Kaash ke na chup rahta mai

by bekarar on November 17, 2008, 07:37:47 AM
Pages: 1 2 3 [4] 5 6
ReplyPrint
Author  (Read 4524 times)
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #45 on: November 19, 2008, 09:50:31 PM »
Reply with quote
ehsaas jo jage dil me,
lab pe thartharate,
kuch tum badhete aage,
kuch hum paas aate,

rahega ab ye gila,
khud se umra bhar,
kaash teri pooja ke,
hum phool ban jaate,



Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Buhat Chup chup Sey Rehtey Hoo by muneeb in Shayri-E-Dard
Chup chup rota hai by karan_sim in Shayri for Dard -e- Judai
Pyaas sa rahta hai.......!! by chitra in Shayri for Khumar -e- Ishq
kayun wo is dil mai rahta hai...... by Pooja in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
!!~~~~!! Wah Mere Dil Mein Rahta Hai~~~!! by waheed_rose2004 in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Pooja
Guest
«Reply #46 on: November 19, 2008, 10:01:39 PM »
Reply with quote
ehsaas jo jage dil me,
lab pe thartharate,
kuch tum badhete aage,
kuch hum paas aate,

rahega ab ye gila,
khud se umra bhar,
kaash teri pooja ke,
hum phool ban jaate,


Wah kaya baat hai... simple shabdo main bahootgahri baat kah gaye app... magar lagta hai ki apko humri last likhi dono poems pasand nahi aii... ek bhi comment nahi  Crying

Gille shikawo main ab ise nibhana hai
jo na kah sake kabhi, wo dil ki baatein dil main dabana hai
dikhte ho ajj bhi jab tum kahin achanak rasto main
hans kar unhi, apne armaano ko samjhana hai
kash kah jaate jo tum yah sab, hanste umatbhar sung sung
ab to kabhi hans kar, kabhi ro kar, is dil ko manana hai

Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #47 on: November 19, 2008, 10:47:24 PM »
Reply with quote
Apki baat ka ab kaya jawab du Bekarar ji, magar ajj such mai apne University ke din yaad aa gaye...

ek waqat tha jab, app jaise dosto sung mehfil sajaya karte the
baat baat per, shayri se apni baat batlaya karte the
kuch wo kahte, kuch hum kahte, mil jul kar gazal banaya karte the
shayri ki antakshari se ek duje ko rijhaya karte the



Ok ji ek try aor..shayad app sabko pasand ayye, kalam ke man ki udaan se kuch lines yaha likhne ja rahi hu..

Holi ka wo din, jab charo aor se yah tan ghir ayya tha
Bebasi ke us alam main, tumhare piche khud ko chupaya tha
Asamjhata se tumne, bheer ko samjhaya tha
Kuch bole tumhe, per jorr na kisi ka chal paaya tha

Peeth tumahri per rakh hath, munh humne chupaya tha
Tumne bhi piche kar ek hath, hume sehlaya tha
Na ho khatam wo pal, man main tab, bas yahi ayya tha
Bas hum he hai do, yah ahsaas man mai kahin ayya tha

Bin kahe bhi kah gaye tum bahoot kuch
Yah man garv se tum per bhar ayya tha
Chua tha jo tumko un dar ke palo main
Ajj bhi us ahsaas ne, armaano ko sulagaya tha



Post karne ke baad, dhayan gaya ki yah post thread ke title se hat kar likhi gai mujhse. hummm... agge se dhayan rahega Bekarar ji... yah kalam bhi na jab chalna shuru karti hai, kai baar apne raste se behak jaati hai.. DOH sone pe suahaga yah ki khumar-e-ishaq main kalam chal rahi hai...  NaNaNa
Wah kaya baat hai... simple shabdo main bahootgahri baat kah gaye app... magar lagta hai ki apko humri last likhi dono poems pasand nahi aii... ek bhi comment nahi  Crying

Gille shikawo main ab ise nibhana hai
jo na kah sake kabhi, wo dil ki baatein dil main dabana hai
dikhte ho ajj bhi jab tum kahin achanak rasto main
hans kar unhi, apne armaano ko samjhana hai
kash kah jaate jo tum yah sab, hanste umatbhar sung sung
ab to kabhi hans kar, kabhi ro kar, is dil ko manana hai



maaf kijiyega mai reply me jaakar kuch der gayab ho gaya tha....isliye jawab nahi de paya....achcha nahi bahoot achcha likha hai aapne..aur khumaar me khumaar hi to chal raha hai..kahin kuch off topic mujhe to dikhai nahi diya....
Logged
anjaan dharkan
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
10 days, 13 hours and 44 minutes.
-May Allah Bless You-

Posts: 1900
Member Since: Jul 2008


View Profile
«Reply #48 on: November 20, 2008, 02:29:49 PM »
Reply with quote
AD ji,
bahoot shukriya...aapne ise padha aur pasand kiya....kai baar hum shayar log ya kahen ki shayrana mijaj ke log kisi choti si ghatna ko bhi apni kalpana ke sahare kaafi aage badha dte hain to kabhi kisi aur ke jajbaaton ko apne shabdon ka sahara de dete hain.....isliye har nazm ya kavita sachchi to ho sakti hai par likhne wale ki aap beeti ho jaroori nahi.....
baharhaal aapki dua ke liye fir se tah-e-dil se shukriya
bahot sachee baat kee apne.... as ever, i am always hear!
Logged
muskan_bye
Guest
«Reply #49 on: November 20, 2008, 03:01:37 PM »
Reply with quote
SABNE BAHUT ACHA LIKHA HAI

KABHI KABHI KUCH BAATEIN
DIL MEIN RAHE JATI HAI
OR LAFZ PAR AATEIN HI
DAGMAGA JATI HAI
KIS KO PATA HAI
KIS KO KHABAR HAI
KAB KYA HONA HAI
JO HOGA JAISE HOGA
ACHA HI HOGA

JO NA KAHE SAKE
USKO NOOR,USSE BHI ACHA DETA
JO DARTEIN RAHE ,USAY BHI HIMMAT DETA HAI
OR LADTEIN RAHE USAY AAGE CHALNA SIKHATA HAI
JO SAMJHTE RAHE USAY BHI AAGE PAHLOON KA NAZRANA DIKHTA HAI

JHIL SI AANKHON MEIN KUCH TOH HOTA HAI
KUCH MASUMIYAT KUCH SHARARATI SA EHSAAS HOTA HAI
BAS YOUN SAMJHON KI HAR DHARKAN MEIN USKA EK SAAZ HOTA HAI
YOUN TOH HUM KAHETE NAHI KI YE HAR KISI KI ZINDAGI MEIN HOTA HAI
MAGAR JAB KISI ZINDAGI MEIN HOTA HAI TOH BESHUMAAR HOTA HAI


ZINDAGI KO HUM DEER MEIN SAMJHTE
TAB HUM PATHAR KE DIL HOTE
JAB SAMJH PATE
TAB APNE SE DOOR PATE
KASH KE NA CHUP RAHE PATE
............................

************************************MUSKAN***********************
Logged
Pooja
Guest
«Reply #50 on: November 20, 2008, 04:27:09 PM »
Reply with quote
shukaria Muskaan and nice one dear!!!
Logged
muskan_bye
Guest
«Reply #51 on: November 20, 2008, 04:36:52 PM »
Reply with quote
UR WELCOME 'POOJA JI' AND THANK YOU SO MUCH

KASH AISA HOTA
KI NASEEB BHI HUMARE SATH HOTA
LOG BHI SATH DETE OR HUM BOL JATEIN
KYA KHABAR THI KYA NASEEB THA
JO HONA THA WOH HO GYA
JO NA HO SAKA WOH RAHE GAYA
KASH KE NA CHUP RAHETE
TOH LOG KISI KO PA LETE
APNA LETE ZINDAGI BANA LETE..........

************************MUSKAN**********************
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #52 on: November 23, 2008, 04:04:26 PM »
Reply with quote
Lil bro apke liye yah lines likh rahi hu:

Armaano ko kalam bana kar
khwabo ko shabd de jao tum
jo bhi ayye man-tarang main
wo he likhte jao tum
kaya hai dard aor kaya hai khumar
zajbaato ko khud behkaao tum
lekhani teri per vishwaas mujhe
meri baat per kar vishwaas, khumar main likhte jao tum


Koshish,.

Khumaar Mohabbat Se Mujhe Na Milaa Kabhi,.
Is Liye Mohabbat Ka Naam Achcha Nahi Lagta,.

Mohabbat Fareb Hai, Dhoka Hai, Ghamo Ki Tasweer Hai,.
Isliye "Pooja" Mujhe Mohabbat Ka Koi Waada, Sachcha Nahi Lagta,.

___________________________________-Jaanasheen-
Logged
Pooja
Guest
«Reply #53 on: November 24, 2008, 04:21:36 AM »
Reply with quote
Lil bro ji

armano se apni wafa nibhaye ja
pyar main apna dil dhadkaye ja
ho jayegi her dua tere dil ki poori
sahi raah per, suche man se kadam badaye ja
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #54 on: November 24, 2008, 01:41:08 PM »
Reply with quote
Lil bro ji

armano se apni wafa nibhaye ja
pyar main apna dil dhadkaye ja
ho jayegi her dua tere dil ki poori
sahi raah per, suche man se kadam badaye ja

Nice One Sis,.

Ek Koshish Karenge Phir Se Dil Lagaane Ki,.
Apne Veeraan Ghar Mein Koi Mehfill Sajaane Ki,.

Bewafaa Mera Sanam Tha, Mohabbat Ka Koi Dosh Nahi,.
Galat Tha Main Mohabbat Ko Ilzaam De Diya,.
Maaf Kardo "Doston" Khata is Deewaane Ki,.

_____________________________-Jaanasheen-
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #55 on: November 24, 2008, 02:52:02 PM »
Reply with quote
 Applause Applause
bahoot khoob muskaan,...
nice one pooja ji and good reply Azeem....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #56 on: November 24, 2008, 08:00:12 PM »
Reply with quote
bahoot khoob lil bro... sahi kaha apne... dost he daga dete hai to phir ilzaam muhobat ko kyun?

Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #57 on: November 25, 2008, 01:42:06 PM »
Reply with quote
bahoot khoob lil bro... sahi kaha apne... dost he daga dete hai to phir ilzaam muhobat ko kyun?



Shukriya Didi,.
Bekaraar Bhai,.

Saath Mile Tera To Kitni Achchi Baat Hai,.
Khwaabon Mein Dekhoon Tujhe, Aur Samjhoon Ke Mulakhaat Hai,.

Wo Daur Hi Ajeeb Tha,.
Jab Tu Mere Kareeb Tha,.

Raat Bhi Mujhpe Nisaar Thi,.
Tu Mere Dil Ki Kali Thi Bahaar Thi,.

Ye Baat Thi Us Zamaane Ki,.
Jab Thi Tu Meri Mohabbat,
Aur Dushman Thi Is Zamaane Ki,.

__________________-Azeem-





Logged
Pooja
Guest
«Reply #58 on: November 25, 2008, 04:23:32 PM »
Reply with quote
yah hui na baat lil bro... bahoot khoob likha apne!!!

dil mai hajaro the sawal
na jaane dekhein kitne khawab
kash kah jaate jo hum
ajj bhi hote hum sath- sath
Logged
MHussain
Guest
«Reply #59 on: November 28, 2008, 08:27:39 AM »
Reply with quote
unhen to milee hai kuduurat se tazgi
chup to rahe khol kar razdari ka pitara
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5 6
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 26, 2025, 06:34:56 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.136 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer