Kaash ke na chup rahta mai

by bekarar on November 17, 2008, 07:37:47 AM
Pages: [1] 2 3 4 5 6
ReplyPrint
Author  (Read 4447 times)
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
Reply with quote
Gar tum hansati, phool baraste,
un phoolon ko chun leta mai,
khwab me bhi gar saath jo milta,
chir-nidra chun leta mai,

tere adharon se, kopal se,
surkh rang har leta mai,
shwet-shyaam apne jeevan ko,
laal-hara kar leta mai,

zulfon se ath-kheli karta,
khushboo se bhar leta mai
garmi ke sukhe mousam ko
rut basant kar leta mai

ek jhalak muskaan teri ko
har naaj tere sah leta mai,
aankh tumhaaari jo nam hoti
un ashqon me bah leta mai

kaash samay rahte tumse ye
Haale dil kah deta mai,
kash ke mai sbab kuch kah deta,
kaash ke "na chup rahta mai"

KASH KE "NA CHUP RAHTA MAI"
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Buhat Chup chup Sey Rehtey Hoo by muneeb in Shayri-E-Dard
Chup chup rota hai by karan_sim in Shayri for Dard -e- Judai
Pyaas sa rahta hai.......!! by chitra in Shayri for Khumar -e- Ishq
kayun wo is dil mai rahta hai...... by Pooja in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
!!~~~~!! Wah Mere Dil Mein Rahta Hai~~~!! by waheed_rose2004 in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
k.shael
Guest
«Reply #1 on: November 17, 2008, 08:01:51 AM »
Reply with quote
Gar tum hansati, phool baraste,
un phoolon ko chun leta mai,
khwab me bhi gar saath jo milta,
chir-nidra chun leta mai,

tere adharon se, kopal se,
surkh rang har leta mai,
shwet shyaam mere jeevan ko,
laal-hara kar leta mai,

zulfon se ath-kheli karta,
khushboo se bhar leta mai
garmi ke sukhe mousam ko
ritu basant kar leta mai

ek jhalak muskaan teri ko
har naaj tere sah leta mai,
aankh tumhaaari jo nam hoti
un ashqon me bah leta mai

kaash samay rahte tumse ye
Haale dil kah deta mai,
kash ke mai sbab kuch kah deta,
kaash ke "na chup rahta mai"

KASH KE "NA CHUP RAHTA MAI"

BAHUT KHOOB, BAHUT PYARA AUR UMDA KALAM
BEKARAR JI...
KEEP IT UP,
BY. K.SHAEL
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #2 on: November 17, 2008, 09:37:14 AM »
Reply with quote
housala-afzaai ka tah-e-dil se shukriya shally.....


baazi khoob lagai tujh bin
har baar raha hara-hara,
uljhan ke durgam path par mai,
firta hun mara-mara,

saath tera ye pyaar jo hota,
har tanz-talkh sah leta mai,
kaash ke mai sab kuch kah deta,

KASH KE "NA CHUP RAHTA MAI"

Logged
k.shael
Guest
«Reply #3 on: November 17, 2008, 09:48:51 AM »
Reply with quote
housala-afzaai ka tah-e-dil se shukriya shally.....


baazi khoob lagai tujh bin
har baar raha hara-hara,
uljhan ke durgam path par mai,
firta hun mara-mara,

saath tera ye pyaar jo hota,
har tanz-talkh sah leta mai,
kaash ke mai sab kuch kah deta,

KASH KE "NA CHUP RAHTA MAI"



AGAIN A VERY NICE WORK,
BEKARAR JI..,
AUR HOUSLA-AFJAI AUR WO BHI AAP JAISE UMDA
SHAYAR KI KYA MAJAK KARTE HO SAHIB...
HAM TO TAARIIF HI KAR SAKTE HAI...
BY. K.SHAEL
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #4 on: November 17, 2008, 10:00:57 AM »
Reply with quote
Gar tum hansati, phool baraste,
un phoolon ko chun leta mai,
khwab me bhi gar saath jo milta,
chir-nidra chun leta mai,

tere adharon se, kopal se,
surkh rang har leta mai,
shwet-shyaam apne jeevan ko,
laal-hara kar leta mai,

zulfon se ath-kheli karta,
khushboo se bhar leta mai
garmi ke sukhe mousam ko
rut basant kar leta mai

ek jhalak muskaan teri ko
har naaj tere sah leta mai,
aankh tumhaaari jo nam hoti
un ashqon me bah leta mai

kaash samay rahte tumse ye
Haale dil kah deta mai,
kash ke mai sbab kuch kah deta,
kaash ke "na chup rahta mai"

KASH KE "NA CHUP RAHTA MAI"

housala-afzaai ka tah-e-dil se shukriya shally.....


baazi khoob lagai tujh bin
har baar raha hara-hara,
uljhan ke durgam path par mai,
firta hun mara-mara,

saath tera ye pyaar jo hota,
har tanz-talkh sah leta mai,
kaash ke mai sab kuch kah deta,

KASH KE "NA CHUP RAHTA MAI"



Kya baat hai... Achhe achho ko qatal kar diya..  Clapping Smiley
Waise, achhe kalaamon ki hausla afzaai karni chahiye, aisa niyam hai.. lekin, agar aapki zara bhi hausla afzaai kar di toh.. aap pata nahin kaun se aasmaan par jaa baithey..  icon_silent
Sanjeev ji.. Itna achha naa likha kariye, Hum jaiso ki aap logo ke saamne likhne ki himmat nahin ho paati..  Usual Smile

Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #5 on: November 17, 2008, 10:25:37 AM »
Reply with quote
AGAIN A VERY NICE WORK,
BEKARAR JI..,
AUR HOUSLA-AFJAI AUR WO BHI AAP JAISE UMDA
SHAYAR KI KYA MAJAK KARTE HO SAHIB...
HAM TO TAARIIF HI KAR SAKTE HAI...
BY. K.SHAEL

hey shally dont be formal achchi bachchi" nahi manegi to fir.. shukriya shally ji Winking Winking

Kya baat hai... Achhe achho ko qatal kar diya..  Clapping Smiley
Waise, achhe kalaamon ki hausla afzaai karni chahiye, aisa niyam hai.. lekin, agar aapki zara bhi hausla afzaai kar di toh.. aap pata nahin kaun se aasmaan par jaa baithey..  icon_silent
Sanjeev ji.. Itna achha naa likha kariye, Hum jaiso ki aap logo ke saamne likhne ki himmat nahin ho paati..  Usual Smile



itni izzat-afzaai ke kaabil to nahi hun......magar aapki nazren hi itni khoobsurat hain ki khaksaar ko bulandi par pahuncha deti hain.....
dil ki gahraaiyon se shukriya aapka SHIKHA

chand na banta meet mera,
yun raat na kat-ti aankhon me,
tum paas mere jo hoti gar,
ghul jaati saanse saanson me,
Chand se hod lagata mukhda
hota mere haathon me

chand wahi hai raat wahi hai,
chand se kya-kya kahta mai
kash ke mai sab kuch kah deta

KASH KE "NA CHUP RAHTA MAI"
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #6 on: November 17, 2008, 10:31:39 AM »
Reply with quote
hey shally dont be formal achchi bachchi" nahi manegi to fir.. shukriya shally ji Winking Winking

itni izzat-afzaai ke kaabil to nahi hun......magar aapki nazren hi itni khoobsurat hain ki khaksaar ko bulandi par pahuncha deti hain.....
dil ki gahraaiyon se shukriya aapka SHIKHA

chand na banta meet mera,
yun raat na kat-ti aankhon me,
tum paas mere jo hoti gar,
ghul jaati saanse saanson me,
Chand se hod lagata mukhda
hota mere haathon me

chand wahi hai raat wahi hai,
chand se kya-kya kahta mai
kash ke mai sab kuch kah deta

KASH KE "NA CHUP RAHTA MAI"

Sanjeev ji..  Shocked Even More Kya khaya tha naashte mein, aur kya khaaya lunch mein..
Gadar dha rahi hai aapki kalam (oops I mean, keyboard)..  Usual Smile
Bahut khoobsurat alfaaz aur bahut khoobsurat khayaal.. Ek baar phir se .. Bahut bahut khoob..  Applause  Applause
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #7 on: November 17, 2008, 12:50:22 PM »
Reply with quote
Sanjeev ji..  Shocked Even More Kya khaya tha naashte mein, aur kya khaaya lunch mein..
Gadar dha rahi hai aapki kalam (oops I mean, keyboard)..  Usual Smile
Bahut khoobsurat alfaaz aur bahut khoobsurat khayaal.. Ek baar phir se .. Bahut bahut khoob..  Applause  Applause

aaj nashte me thin kuch puraani yaaden....aur fir lunch ki jaroorat hi nahi padi....... Usual Smile
shukriya aapko mera ye pryaas pasand aaya.....
Logged
MHussain
Guest
«Reply #8 on: November 17, 2008, 01:23:49 PM »
Reply with quote
behad khalish hai kuch lafzon mein dikat Hindi ke hain.
Pasan ayee yeh nazm
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #9 on: November 17, 2008, 02:05:05 PM »
Reply with quote
Waah Bekaraar Bhai,.
Mere Dil Ko Bekaraar kardiya Aapne,.'Is Kalaam Ko Post Karke,.
Nice One,.
Logged
anjaan dharkan
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
10 days, 13 hours and 44 minutes.
-May Allah Bless You-

Posts: 1900
Member Since: Jul 2008


View Profile
«Reply #10 on: November 17, 2008, 02:59:39 PM »
Reply with quote
subhan-allah! aapko hosla afzai kee zaroorat kahaan! sahi kaha shally ne! please aisay kalmn lihk k waqee hum jaison kee lihkna kee ichha badr tee jaatee hai.

ye nazm ka khayaal gar such hai, tho main khuda se duwaa kartee hoon, aapke sub ghum sub mushkillat door hon, aur aap upnee muhabbat ka himmat se saamna kar k, upnay dil ko uss k saamney khol daen, wasie ek baat kahoon... bahot khush naseeb hogee wo, jisse aap jaisa muhabbat karnay waala millayga! aap kee nazm aap kee muhabbat k baray ein bahot kuch bayan kar rahee hai!
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #11 on: November 17, 2008, 06:21:57 PM »
Reply with quote
Waah Bekaraar Bhai,.
Mere Dil Ko Bekaraar kardiya Aapne,.'Is Kalaam Ko Post Karke,.
Nice One,.
bahoot bahoot shukriya jaanasheen aaone pasand kiya ise... Usual Smile
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #12 on: November 17, 2008, 06:34:01 PM »
Reply with quote
subhan-allah! aapko hosla afzai kee zaroorat kahaan! sahi kaha shally ne! please aisay kalmn lihk k waqee hum jaison kee lihkna kee ichha badr tee jaatee hai.

ye nazm ka khayaal gar such hai, tho main khuda se duwaa kartee hoon, aapke sub ghum sub mushkillat door hon, aur aap upnee muhabbat ka himmat se saamna kar k, upnay dil ko uss k saamney khol daen, wasie ek baat kahoon... bahot khush naseeb hogee wo, jisse aap jaisa muhabbat karnay waala millayga! aap kee nazm aap kee muhabbat k baray ein bahot kuch bayan kar rahee hai!

AD ji,
bahoot shukriya...aapne ise padha aur pasand kiya....kai baar hum shayar log ya kahen ki shayrana mijaj ke log kisi choti si ghatna ko bhi apni kalpana ke sahare kaafi aage badha dte hain to kabhi kisi aur ke jajbaaton ko apne shabdon ka sahara de dete hain.....isliye har nazm ya kavita sachchi to ho sakti hai par likhne wale ki aap beeti ho jaroori nahi.....
baharhaal aapki dua ke liye fir se tah-e-dil se shukriya
Logged
Pooja
Guest
«Reply #13 on: November 17, 2008, 06:38:24 PM »
Reply with quote
Wow!! Wah!! Wow!! Wah!!Wow!! Wah!!

Bahoot he kamal@dhamal.payri rachnao ko post kiya hai apne. ek he rythem main  wah!! wah!! wah!! Dil khush ho gaya!!

Apki he kavita hai, apke he shabd hai... bas thora sa roop badal kar likhahai.. shayad apko pasand ayye...



Gar tum kah dete, hoti baharein
Phoolo se angan bhar jaata
Khawabo ki baatein hoti suchi
Dil se dil phir mil jaata

In adaron per hota ek tera naam
Surkh rango se yovan saj jaata
Shwet shaym apne jeevan ka
Her ek rang main khil jaata

Uljhati zulfe ko tum suljhate
Her uljhan ka jawab mil jaata
Teri mehak se mehakti yah bagia
Phoolo se  humara bagicha saj jaata

Humari muskurahat se muskurati aor zindgia
Unki athkheilio main jeevan beet jaata
Sath jo milta tera is jeevan ko
Her ek kashat ka baadal chant jaata

Kash kah dete tum wo sab
Jo mera bhi tha dil chahta
Kash na rahte tum us waqat chup
Yah sawal na umar –bhar tadpaata


Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #14 on: November 17, 2008, 07:33:43 PM »
Reply with quote
Pooja ji aapke is jawab ne mujhe to lajawab kar diya.....aur aapki shayri express ka kayal bhi.....bahoot kam log hi itne kam samay me itna behtar likh paate honge.......
daad kabool karen...
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 6
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 07:38:27 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.119 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer