!jindagi ki kitaab!

by ranjana on June 07, 2006, 09:05:37 AM
Pages: 1 ... 5 6 7 8 [9] 10 11 12
ReplyPrint
Author  (Read 10136 times)
ranjana
Guest
«Reply #120 on: July 25, 2006, 02:51:54 PM »
Reply with quote
too good...vicky....

yeh baaliyan jab paehannyi balam ne kaano mein
dil mein bas gayi khushbu unki yun hi anjaane mein

pehna ke dekha jab liya mera chahra apne haath mein
paa liya maine apna sansaar unki ek pyaar bhari nighaah mein

hole se chuma jab  unhone meri baali ko pyaar se
khil  gaya mera rom rom unke is pyaar ke pyaare iqarar mein

simat gayi main sharama ke jab unki bahaon mein
toh baali keh gayi mere dil ke bhed unke kaano mein
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ye Jo ZiNdAHgHi Ki kItAaB hAi! by lamhay_terbin in Shayri-E-Dard
Yeh Jo Zindagi Ki Kitaab HaI by Delicate_Doll in Shairi - E - Zindagi
dil mera aik kitaab ki soorat..!! by chanda in Shayri for Khumar -e- Ishq
~:Kitaab:~ by Ghayal in Shayri-E-Dard
ZINDAGI KI KITAAB... by CoolGirl in Shairi - E - Zindagi
badnaam_shayar
Guest
«Reply #121 on: July 25, 2006, 05:15:22 PM »
Reply with quote
Beautifull both of u....

Na bana Kitaab hume.....
Hum bhala paano ke beech kaise Jee payenge.....

Jab Chadegi Jild uspe......
Toh hum Dil uss Chaaku ki nok se kaise bacha paeyenge.....

HO Shayahein bachi teri kalam me.....
Toh do Pyar ke lafz likh dena.....

Hum hai AshiQue bas tum AshiQui kar lena........!!!!!!!!!!!!
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #122 on: July 26, 2006, 07:00:35 AM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
too good...vicky....

yeh baaliyan jab paehannyi balam ne kaano mein
dil mein bas gayi khushbu unki yun hi anjaane mein

pehna ke dekha jab liya mera chahra apne haath mein
paa liya maine apna sansaar unki ek pyaar bhari nighaah mein

hole se chuma jab  unhone meri baali ko pyaar se
khil  gaya mera rom rom unke is pyaar ke pyaare iqarar mein

simat gayi main sharama ke jab unki bahaon mein
toh baali keh gayi mere dil ke bhed unke kaano mein


behad khubsoorat likha hai aapne RANJANA....
and nice one BADNAAM JI.....


mal-mal ke dekha aankhon ko, kahin yeh khwaab to nahi,
teri baaliyon ki chamak hai, ya chand ki hai yeh chandni......

jab-jab karta hoon in baaliyon ko badan se alag main tere,
muskura uth-ti hain aise jaise, khil-khila rahi ho jawaani........

choota hoon jaise hi inko, payal bhi teri shor machaati hai,
hum bhi hain deewane tere, baaliyen akeli hi nahi deewani.......

raat-raat bhar jagti hain yeh, aur yahi bas socha karti hain,
kab hogi khatam yeh raat, kab hogi poori yeh ishq-e-kahani.......
Logged
ranjana
Guest
«Reply #123 on: July 26, 2006, 04:43:54 PM »
Reply with quote
bahut khoob vicky

yah kangana ,baali ,jhumke ,payal sab husn ki zindaani hain
tere mere kisse hi to is zindagi ki kitaab ki kahaani hain

chahay naam lo kisi bhi gahane ka sanam
yeh toh mere kore badan per teri hi nishaani hain

chhoo lete ho jab bhi pyaar se tum inko sanam
toh yeh dete meri saanso ko rawaani hain

ek tere saath hi toh yeh sab shinaagr hai mera
baki sab duniya toh iske aage bemaani hai
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #124 on: July 27, 2006, 04:23:42 AM »
Reply with quote
bahut khoob RANJANA...
kangan aur baaliyan par bahut likh liya ab kuch change karte hain .......

Maykade me deewane tere, bahut se aaye hain,
kuch laye hain jaan, kuch sharaab le kar aaye hain....

mujh badnaam se, mere dil ka haal na poocho,
hum to tere liye apna, mohabbat-e-jigar laye hain.....

jaam se jaam nahi, jaam-e-lab pilaao sanam,
ishq-e-maykhane me tere, hum pyaase aaye hain.....

chod ginti paimano ki, aaj pilaye jao aankhon se,
bahakne teri baahon me, phir se chale aaye hain....

jab-jab log poochte hain, meri badhawasi ka karan,
hum apni aankhon me basi, tasveer teri dikha aaye hain......
Logged
ranjana
Guest
«Reply #125 on: July 27, 2006, 05:26:43 AM »
Reply with quote
ok ... Usual Smile too good vicky ....

kuch nasha barsaat ka hai kuch teri baat ka hai
bin peeye behke hain hum yeh sama tujhse mulakaat ka hai

jab chalka paimaana teri aankho se mohabbat ka sanam
wah pee ke is dil per sarur teri nazar ke jaam ka hai

payaas bujhegi meri bhi tere jaam -a- labo ke peene se
mere labo per bhi ruka hua ek payaasa sa dariya tere naam ka hai

behekoge meri bahaon mein aakar kabhi toh tum sanam
hame toh intazaar bas ek pyaari si shaam mein aapse mulakaat ka hai
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #126 on: July 27, 2006, 09:12:11 AM »
Reply with quote
shukriya aur bahut khoob..... RANJANA..

Bahaka hua hoon, par ilzaam na do sharaab ko,
pyaale se nahi, pilaai gai hai mujhe aankhon se......

gir raha hoon kabhi, kabhi sambhal raha hoon,
is kadar ghayal kiya hai usne, apni katil adaon se....

aag laga di phir se, tan-badan me us haseen ne,
kuch aise tapkaya hai jaam, usne narm labon se....

suroor unki chahaton ka, sar chad hai bol raha,
jo hosh tha baki, wo bhi udaya usne nasili baaton se.....

jawaani ka takaza hai tum pe, jo itni kamsin ho,
hosh kho baithe hain hum to, tere ek deedar se.......
Logged
ranjana
Guest
«Reply #127 on: July 27, 2006, 10:10:57 AM »
Reply with quote
nice one vicky .....

hame sab taraf ek tu hi tu nazar aaye
dil talashta hai jis manzar ko woh nazar toh aaye

hum chhor denge peena jaam se sanam
pehle teri aankho mein hame apne liye mohabbat ki maye toh nazar aaye

taye kar lenge hum tere saath yeh ishq ka safar
per tere saath hame apni  manzil bhi toh koi dikhaaye

nibha di hain hamne toh mohabbat ki sab rasme
teri baato se bhi hame kuch wafa ki mehek toh  aaye

so jaayenge tere bahaon ke ghere mein hum sakoon ki neend
per tujhe bhi toh kabhi hamaari  yaad is tarah shiddat se aaye
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #128 on: July 31, 2006, 11:46:18 AM »
Reply with quote
bahut khoob likha hai aapne RANJANA..........

Teer chala nazron ke, humen kahan-kahan dhundti ho,
zara gaur se dekho sanam, hum to aapke dil baste hain......

jo manzar talaashta hai har pal, nadaan dil yeh aapka,
hum har us teri mohabbat-e-talaash me shamil hote hain.....

peeta rahata hoon mad bhare pyaale main teri aankhon se,
us par tere sharaabi lab, peene ko aur majboor kar jate hain......

seene se lag ke tere, sota hoon main raaton ko e-humdam,
ang-ang tere mujhme phir, mphabbat-e-pyaas jaga jate hain...........

raha nahi sakta hoon sanam, ab main bhi tujhse juda ho ke,
yehi tamanna liye teer-e-nazar se teri, ghayal hote chale jate hain.....
Logged
ranjana
Guest
«Reply #129 on: July 31, 2006, 01:39:19 PM »
Reply with quote
bahut khoob vicky ......

is se pehle ki waqt fir karwat badale
aaja sanam hum pyaar ka iqarar kar le

mile they hum jis ghadi jis pal jahan
us lamhe ko fir se yaad kar le

woh jab hum mile they kuch hichkate hue
jab pyaar ka gulshan meheka thaa

aankho mein wafa aur sharm ki laali thee
seene mein ek shola sa dehka thaa

sab sharmo haya ke bandhan tute they
aur mera husn teri bahaon mein behaka thaa

liya thaa hamne vaada ta umar saath nibhaane ka
aur teri aankho mein mere liye bepanha pyaar chalka thaa

is se pehle ki fir se hum hosh mein aakar dundaari ki baat kare
aaja sanam mere pass aa hum apne pyaar ka iqarar kar le.....
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #130 on: August 01, 2006, 12:19:27 PM »
Reply with quote
bahut khoob RANJANA... behad khubsoorat likha hai aapne.......


Kabhi socha na tha maine, wo mohabbat ki moorat hai,
sajda-e-mohabbat ki wo, ek khubsoorat se soorat hai.....

us chaand se chehre pe, main ho gaya is kadar deewana,
bas milne ki tamanna hai unse, aur deedar ki chahat hai......

milte-milte raha gaye, jane kya manjoor hai taqdeer ko,
us par bheega mausam, saawan ki kaise yeh shararat hai......

aasman me laharaye jab, khuli-khuli zulfen wo tumhari,
dushwaar ho gaya jeena, dil ki naazuk badi haalat hai.......

wada kiya tha kabhi aapne bhi, sath nibhane ka mujhse,
tere us wade ke intzaar me, maut se humne ki bagawat hai......

kabhi socha na the maine, wo mohabbat ki moorat hai,
sajda-e-mohabbat ki wo, ek khubsoorat se soorat hai......!!!!!!!!!!!!!!!!!
Logged
tushar_4u_im
Guest
«Reply #131 on: August 01, 2006, 12:32:37 PM »
Reply with quote
jo chahe padh le meri zindgi .....
maine rakh chori hai khuli meri zindgi ki kitab....
jo chahe aazmale jo chahe dil mila le....
maine nahi rakha nahi kahi koi hisab.....
ye hai meri ye hai meri zindgi ki kitab ......
haste hai humto k kaha se suru karu....
sochta hu mai ye kaha per khatam hogi ....
ye meri ye meri ye zindgi ki kitab......
na ko tala na bandish na aarzu na gum hai ....
a jao padh lo sab meri zindgi ki kitab.....
Logged
ranjana
Guest
«Reply #132 on: August 01, 2006, 06:05:24 PM »
Reply with quote
Quote from: "vicky AKELA"
bahut khoob RANJANA... behad khubsoorat likha hai aapne.......


Kabhi socha na tha maine, wo mohabbat ki moorat hai,
sajda-e-mohabbat ki wo, ek khubsoorat se soorat hai.....

us chaand se chehre pe, main ho gaya is kadar deewana,
bas milne ki tamanna hai unse, aur deedar ki chahat hai......

milte-milte raha gaye, jane kya manjoor hai taqdeer ko,
us par bheega mausam, saawan ki kaise yeh shararat hai......

aasman me laharaye jab, khuli-khuli zulfen wo tumhari,
dushwaar ho gaya jeena, dil ki naazuk badi haalat hai.......

wada kiya tha kabhi aapne bhi, sath nibhane ka mujhse,
tere us wade ke intzaar me, maut se humne ki bagawat hai......

kabhi socha na the maine, wo mohabbat ki moorat hai,
sajda-e-mohabbat ki wo, ek khubsoorat se soorat hai......!!!!!!!!!!!!!!!!!



bahut khoob vicky ...

teri baate ek behte hue paak jharane ke jasie hain
inhe main zindagi bhar na bhula paaungi

yadi gunaah hai tujhe pyaar karna zamaane ki nigah mein
toh har janam mein yeh paap karke dikhaungi

kitna bhi saata le tum mujhe ya nazare chura le
tere is pyaare se andaz per main apna sab kuch lutaaungi

jaadu sa kar diya hai teri tasveer ne mujh per
apne tasvur mein base hue in khayaalo  ko mein sach kar ke muskarungi

rakh dungi chupke se tere seene per apna main sirr
aur fir ek chein aur sakun ki neend ab toh so jaaungi
Logged
ranjana
Guest
«Reply #133 on: August 01, 2006, 06:16:55 PM »
Reply with quote
Quote from: "tushar_4u_im"
jo chahe padh le meri zindgi .....
maine rakh chori hai khuli meri zindgi ki kitab....
jo chahe aazmale jo chahe dil mila le....
maine nahi rakha nahi kahi koi hisab.....
ye hai meri ye hai meri zindgi ki kitab ......
haste hai humto k kaha se suru karu....
sochta hu mai ye kaha per khatam hogi ....
ye meri ye meri ye zindgi ki kitab......
na ko tala na bandish na aarzu na gum hai ....
a jao padh lo sab meri zindgi ki kitab.....


bahut khub tushar....

jab jisne chaha ise yun hi pad liya
meri zindagi thee ek khuli kitaab
iska naam sabne ek badnaam dastaan kar diya

hum kabhi na chhippa paaye apne dil mein base jajbaato ko
aur sabne ek tohmat ka bazaar hamare sirr per rakh diya

kari hai hamne mohabbat koi gunhah toh nahi
aaj hamne is kitaab ak naam zindagi ki kitaab rakh diya
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #134 on: August 02, 2006, 12:17:04 PM »
Reply with quote
Likhta jo main tere ek Kahani......
Toh Kitaab na kabhi bann paati......

Thi jo beeti do dilon par kabhi......
Use kisi ki Shayahein na Samajh paati......

Ehsaas hai aaj bhi Dil me tere liye......
Par kya tum kabhi haath thaam mera Sirr uthaati......!!!!!!!!!!!
Logged
Pages: 1 ... 5 6 7 8 [9] 10 11 12
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 01:20:41 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.114 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer