Kaash, mein gaaun teyree eik bey-zabaan gazal!!

by abdbundeli on April 14, 2009, 01:11:04 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1799 times)
abdbundeli
Guest
Reply with quote

Kaash, mein paaun teyree eik bey-zabaan gazal!
Kaash, mein gaaun teyree eik bey-zabaan gazal!!

Rawaan hain dil mein teyrey, laakh pharhakteen gazaleyn;
Kahan chhupaaun teyree eik bey-zabaan gazal!

Bol mat, sirf idhar deykh! Nigah mein padhh kar,
Tujhey sunaaun, teyree eik bey-zabaan gazal!

Jigar mein jhaank, jhaankney dey jigar mein apney;
Tujhey dikhaaun, teyree eik bey-zabaan gazal!

Padhhey hain Momin-o-Gaalib, saheeh hai; aa ab,
Tujhey padhhaaun, teyree eik bey-zabaan gazal!

Maantaa hoon, ki, sur-o-saaz hain gunaah wahaan!
Mein gungunaaun teyree eik bey-zabaan gazal?

Hijaab teyraa, chhupaaye hai na jaaney kyaa-kyaa?
Kahaan chhupaaun, teyree eik bey-zabaan gazal?

Deykh to, gaa rahey tamaam parindey kyaa-kyaa?
Unhain sujhaaun, teyree eik bey-zabaan gazal?

Sajey hain laakh raag-o-taal teyree saansoun mein;
Kahaan sajaaun teyree eik bey-zabaan gazal?

Zindagee muskuraa key jii: yeh karam hai us kaa!
‘Abd’, churaaun teyree eik bey-zabaan gazal?

- abd bundeli

Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006

View Profile
«Reply #1 on: April 14, 2009, 01:41:41 PM »
Reply with quote
Subhan Allah, Subhan Allah,
Abd Bhaiya, Kya Khioob Likha Hai Aapne,.
Dil se Nikli Hui Daad Kabool Karein,.
Allah Kareem Aur Bhi Barkath De Aapke Kalaamon Mein, Aapke Lafzon Mien,.
Bohat Achche,.
Logged
aaina
Guest
«Reply #2 on: April 14, 2009, 01:52:20 PM »
Reply with quote

Kaash, mein paaun teyree eik bey-zabaan gazal!
Kaash, mein gaaun teyree eik bey-zabaan gazal!!

Rawaan hain dil mein teyrey, laakh pharhakteen gazaleyn;
Kahan chhupaaun teyree eik bey-zabaan gazal!

Bol mat, sirf idhar deykh! Nigah mein padhh kar,
Tujhey sunaaun, teyree eik bey-zabaan gazal!

Jigar mein jhaank, jhaankney dey jigar mein apney;
Tujhey dikhaaun, teyree eik bey-zabaan gazal!

Padhhey hain Momin-o-Gaalib, saheeh hai; aa ab,
Tujhey padhhaaun, teyree eik bey-zabaan gazal!

Maantaa hoon, ki, sur-o-saaz hain gunaah wahaan!
Mein gungunaaun teyree eik bey-zabaan gazal?

Hijaab teyraa, chhupaaye hai na jaaney kyaa-kyaa?
Kahaan chhupaaun, teyree eik bey-zabaan gazal?

Deykh to, gaa rahey tamaam parindey kyaa-kyaa?
Unhain sujhaaun, teyree eik bey-zabaan gazal?

Sajey hain laakh raag-o-taal teyree saansoun mein;
Kahaan sajaaun teyree eik bey-zabaan gazal?

Zindagee muskuraa key jii: yeh karam hai us kaa!
‘Abd’, churaaun teyree eik bey-zabaan gazal?

- abd bundeli

kya baat hai abd sahab bhut khoob janab bhut badiya....................
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #3 on: April 14, 2009, 01:58:06 PM »
Reply with quote
Madhosh kar gayee ABD, yeh teri bey-zubaan ghazal

Mera hosh meri jaan le gayee, yeh teri be-zubaan ghazal

Kal tune kaha bohat kuch, aur humne suna kuch bhi nahi

Aur aaj GHAYEL ko lajawab kar gayee, yeh teri be-zubaan ghazal
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #4 on: April 14, 2009, 02:10:31 PM »
Reply with quote
Subhan Allah, Subhan Allah,
Abd Bhaiya, Kya Khioob Likha Hai Aapne,.
Dil se Nikli Hui Daad Kabool Karein,.
Allah Kareem Aur Bhi Barkath De Aapke Kalaamon Mein, Aapke Lafzon Mien,.
Bohat Achche,.
Bahut-bahut shukriyah Jaanasheen bhai!Aapki nazar-e-inaayat hai janaab! Aur kyaa kahoon?
                    - abd bundeli
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #5 on: April 14, 2009, 02:12:10 PM »
Reply with quote
kya baat hai abd sahab bhut khoob janab bhut badiya....................
Bahut-bahut shukriyah, aaina ji!
                  - abd bundeli
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #6 on: April 14, 2009, 02:28:09 PM »
Reply with quote
Madhosh kar gayee ABD, yeh teri bey-zubaan ghazal

Mera hosh meri jaan le gayee, yeh teri be-zubaan ghazal

Kal tune kaha bohat kuch, aur humne suna kuch bhi nahi

Aur aaj GHAYEL ko lajawab kar gayee, yeh teri be-zubaan ghazal

Bahut-bahut shukriyah sajid_ghayel ji!

Kuchh kabhi kahtaa hoon; to, kahtaa kabhi kuchh bhi naheen:
Jab nidaa-ae-sanam aatee hai, lahar uthhtaa hoon!
Bahr-e-jazbaat mein, lagtaa hai, doob jaaungaa;
Par safeeney pai nishaan ban key fahar uthhtaa hoon!!

            - abd bundeli

Logged
pandit
Guest
«Reply #7 on: April 14, 2009, 04:15:45 PM »
Reply with quote

Kaash, mein paaun teyree eik bey-zabaan gazal!
Kaash, mein gaaun teyree eik bey-zabaan gazal!!

Rawaan hain dil mein teyrey, laakh pharhakteen gazaleyn;
Kahan chhupaaun teyree eik bey-zabaan gazal!

Bol mat, sirf idhar deykh! Nigah mein padhh kar,
Tujhey sunaaun, teyree eik bey-zabaan gazal!

Jigar mein jhaank, jhaankney dey jigar mein apney;
Tujhey dikhaaun, teyree eik bey-zabaan gazal!

Padhhey hain Momin-o-Gaalib, saheeh hai; aa ab,
Tujhey padhhaaun, teyree eik bey-zabaan gazal!

Maantaa hoon, ki, sur-o-saaz hain gunaah wahaan!
Mein gungunaaun teyree eik bey-zabaan gazal?

Hijaab teyraa, chhupaaye hai na jaaney kyaa-kyaa?
Kahaan chhupaaun, teyree eik bey-zabaan gazal?

Deykh to, gaa rahey tamaam parindey kyaa-kyaa?
Unhain sujhaaun, teyree eik bey-zabaan gazal?

Sajey hain laakh raag-o-taal teyree saansoun mein;
Kahaan sajaaun teyree eik bey-zabaan gazal?

Zindagee muskuraa key jii: yeh karam hai us kaa!
‘Abd’, churaaun teyree eik bey-zabaan gazal?

- abd bundeli

Waah Bundeli jee
kya baat hai jee..........
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #8 on: April 14, 2009, 04:22:04 PM »

Too GOOD ABD Ji.. mere paas tho alfaaz hi nahi hai.. bahoo thi khusbsurat kalaam paish kiya hai aapne. superb ABD JI
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #9 on: April 14, 2009, 04:53:54 PM »
Reply with quote
Waah Bundeli jee
kya baat hai jee..........
Thanks pandit ji!
      - abd bundeli
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #10 on: April 14, 2009, 04:55:33 PM »
Reply with quote
Too GOOD ABD Ji.. mere paas tho alfaaz hi nahi hai.. bahoo thi khusbsurat kalaam paish kiya hai aapne. superb ABD JI
Bahut-bahut shukriyah sophi ji!
              - abd bundeli
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #11 on: April 15, 2009, 05:19:53 AM »
Reply with quote

  u know how to promote things....gud one
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #12 on: April 15, 2009, 05:29:00 AM »
Reply with quote
  u know how to promote things....gud one
Thanks khamosh_aawaaz ji!
          - abd bundeli
Logged
k.shael
Guest
«Reply #13 on: April 15, 2009, 07:46:16 AM »
Reply with quote
 Clapping Smiley  Clapping Smiley  Clapping Smiley

Bahut Bahut Bahut Umda likha hai aapne Abd Ji,
Really touching lines...

Kaise samjhega tu use jo mein tere liye likhta hoon,
Wo to ek bejubaan ghazal hai...

Shally.
Logged
karndhar
Guest
«Reply #14 on: April 15, 2009, 08:22:53 AM »
Reply with quote
Bahut Badhiya Abd Ji !!!!
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 02:12:38 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.123 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer