junoon-e-ishk

by samnoj on November 09, 2004, 11:20:59 AM
Pages: 1 ... 8 9 10 11 [12] 13 14 15 16 ... 22
ReplyPrint
Author  (Read 13363 times)
nishita
Guest
«Reply #165 on: November 26, 2004, 02:48:00 PM »
Reply with quote
again Usual Smile
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
ishk zindagi hai by shamsay in Shayri for Khumar -e- Ishq
Ishk by saatvik in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
ishk by jitendra kumar in Shayri for Khumar -e- Ishq
***jab se hua hai ishk*** by kaushikbhawna008 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Ishk ne kab haar maani hai ... ! Ishk Ek Ibadat by ishk ek ibadat in Ghazals « 1 2  All »
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #166 on: November 26, 2004, 03:04:52 PM »
Reply with quote
Quote from: "Talat"
tongue3
Taaza mohabbaton ka nasha jism-o-jaan main hai
Phir mausam-e-bahar mere gulsitaan main hai
Warna ye tez dhoop to chubhti hume bhi hai
Hum chup kharhe hue hain ki tu saaibaan to hai!!  (NM)


Wow Bahut Hi achchhi, Khoobsoorat aur Pyaari Lines Hain
Superb!! Talat ji!!! :thumb:

Daal par Jab Koi Muskuraya, Tum Mile!
Geet man ka Jab Bhramar ne Gungunaya, Tum Mile!

Jab Talak Thi Pyaas Patthar Bus Tabhi tak door the,
Aur Jab bhi Pyaas ko Paani Banaya, Tum Mile!

Mandiron ya masjidon ki baat main Karta nahin,
Maine soone mein Bhi Apna sar Jhukaya, Tum Mile!

Dhoop se Ghabra ke Nange paon Mein chhale liye,
Jab bhi ye Chaha Mile Taruwar ki chhaya, Tum Mile!

Main Samajhta tha ki Dil Mein sirf main hi main hoon,
Dwar Lekin jab bhi Dil ka thapthapaya, Tum Mile!


(NM)
Logged
Nedura!
Guest
«Reply #167 on: November 26, 2004, 03:06:43 PM »
Reply with quote
wowwww bahut achha hai!
Logged
Talat
Guest
«Reply #168 on: November 26, 2004, 03:20:39 PM »
Reply with quote
Thanks Ji!!! happy9

Excellent written Arunji!!! Bohot Khoob..humesha ki tarah!!!! tongue3
Logged
nishita
Guest
«Reply #169 on: November 26, 2004, 03:21:41 PM »
Reply with quote
sharmaji very nice
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #170 on: November 26, 2004, 03:58:06 PM »
Reply with quote
Thanx! Nedura ji! Talat Ji,Nishita ji, Samnoj ji!!! Usual Smile
Logged
Talat
Guest
«Reply #171 on: November 26, 2004, 05:41:47 PM »
Reply with quote
Quote from: "nishita"
again Usual Smile


Sorry Mod ji yaad nahin tha
ki humne pehle bhi likha tha!!!
Ho jata hai kabhi kabhi ye
Dhyaan rakhenge ab aisa na ho!!!!!! happy9
Logged
lovebites
Guest
«Reply #172 on: November 27, 2004, 07:57:20 AM »
Reply with quote
MERE DIL KA HAR RASTA US AIK KEY DIL KO JATA HAI;
WOH JO AIK HAI UPNA WOH JO AIK HI MUJH KO BHATA HAI;

MERI ANKHIEN DEKHTI HEIN KITNE HI CHEHROON KO;
IN CHEHROON MEIN BUSS US KA CHEHRA HI ANKHOON MEIN LEHRATA HAI;

MAR KEY DEKHA JEE KEH DEKHA KHUD KO LAKH PARAKH KEY DEKHA;
MERA MUN AKHIR KO PHIR BHI US KA AKS HI DIKHLATA HAI;

KITNE HI LOGOON SEY MIL KAR MEIN AYE US KEY PASS;
MERA DIL SUB KO BHULA KAR US KI YAAD MEIN KHO JATA HAI;

NAGRI NAGRI LOG HEIN DEKHEIN NAGRI NAGRI ANDHERA HAI;
US AIK KI NAGRI MEIN JANE SEY AJAB NOOR SA SEENE MEIN BHAR JATA HAI;

UB TU JEETE JI US KI HOON MAR JAAON TU PHIR BHI KYA HAI;
MERE DIL MEIN MERI ROOH MEIN WOH UPNA JADO HI JAGATA HAI;

AIK BAAR TU WOH BHI KEH DEY MUJH SEY UPNE MUN KI BAAT;
KEH SHAID WOH BHI LAMHA LAMHA KHUD KO MERI YAAD SEY BEHLATA HAI;

WAH REY KISMET KAHAN RUKI HAI NA MUR SAKTI HAI NA BHAR SAKTI HAI;
KEH UB TU KHABOON MEIN BHI US KA KHAAYAL HI SAMATA HAI;

JAAO DUNIYA KEY LOGO MUJH KO KYA TUM BADLO GEY UB;
KEH MERA SUB KUCH BADAL GAYA HAI AUR JEEWAN GUZRA JATA HAI;

WOH JO BURA KEHTE HEIN BURA KARTE HEIN UN KO JA KEH KHABAR KARO;
UN PAR TU UB GHAM KA SAYA DHEERE DHEERE BARHTA JATA HAI;

WOH JO NOOR SEY ROSHAN CHEHRE WALE DIYE JALAYE JATE HEIN;
UN PAR TU ALLAH BHI KHUSH KHUSH REHMAT DHAYE JATA HAI;

AEY DIL DEEWANE SEHTA JAA TU CHUP KAR KEY SUB DARD UPNA;
AKHIR KO SUB KUCH RAB KEY HAWALE HI HO JATA HAI;

MERI JAGI RATEIN MERI TUNHAEY TUM KO HI BULA RAHI HEIN;
MERE DIL KA LAFZ LAFZ TUMHARE LIYE ANSOON MEIN MUJH KO NEHLATA HAI;
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #173 on: November 27, 2004, 10:36:28 AM »
Reply with quote
Veri Nice!! Lovebites ji!!
Logged
lovebites
Guest
«Reply #174 on: November 27, 2004, 11:02:18 AM »
Reply with quote
Thanks a lot............! sharmaarunkumar
Logged
lovebites
Guest
«Reply #175 on: November 27, 2004, 11:03:53 AM »
Reply with quote
Mujay her shaks milla saankroon shubhaat k saath
Kitnay khadshaat hain wabasta meri zaat k sath

Yai makafatay ummal hai abhe kuch arsay main
Tujhay b ho ge mohobaat kisi badzaat k sath

Main he pagal hoon jo main ghar ki fiqr kerta hoon
Log biktay hain yahan apnay makanaat k sath

Badua dai doon agar main tou yaqeen hai mujhko
Aasmaan toot paray ga apnay muzafaat k sath

Hizz uthaya he nahe mainay k main janta hoo
Aik mahsher b barpa hota hai barsaat k sath.

Tu samjhti hai tujhay bhool k main zinda hoo
Yai tou samjhota hai mera meray halaat k sath
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #176 on: November 27, 2004, 11:14:32 AM »
Reply with quote
Wah! Very Nice! Lovebites ji!

Kitna Udaas mazar hai,
Yeh Raat aur Yeh Khamoshi!
Sawan ke Mahine mein Aag Lagati hai,
Yeh Barsat aur yeh Khamoshi!
Le Legi Jaan ab to meri,
Teri Jaat aur Yeh khamoshi!
Logged
lovebites
Guest
«Reply #177 on: November 27, 2004, 11:32:28 AM »
Reply with quote
hey dats was nice sharmaarunkumar
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #178 on: November 27, 2004, 11:36:05 AM »
Reply with quote
Thanks Lovebites ji!!!Shukriya!!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #179 on: November 27, 2004, 12:32:49 PM »
Reply with quote
Wah!!! wah!!!!!
Logged
Pages: 1 ... 8 9 10 11 [12] 13 14 15 16 ... 22
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 03:43:13 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.117 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer