Kaash ke na chup rahta mai

by bekarar on November 17, 2008, 07:37:47 AM
Pages: 1 2 [3] 4 5 6
ReplyPrint
Author  (Read 4455 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #30 on: November 18, 2008, 01:30:41 PM »
Reply with quote
Waah Ji Waah Kya Khoob Mehfil Sajj Rahi hai,.
kaash ke Mujhe Bhi Mohabbat ke Baare mein Kuch Likhna Aata,.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Buhat Chup chup Sey Rehtey Hoo by muneeb in Shayri-E-Dard
Chup chup rota hai by karan_sim in Shayri for Dard -e- Judai
Pyaas sa rahta hai.......!! by chitra in Shayri for Khumar -e- Ishq
kayun wo is dil mai rahta hai...... by Pooja in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
!!~~~~!! Wah Mere Dil Mein Rahta Hai~~~!! by waheed_rose2004 in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Pooja
Guest
«Reply #31 on: November 18, 2008, 04:40:55 PM »
Reply with quote
Waah Ji Waah Kya Khoob Mehfil Sajj Rahi hai,.
kaash ke Mujhe Bhi Mohabbat ke Baare mein Kuch Likhna Aata,.

Lil bro apke liye yah lines likh rahi hu:

Armaano ko kalam bana kar
khwabo ko shabd de jao tum
jo bhi ayye man-tarang main
wo he likhte jao tum
kaya hai dard aor kaya hai khumar
zajbaato ko khud behkaao tum
lekhani teri per vishwaas mujhe
meri baat per kar vishwaas, khumar main likhte jao tum
Logged
Pooja
Guest
«Reply #32 on: November 18, 2008, 04:43:04 PM »
Reply with quote
Kal ye thread dekha tha, par waqt ki kami ki wajah se kuch likh nahin paaye....aur aaj to yahan kamaal pe kamaal ho rahe hain.......!! Kaun kaun si post quote karun aur kya tareef karun...Like always, I am lost for words....Hume tareef karna to nahin aata, yehi kahenge, Bohot Khoob Sanjeev, Pooja and Mahiya Applause

 Thankyou ! Celmira
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #33 on: November 19, 2008, 09:18:02 AM »
Reply with quote
Bahut Bahut Shukriya Pooja di, Celmira, Sanjeev Ji, Azeem..

Aur Bahut khoob likha hai Sanjeev Ji, Azeem aur Pooja di.. Applause
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #34 on: November 19, 2008, 09:31:53 AM »
Reply with quote
kyun odhe rahti thi tum hardum,
sanjeeda wala wo chehra,
har baar jutai himmat bhi,
kabhi lab kanpe, kabhi dil haara,

nakam larjte honthon se,
bas naam tera hi leta mai
Kash ke mai sab kuch kah deta,

kash ke "NA CHUP RAHTA MAI"

Sanjeeda haalaat aur Sanjeeda chehra,
Lekin dil toh tha wohi alhadd mera..
Hansi Thitholi sab kuch hi main bhooli,
Basant mein lagaaye jaise Patjhadd dera...

Haan, Main bhi phoolon si khilkhilaati,
Rang tamaam jeevan mein bhar laati..
Sanjeedagi se jo naa yun ghabraate tum,
Ae kaash ke kabhi kuch kehte tum..
Kaash ke naa chup rehte tum...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #35 on: November 19, 2008, 06:55:12 PM »
Reply with quote
Shabdon ke jadoogar-bhaiya bekarar...aapki shaayri ki taaref ke liye alfaazon ka daayra laghu pud jaata hein. Itni napi-tuli shaayri,itne komal bhaavon se sajjit...aapne vaakai kehar dhaa diya hey...bahut madhur hey aapka sangeet.



Pooja ji aur mahiya ji---sada ki tarah aap hey to mehfil hey...varna kitna bhee sashakt shaayar ho...viraane mein he bhatak jaaye..silsiley jo aapne badhaaye hein unkey sabhi kaayal hey meri tarah.


Prateek




Prateek ji, such kahu to jis tarah se app rachnao ko parr kar unke samman main likhte hai, mai to uski kayal hu.
Apki taraf se bhi kuch padne ko mil jaata to acha lagta!!
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #36 on: November 19, 2008, 06:59:38 PM »
Reply with quote
prateek ji ke liye bilkul sahi kaha pooja ji.......is behtreen housala afzai ka shukriya......the kahan itne din?
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #37 on: November 19, 2008, 07:38:41 PM »
Reply with quote
yaad aa gaya woh chup rehna
chup reh kar sub kuch keh dena
teri aankhon ki haya woh humdum
kabhi thee shola,kabhi thee shubnum
nazar nazar se milti thee
fir teri palkey jhukti thee
aur tere adhron ki halki muskaahat
mujhey hur uljhan se mukti thee
teri khaamoshi se ki dheron baaten
karvat karvat kati thee raaten
fir ek din aisa kaatil aaya
tujhko sindoori khoon se saja jub paaya
ub tuk nahi ruka hey aankhon ka behna
samay nahi sikhla paaya mujhko sehna
yaad aa gaya woh chup rehna
chup reh kar sub kuch keh dena.

Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #38 on: November 19, 2008, 07:46:01 PM »
Reply with quote
 Applause Applause
bahoot khoob prateek ji...apke shabdon ko taras raha tha ye thread.....wah..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #39 on: November 19, 2008, 07:46:32 PM »
Reply with quote
wowo Prateek ji, kafi der se apko is thread main dekh rahi thi... aor besabri se intzaar kar rahi thi apki post ki... wah kaya kamal likha hai apne... wo kahte hai na ki dil ka halak per aa jaana... bahoot kamal  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

khamosh teri muskaan main jeevan paate the
chup tumhe dekh kar, hum bhi chup rah jaate the
ankhon ankhon mai dekh kar tum sab kah jaate the
dil he dil main hum bhi jawab diye jaate the

hasrato ke ahsaas raat bhar jagate the
subah ko dekh tumhe, armaan sulag jaate the
bahano se phir hum tere ghar main atte the
bechain najaro se, tumhe dil ki baat samjhate the

chupi tumhari per khoon ke ghoot pi jaate the
dil he dil main tujhe rab ka vasta diye jaate the
na rahte chup to ajj humara hota
khayal-o-khwabo se na yah dil maara hota


Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #40 on: November 19, 2008, 07:59:39 PM »
Reply with quote
shukriya bekarar ji.

pooja ji--aapki yeh rachna mujhey vaakai kuch puraani yaadon mein le gayi...aapney sada ki tarah atyant khoobsurat likha hey!

Prateek
Logged
Pooja
Guest
«Reply #41 on: November 19, 2008, 08:05:30 PM »
Reply with quote
shukriya bekarar ji.

pooja ji--aapki yeh rachna mujhey vaakai kuch puraani yaadon mein le gayi...aapney sada ki tarah atyant khoobsurat likha hey!

Prateek

Prateek ji apki baat baar par yahi man main ayya hai:

dil ke ahsaas aor armaano ko ek sa he paaya hai
teri is baat per, dil mera muskuraya hai
beeta wo zamana hume bhi yaad ayya hai
khamosh muhobbat ko, na jaane kitne dilo ne nibhaya hai

Kash na rahte chup, haya apni se baher aa jaate
jo na kah sake wo, kash hum kah jaate
is kash ne ajj bhi dil bada dukhaya hai
kash na rahte chup, dil ne na jaane kitani baar yahi dohraya hai
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #42 on: November 19, 2008, 08:32:28 PM »
Reply with quote
wowo Prateek ji, kafi der se apko is thread main dekh rahi thi... aor besabri se intzaar kar rahi thi apki post ki... wah kaya kamal likha hai apne... wo kahte dil halak per le anna.... bahoot kamal  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

khamosh teri muskaan main jeevan paate the
chup tumhe dekh kar, hum bhi chup rah jaate the
ankhon ankhon mai dekh kar tum sab kah jaate the
dil he dil main hum bhi jawab diye jaate the

hasrato ke ahsaas raat bhar jagate the
subah ko dekh tumhe, armaan sulag jaate the
bahano se phir hum tere ghar main atte the
bechain najaro se, tumhe dil ki baat samjhate the

chupi tumhari per khoon ke ghoot pi jaate the
dil he dil main tujhe rab ka vasta diye jaate the
na rahte chup to ajj humara hota
khayal-o-khwabo se na yah dil maara hota



Prateek ji apki baat baar par yahi man main ayya hai:

dil ke ahsaas aor armaano ko ek sa he paaya hai
teri is baat per, dil mera muskuraya hai
beeta wo zamana hume bhi yaad ayya hai
khamosh muhobbat ko, na jaane kitne dilo ne nibhaya hai

Kash na rahte chup, haya apni se baher aa jaate
jo na kah sake wo, kash hum kah jaate
is kash ne ajj bhi dil bada dukhaya hai
kash na rahte chup, dil ne na jaane kitani baar yahi dohraya hai


wah....wah...aapki shayri express ko "bekarar" ka salam.
pooja ji,
itni jaldi itne behtar jawab aapko sujhte kaise hain...koi farmula hume bhi bataiye...... Applause Applause
Logged
Pooja
Guest
«Reply #43 on: November 19, 2008, 08:41:18 PM »
Reply with quote
wah....wah...aapki shayri express ko "bekarar" ka salam.
pooja ji,
itni jaldi itne behtar jawab aapko sujhte kaise hain...koi farmula hume bhi bataiye...... Applause Applause

Apki baat ka ab kaya jawab du Bekarar ji, magar ajj such mai apne University ke din yaad aa gaye...

ek waqat tha jab, app jaise dosto sung mehfil sajaya karte the
baat baat per, shayri se apni baat batlaya karte the
kuch wo kahte, kuch hum kahte, mil jul kar gazal banaya karte the
shayri ki antakshari se ek duje ko rijhaya karte the

Logged
Pooja
Guest
«Reply #44 on: November 19, 2008, 09:05:14 PM »
Reply with quote
Ok ji ek try aor..shayad app sabko pasand ayye, kalam ke man ki udaan se kuch lines yaha likhne ja rahi hu..

Holi ka wo din, jab charo aor se yah tan ghir ayya tha
Bebasi ke us alam main, tumhare piche khud ko chupaya tha
Asamjhata se tumne, bheer ko samjhaya tha
Kuch bole tumhe, per jorr na kisi ka chal paaya tha

Peeth tumahri per rakh hath, munh humne chupaya tha
Tumne bhi piche kar ek hath, hume sehlaya tha
Na ho khatam wo pal, man main tab, bas yahi ayya tha
Bas hum he hai do, yah ahsaas man mai kahin ayya tha

Bin kahe bhi kah gaye tum bahoot kuch
Yah man garv se tum per bhar ayya tha
Chua tha jo tumko un dar ke palo main
Ajj bhi us ahsaas ne, armaano ko sulagaya tha



Post karne ke baad, dhayan gaya ki yah post thread ke title se hat kar likhi gai mujhse. hummm... agge se dhayan rahega Bekarar ji... yah kalam bhi na jab chalna shuru karti hai, kai baar apne raste se behak jaati hai.. DOH sone pe suahaga yah ki khumar-e-ishaq main kalam chal rahi hai...  NaNaNa
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5 6
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 24, 2024, 01:40:39 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.119 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer