**~**~** Kaash Aisa Hota **~**~**

by _Vicky_ on June 01, 2009, 12:38:42 PM
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7 8 9 ... 22
ReplyPrint
Author  (Read 17208 times)
Talat
Guest
«Reply #60 on: June 22, 2009, 12:12:30 PM »
Reply with quote
chaar lines likhne k liye kha tha Mann ji.....ye wahi h celmira ji

That was a good one dear...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Kaash agar aisa hota by Rajesh Harish in Shayri-E-Dard
Kaash Mera Chaand Aisa Hota - Nature Poem by songwriter_123 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Kaash Aisa Hota ... by Kaushal Sharma in Shayri for Khumar -e- Ishq
Kaash kabhi aisa hota... by asif faiz in Shayri for Dard -e- Judai
Kaash kabhi aisa hota..(2) by asif faiz in Shairi - E - Zindagi
poppoetry
Guest
«Reply #61 on: June 22, 2009, 12:19:28 PM »
Reply with quote
That was a good one dear...
shukriya Celmira ji Usual Smile Usual Smile
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #62 on: June 22, 2009, 12:54:37 PM »
Reply with quote
Areeeee wah Pooja.. Kya Baat hai.. Bahut Hi Pyaare Alfaaz Likhe Hain.. Bahut Khoooob.. Applause Applause


Haal-e-Dil Sunaata Hoon, Aaj Tumko Aankhon Se,
Ishq karna Sikhaata Hoon, Bahake Jazzbaaton Se.......

Kya Rokenge Humen, Duniya Ke Reeti Aur Riwaaz,
Nahi Darte Hain Aashiq, In Khokhle Alfaazon Se.......!!!



**~** Mann **~**




areee waah.....kya khoob kha h aapne in chaar lines mai
Applause Applause Applause

Ishq k bhi apne khuch usul hote h
Khuch log raah-e-mohabbat se dur hote h

Nahi unko gwara pyar mai behkna
Jinki simaao k bandhan majbut hote h
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #63 on: June 22, 2009, 01:38:14 PM »
Reply with quote
Bohot Khoob Vicky Applause Applause Bada khoobsurat hai ye thread !

Shukriya Talat Ji.. Ki aapne Humari koshish ko saraaha.. Usual Smile


**~** Mann **~**
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #64 on: June 22, 2009, 01:50:50 PM »
Reply with quote
areee waah.....kya khoob kha h aapne in chaar lines mai
Applause Applause Applause

Ishq k bhi apne khuch usul hote h
Khuch log raah-e-mohabbat se dur hote h

Nahi unko gwara pyar mai behkna
Jinki simaao k bandhan majbut hote h



Wah Kya baat hai Pooja... Bahut Umda Alfaaz Likhe hain Dear.. Bahut Bahut Khoooob.. Applause Applause


Adaalat-e-Ishq Me, Ek Din Yeh Arzi Lagaayenge Hum,
In Khokhle Usoolon Ko, Raah-e-ishq se Hataayenge Hum....

Ladh Jayenge Is Duniya se, Ek tujhe Paane ke Khaatir,
Mohabbat Ka ek Khubsoorat Sa, Jahaan Basaaayenge Hum.......!!!



**~** Mann **~**


Logged
anjaan dharkan
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
10 days, 13 hours and 44 minutes.
-May Allah Bless You-

Posts: 1900
Member Since: Jul 2008


View Profile
«Reply #65 on: June 22, 2009, 06:31:56 PM »
Reply with quote
mann bhai, tussi chaahgaye ho janaab! waah re, kya kehna!!!!!!!!!
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #66 on: June 24, 2009, 04:21:56 AM »
Reply with quote
Thanx Sidraah Sis.. Usual Smile Usual Smile Tum Bhi apna Koi Khwaab Kaash Karke Likh jati to Maza Aa jata.. Winking


**~** Mann **~**


Logged
poppoetry
Guest
«Reply #67 on: June 24, 2009, 08:27:15 AM »
Reply with quote

Wah Kya baat hai Pooja... Bahut Umda Alfaaz Likhe hain Dear.. Bahut Bahut Khoooob.. Applause Applause


Adaalat-e-Ishq Me, Ek Din Yeh Arzi Lagaayenge Hum,
In Khokhle Usoolon Ko, Raah-e-ishq se Hataayenge Hum....

Ladh Jayenge Is Duniya se, Ek tujhe Paane ke Khaatir,
Mohabbat Ka ek Khubsoorat Sa, Jahaan Basaaayenge Hum.......!!!



**~** Mann **~**



aree waah......kya pyara jwab diya aapne Mann ji Applause Applause
ab mai kya kahu....koshish karti hu

Mohabbat me ladai kaisi,adalaton me ye farmaish kaisi
Jab dil se dil h jude hue, to pyar ki ye numaish kaisi

Gar h apni mohabbat sachi to milayenga khud Khuda hame
Apno ko hi khafa karke ,nya jahaan basane ki ye khwaish kaisi
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #68 on: June 24, 2009, 04:46:26 PM »
Reply with quote
Aaye Haye.. kya baat Likh Di Hai Pooja.. Bahut Bahut Khooooooob Dear. Lajawab jawab Hai.. Applause Applause



Aaj Dekhte Hain, Kashti Humari Tairti Hai Ya Doob Jati hai,
Mohabbat Ki Numaaish Khud-b-Khud Hoti Hai Ya Bach Jati hai......

E-Upar Wale, Ek Chota Sa Sawaal Tujhse Poochta Hoon Main,
Kya Kisi Ko Sirf Pane Bhar se Mohabbat Kaamyaab Ho Jati hai....!!!


**~** Mann **~**
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #69 on: June 24, 2009, 04:49:54 PM »
Reply with quote
Bahoot khoob Pooja ji and Vikas ..

Bahoot hi badiyaan likha hai dono ne.. Bahoot khoob!
Logged
angel4u
Guest
«Reply #70 on: June 24, 2009, 05:51:11 PM »
Reply with quote
Doston Aksar ek Khwaab Raaton Ko Tadpa sa Jata hai.. Aur Jab Subah Uth-ta Hoon To Chup-Chaap Baith Sa Jata hoon.. aur us Khwaab Ke Bare Me sochne lag jata hoon... Phir Hothon Par ek Muskurahat aati hai.. aur dil se Yahi Ek Aawaz Aati hai Ki "Kaash Aisa Hota"......... Usi Khwaab Ko Lafzon Ki Zubaan dene Ki Koshish Ki hai.....!! Ummid Hai aapko Pasand aayega..!!




Kaash Aisa Hota Ki.................

Barsaat Ki Ek Raat, Tum Mujhse Milne Aati,
Aankhon me Sawal Liye, Labon Pe Pyaas Liye,
Nigaahon Hi Nigaahon Me, Ishq Ka Iqraar Chaahti,
Aur Main Tumhare Labon Ko choom Ke Kahata Ki.....



Aaj Raat is Husn Ko, Zara Bahak Jane Do,
Dupatte Ko Bhi Badan se, Sarak Jane Do.......
Machal Rahe Hain Armaan Mere Seene Me,
Aaj Khud Ko Bas, is "Mann" Ki Ho Jane Do......


Kaash Aisa Hota..........!!!!!!!

Kaash Aisa Hota Ki...................



Kisi Baat Par, Tumhara Rooth Kar Jana Hota,
Aur Main Tumhare Haathon Ko Thaam Ke Kahata,
Ki Jaan........ Jaan Ruk Jao Na...... Ruk Jao...........
Tum Palat Ke Mere Seene se Lipat Jati Aur Kahati.....



Teri Ek Nigaah Pe, Sau-Sau Baar Marti Hoon,
Tere Liye Hi Sajti, Tere Liye Hi Sanwarti Hoon.......
Ek Pal Nahi Raha Sakti Khafa Ho Kar Tujhse,
Main Tujhse "Mann" Inti Mohabbat Karti Hoon........

Haaaaaaaaaaan............... Haan "Mann" Main Tumpe Dil-o-Jaan se Marti Hoon,
Haaaaaaaaaaan............... Haan Main Tumse Beintehaan Mohabbat Karti Hoon.....!!!!






Kaaaaaaaash Aisa Hota............ Kaaaaaaaaaaaaaaaash Aisa Hota..!!




**~** Mann **~**


its just beautiful vicky... Extraordinary. itna romantic koi kaise likh sakta hai... Kaash main bhi likh paati aise... par sach mein a very sweet and cute flow of emotions........... Sorry itne din se padha hi nahi maine...


Kuchh Lines...




Kaash Aisa Hota,

main bas bole jaun aur tu chhu le dheeme se mere hothon ko,
kareeb aaye aur chhu le apni saanson se meri saanson ko,
har lafz mera ghul jaaye teri aankhon ki sargoshiyon mein,
bahut karte hai mohabbat hai tujhse keh de ye mere kaano ko...

simatte jaaye hum teri baahon ki khoobsurat duniya mein,
jahan na gam ho na koi pareshan aaye satane hamein,
bas ho chaand ka aangan, sitaron ke lehrate darakht,
chamke hamari mohabbat is chandni ki aagosh mein...

Kaash..............................
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #71 on: June 25, 2009, 12:20:22 PM »
Reply with quote
Bahoot khoob Pooja ji and Vikas ..

Bahoot hi badiyaan likha hai dono ne.. Bahoot khoob!
shukriya sophi ji..
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #72 on: June 25, 2009, 12:56:16 PM »
Reply with quote
Aaye Haye.. kya baat Likh Di Hai Pooja.. Bahut Bahut Khooooooob Dear. Lajawab jawab Hai.. Applause Applause



Aaj Dekhte Hain, Kashti Humari Tairti Hai Ya Doob Jati hai,
Mohabbat Ki Numaaish Khud-b-Khud Hoti Hai Ya Bach Jati hai......

E-Upar Wale, Ek Chota Sa Sawaal Tujhse Poochta Hoon Main,
Kya Kisi Ko Sirf Pane Bhar se Mohabbat Kaamyaab Ho Jati hai....!!!


**~** Mann **~**

bahut khub..... Applause Applause Applause
aapki lines ne to sochne par majbur kar diya Mann ji....

Khuch ne mohabbat ko pane ki khatir apno ko bhula diya
Khuch ne mohabbat na pane k gum me khud ko mita diya

Nahi tha mujhe gwara is kadar pyar me mitna aur mitana
Judai bhi namumkin thi,kisi ko bhi na tha rulana

Khushiya hi thi kamyabi meri mohabbat ki
Sabki khushiyon me maine apni mohabbat ko pa liya...




Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #73 on: June 25, 2009, 01:26:13 PM »
Reply with quote
Bahoot khoob Pooja ji and Vikas ..

Bahoot hi badiyaan likha hai dono ne.. Bahoot khoob!

Bahut Bahut Shukriya Sophi... Usual Smile Usual Smile


**~** Mann **~**
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #74 on: June 25, 2009, 04:21:30 PM »
Reply with quote
its just beautiful vicky... Extraordinary. itna romantic koi kaise likh sakta hai... Kaash main bhi likh paati aise... par sach mein a very sweet and cute flow of emotions........... Sorry itne din se padha hi nahi maine...


Kuchh Lines...




Kaash Aisa Hota,

main bas bole jaun aur tu chhu le dheeme se mere hothon ko,
kareeb aaye aur chhu le apni saanson se meri saanson ko,
har lafz mera ghul jaaye teri aankhon ki sargoshiyon mein,
bahut karte hai mohabbat hai tujhse keh de ye mere kaano ko...

simatte jaaye hum teri baahon ki khoobsurat duniya mein,
jahan na gam ho na koi pareshan aaye satane hamein,
bas ho chaand ka aangan, sitaron ke lehrate darakht,
chamke hamari mohabbat is chandni ki aagosh mein...

Kaash..............................


Shukriya Angel... Usual Smile Aur Behad Hi Dilkash Alfaaz Likhe Hain dear Tumne.. Tumhare in Khubsoorat aur PYaare Alfaazon se Is Thread ki Khubsoorati me Chaar-Chaand lag gaye hain.. Bahut Hi Pyaara Likha hai.. Applause Applause

Tum Waqt Nikaal kar Yahan aayen,.. uske liye Ek baar phir se Shukriya.. Usual Smile


**~** Mann **~**
Logged
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7 8 9 ... 22
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 09:59:58 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.134 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer