"KAHAN MUMKIN HAI"

by KIKANI on September 04, 2006, 02:09:53 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 3118 times)
KIKANI
Guest
Reply with quote
"Kahan Mumkin Hai..."

Pyaar ko bhoolna, kahan mumkin hai
Zakhm nasoor na bane, kahan mumkin hai
Sabra karne ko kehte ho, kahan mumkin hai
Aah dil se na nikle , ye kahan mumkin hai

*

Lamha-Lamha guzarta hai, teri yaadon ke sahare
Khwahishein aaj poori ho…, ye kahan mumkin hai

*

Dil-e-betaab ko seeney se laga lo aai dost
Jism se dil to alag ho…, ye kahan mumkin hai

*

Chaand-taare bhi zamein par roz utar aate hain
Husn ka roz ho deedaar…., kahan mumkin hai

*

Aasmaan aaj mujhe neend nahin aati hai
Pyaar ho husn ke aagosh mein… , ye kahan mumkin hai

*

Ek-ek din to guzarta hai tasavur mein tere
Yaad mein umra ka katna…, kahan mumkin hai

*

Maikada, mehfil-e-jana aur saaqi se kya khouf
Hosh mein reh ke ab jeena…,ye kahan mumkin hai

*  *  *
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
"Kahan Milty hain" by Guest in Other Languages
""Tanhayi Ke Aalam Mein"" by angel4u in Share: Poetry of Pain « 1 2  All »
"mohabbat mai ab wo pehli si baat kahan" by aaina in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3 4  All »
"kahan hain ghayal sahab" by aaina in Shayri for Khumar -e- Ishq
"maah o saal ki baat kahan" by aaina in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Talat
Guest
«Reply #1 on: September 04, 2006, 02:24:43 PM »
Reply with quote
Nice one !! and welcome to Yoindia !!
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #2 on: September 04, 2006, 03:35:06 PM »
Reply with quote
KIKANI

Very good ! =D>

Keep it up !

Rajbir
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #3 on: September 04, 2006, 03:43:05 PM »
Reply with quote

Very nice.... =D> =D>

Again Welcome to Yoindia.... :D
[/b]
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #4 on: September 04, 2006, 03:49:08 PM »
Reply with quote
Wah bahut accha likha hai Kikani ji.....Yoindia pe aapka Sawagat hai Usual Smile
Logged
KIKANI
Guest
«Reply #5 on: September 04, 2006, 04:14:11 PM »
Reply with quote
Thanx to Majid, Rajbir, badnaam_shayar, shikha 12,

I AM TRUELY AMAZED WITH THE RESPONSE AND THE WAY YOU ALL HAVE WELCOMED ME !
 
IT SEEMS I AM ON CLOUD NINE !

IT IS VERY...VERY ENCOURAGING !

Just a couple of lines for myself :

Tumne dushman hi dushman banaye hain
Humne zindagi mein sirf dost hi paye hain
Tum jitni aazmaa lo aapni taaqat-e-jaan
Khuda ke rehm-o-karam nein hamein bachaye hain

*

Kya milega tumhe kisi  aur ki kismet dubokar
Badi mashaqqat se usne ye maqaam paye hain

*

Kyun bante ho tum auron ke liye fitna-parast
Kab kisi aur nein humse zakhm paaye hain

*

Kya tumhe hai nahi kudrat ka khouf
Teri ibaadat nein kya koi maayne paaye hain

*

Apni begunaahi pe kabhi aata hai rona
Par karm-o-haya se nahi kabhi qadam dagmagaye hain

*  *  *
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #6 on: September 04, 2006, 04:18:07 PM »
Reply with quote
Wah bahut khubsurat likha hai apne...Keep Writing....

Manzilein se na poocho Pate.....
Woh TaQdeer se badal jaati hai.....

Mumkin hai sab kuch iss Dunia me......
TaQdeer bhi Mahobbat me Tabdeel ho jaati hai.....

Kabhi Veeran safar toh kabhi sajao Mehfilein.....
Kya pata kab konse maud pe Humsafar mil jaati hai......

Manzilon se na poocho pate............!!!!!!!!
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #7 on: September 04, 2006, 05:24:45 PM »
Reply with quote
Wah Kikani welcome to YoIndia!

Gaurav,A beauty bro :D


mohabat mein Yeh Musafir phir manzil pa jaye,par
mumkin nahi mere bhulane par tu dorri chale aaye

dil tere bagair dhadk-dhadk kar daudi ka ehsaas dilaye
mumkin nahi ajj teri yaadein,tanhai ko sakoon dila jayein

Matt puch kya haal hai tere IshQ mein mere sanam
mumkin nahi chalna aor na hi mujhse agge ruka jaye...
Logged
ranjana
Guest
«Reply #8 on: September 04, 2006, 05:35:49 PM »
Reply with quote
bahut khoob kikani and gauarv

aapka sawagat hum bhi karte hain kikani ji... Usual Smile


koshsih hi anzaam tak le jaati hai
har lafaz ek ghazal ek khaani mein dhal jaati hai..
bikharte raho tum yuh hi apne shabad kagaz per
baad mein yahi nishanai kuch bhuli si baate keh jaati hai..

***

hum hathali per unka naam likh ke chipa lete hain
woh ek nigaah se hamko diwaana bana lete hain
karte hain laakh koshish hum inkaar karne ki
woh baate pyaar ki karake hamse izhaar karwa lete hain!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #9 on: September 04, 2006, 06:02:36 PM »
Reply with quote
wah kaya baat hai, poori mehfil lagi hui hai... Bahoot khoob Kikani ji...Apka yoindia mai sawagat hai...

BS JI, Jeet and Ranju ji... sadabahar kamal ka likhte hai app sab....

ek ek line is sari post mai kamal ki likhi hui hai:)
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #10 on: September 04, 2006, 06:12:55 PM »
Reply with quote
Pooja

Tumhare haathon mein mehndi lagi hai kya
jo tumse kuch nahi likha gaya  :evil:

Bhaiya  :D
Logged
Pooja
Guest
«Reply #11 on: September 04, 2006, 06:19:30 PM »
Reply with quote
Mehandi lagi nahi hai,
lagwane ka khawab hai
bindia saji nahi hai
sajane ka khawab hai

khawab hai, khayal ban kar mehak jaate hai
tanhaai mai, dil ko chehka jaate hai


lo ji koshish kar di... ajj ajeeb mood mai hu to socha na hi kuch likhu.....

ab apne shuru karwa diya to Rub khair kare Usual Smile
Logged
Pooja
Guest
«Reply #12 on: September 04, 2006, 06:30:53 PM »
Reply with quote
By Kikani:
Just a couple of lines for myself :

Tumne dushman hi dushman banaye hain
Humne zindagi mein sirf dost hi paye hain
Tum jitni aazmaa lo aapni taaqat-e-jaan
Khuda ke rehm-o-karam nein hamein bachaye hain

*

Kya milega tumhe kisi  aur ki kismet dubokar
Badi mashaqqat se usne ye maqaam paye hain

*

Kyun bante ho tum auron ke liye fitna-parast
Kab kisi aur nein humse zakhm paaye hain

*

Kya tumhe hai nahi kudrat ka khouf
Teri ibaadat nein kya koi maayne paaye hain

*

Apni begunaahi pe kabhi aata hai rona
Par karm-o-haya se nahi kabhi qadam dagmagaye hain

*******************

kaya likhu Kikani ji apki is poem ke liye... ek ek shabad appbiti lag raha hai....

magar yah khumar-e-Ishaq nahi hai....
ismain hai dard, khumar kahin nahi hai
dil ki shikayt-e-tadap, shabdo mai bayan ho gai
is shikayat ke baad sirf ek khamoshi rah gai
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #13 on: September 04, 2006, 06:32:02 PM »
Reply with quote
Quote from: "Pooja"
Mehandi lagi nahi hai,
lagwane ka khawab hai
bindia saji nahi hai
sajane ka khawab hai

khawab hai, khayal ban kar mehak jaate hai
tanhaai mai, dil ko chehka jaate hai


lo ji koshish kar di... ajj ajeeb mood mai hu to socha na hi kuch likhu.....

ab apne shuru karwa diya to Rub khair kare Usual Smile


Wah pooja ji bina mann ke bhi accha likh ke gayi ho

Woh Mehendi Saja ke haathon me.....
Tera Lakeeron se Chand bana ke dikhana......

Karna misaal Khubsurti ki kayam......
Aur Sharam se meri aur apna Dupatta girana....

Woh bulane ko mujhe.....
Nange Paanv khothe ki aur chale ana......

Angare se dehekti baalu par bhi.....
Tere haathon se Naam mera Sajana......!!!!!!!!!!

Used Some Words of Ghulam Ali...Not Completely Mine
Logged
Pooja
Guest
«Reply #14 on: September 04, 2006, 06:43:56 PM »
Reply with quote
dekh khali hatheli apni
rang tere payar ke bhar lati hu
dekh kar mang apni
tere khayalo se sitare bhar lati hu
dekh kar anchal apna
tumhre balo ko khayalo mai sahlati hu
jab bhi dekha khud ko sheeshe main
khud ko teri dulhan ke roop mai hi paati hu
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 02:25:25 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.101 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer