjana... subah rangeen kar diya aapne..

maanti hoon priya gar hum hote jeevan saathi tere,
sundar itna hota jaisa bhagwan ka prasanna vadan...
woh aalingan aisa hota jahan
hawa ki ek jhonke bhi gus na jaata...
woh nazaren aise hoti har premiyon
ki prem ki pehle nazar hote...
khoya hua un saanso mein
hamari prem ka suvasan hota...
us bagiya mein khila har phool
tera sundar chehra hota...

woh dhadkan ka milan aisa hota
jaisa megh ka gharjan hota...
us romanchan aisa hota
jaisa pehli sparsh ka hota..
woh shola aisa hota jaise
arjun ka khaandav dahan hota...
us madhoshi ka alam narnaadiyon mein vyaapit hota..

ruthna manana hi toh hain
so'na aur jaagna hi toh hain
par unme shararate hote...

woh maadakta aisa hota
jaise apsaravon ki nayan mein hota...
tu phool ban jata aur main thithli...

un bahen itna vishal hota shayad
tumhe sara jahan hi chota ho jata...
woh thakavat aisa hota jaisa
abhi abhi rukha hua yuddh hota...

un sapne aise hoti jaise kamaldal hota...
vishwas hi kyon aatmvishvas hota...
aas hi bhale aashaon ka dariya behta...
aur teri muskurat ke baare mein kya kahe...
itna sunda hota jaise teri har kavitha hota...

jo hum hote jeenvan saathi tere



shukriya MK ji...........bahut sundar likha hai aapne........
Logged
ranjana
Guest
«Reply #11 on: May 22, 2006, 04:53:47 PM »
Reply with quote
Quote from: "kamyayni"
Ranju Ji

i always bow down my head to ur creations and this one is not an exception.
beautifully expressed love feelings and thepower of attraction is great.
hats off to you again mam


bahut bahut shukriya Kamyani ji..........aap yun hi mera hosala badti rahe
thanks again............ Usual Smile
Logged
ranjana
Guest
«Reply #12 on: May 22, 2006, 05:01:48 PM »
Reply with quote
Quote from: "Pankhuri2"
bahoot hi khoob Ranju and good one MK ji!!

Sathi ka roop, tumne muje samjhaya hai
kaya hai jeevan, iska arth bataya hai
sath na hokar bhi tuji ko sathi mana hai
jab tak hai jeevan, bas aise hi sath nibhana hai

kis ko kahty hai jeevan sathi, iska arth badal jaata hai
diya jo sath tune, wo hi in sabdo ko sarthak kar jaata hai!!


wow its wonderful...........................amazing...... ............
Logged
phoenix
Guest
«Reply #13 on: May 22, 2006, 06:37:56 PM »
Reply with quote
jeevan bhar sath chalunga tere
mein koi saaya nahi hun,
jeevan ko rang doonga tere
mein khwab koi pyaara nahi hun

saaya raat mein sath chod dega
mein tera woh sahara nahi hun
khwaab subah tut jaenge tere
mein subah ki oos ka pyaasa nahi hun
Logged
ranjana
Guest
«Reply #14 on: May 23, 2006, 01:42:50 AM »
Reply with quote
sun ke khayal tere mere jajabaat  bahak gaye
aaj ki alsaayi si subah ko khayal tumhare chum gaye
mann ke akaash per inderdhanushi se rang bikharne lage
naach uthi meri kalpana pagalayi si........
mehaka gaye meri  jindagi ko  rajanigandha se
jab khawab mere tere hamsafar ban gaye
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 01:42:12 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.125 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer