Wah wah wah Janab Brijinder Saheb! Kamaal ki takhleeq aur naadir fun ka namoona aapne yahan pesh kiya. Maza aaya ise paRhkar. Aisi khoobsurat takhleeq k liye hazaaron daad qubul kijiye.
(Waquif Ansari)
Kaisay hua yeh???
Ik waqt tha k mujhsay milnay ki umeed
baraa daiti thi teray dil ki darkan
Pighal jaati thi tum meri baahoN maiN aakar
Bun jaati thi bus mera unwaan-e-sukhan
Teri aankhoN maiN umar umar aataa tha pyaar
Meray liyay tha teray jism-o-jaaN ka saraa khumaar
meri furqat guzarti thi bun kay khizaaN
Meri aamad hoti thi teray liyay paigham-e-bahaar
Tum k jaisay thi shiddat-e-muhabbat ki saraapaa tasveer
K jaisay rati aur gaNga ki mil kar likhi huee tehreer
Kehti thi k maiN hooN tumhaari ziNdagi ka haasil
Kehti thi k maiN tumhaary khwaaboN ki taabeer
Aur sach kahuN k ab galay lagti ho kuch aisay
K jaisay ho faqt beetay dinoN ka lihaaz
Bataao k yeh hai mehaz meri nighaah ka feraiyb
Ya ki hai tark-e-muhabbat ka aghaaz?
KyuNki yeh diwaanaa tujhsay paihum israar karay
Sirf isliyay phir milnay ka tu qaraar karay
Aur main udaas na ho jaoN kahin
Bus isliyay tu ab mujhsay izhaar-e-pyaar karay
Badhawaas sa "Sagar" yeh tak rahaa
Ki kaisay Taa_luk takalluf maiN badal rahaa
-----------------------------------
Meanings:
Rati-Goddess of sex,Ganga-symbol of purity
-----------------------------------------------
कैसे हुआ यह
इक वक़्त था कि मुझसे मिलने की उम्मीद
बढ़ा देती थी तेरे दिल की धढ़कन
पिघल जाती थी तुम मेरी बाहों मैं आकर
बन जाती थी बस मेरा उन्वान-ए-सुख़न (title of poetry)
तेरी आँखों में उमढ़ उमढ़ आता था प्यार
मेरे लिये था तेरे जिस्म -ओ -जां का सारा ख़ुमार
मेरी फुरक़त गुज़रती थी तुम पर बन के खिज़ां (जुदाई)
मेरी आमद होती थी तेरे लिये पैग़ाम-ए -बहार (आना )
तुम कि जैसे थी शिद्दत-ए-मुहब्बत की सरापा तस्वीर (intensity of love)(from head to toe)
कि जैसे रति और गंगा की मिल कर लिखी तहरीर (Rati-Goddess of sex,Ganga-symbol of purity
कहती थी तुम कि मैं हूँ तुम्हारी ज़िन्दगी का हासिल
कहती थी कि मैं हूँ तुम्हारे ख़्वाबों की ताबीर
और सच कहूँ की अब गले लगती हो कुछ ऐसे
कि जैसे हो फक्त बीते दिनों का लिहाज़
बताओ कि यह है महज़ मेरी निगाह का फ़रेब
या कि है तर्क-ए-मुहब्बत का आगाज़?(end of love)(beginning)
क्यूंकि यह दीवाना तुझसे पैहम इसरार करे( (बारबार)(insist)
सिर्फ इसलिये फिर मिलने का तू क़रार करे
और मैं उदास न हो जाऊं कहीं
बस इसलिये तू अब मुझसे इज़हार-ए-प्यार करे
बदहवास सा "सागर " यह तक रहा
कि कैसे तआलुक तकल्लुफ में बदल रहा (relation)(formality)