Kaise Main So Jaau

by Pooja on February 15, 2008, 09:11:47 PM
Pages: 1 2 [3] 4 5
ReplyPrint
Author  (Read 5475 times)
Pooja
Guest
«Reply #30 on: March 10, 2008, 02:43:18 PM »
Reply with quote
bahoot bahoot shukria Majid ji!! bahoot hi simple shabdo mai bahoot pyarai kavita likhi hai apne!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Dard main kaise bheeg gaya by waheed_rose2004 in Shayri-E-Dard
::Kaise bhulaaun main tumhe????:: by nidhi_yadein in Shayri-E-Dard
Teri Main Ho Jaau by Pooja in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
honeyrose
Guest
«Reply #31 on: March 11, 2008, 02:55:43 PM »
Reply with quote
Pooja aur majid bohat acha likha hai
aapne..Usual Smile
Logged
Pooja
Guest
«Reply #32 on: March 11, 2008, 03:04:04 PM »
Reply with quote


Aksar In Hawaon Se Tera Jikar Karte Hai.
Humto Teri Yaad Se Bhi Shukar Karte Hai.

Machal Ne Lagti Hai Tamanna.e.Dil Aur Bhi
Jab Aap Humari Soch Se Guzar Karte Hai.

Chand Bhi Khud Ko Jalne Lagta Hai Us Waqt.
Jab Uske Aage Aapki Tareef Bayan Karte Hai

Is Hayat Main Tujhe Hi Pane Ki Khwaish Hai
Aksar Apni Duao Main Teri Hi Talab Karte Hai.

shukaria Honey!! Bilkul sahi kaha Majid ji ne to kamal kar rakha hai!! aise likh jaate hai ki mai jawab hi sochati rah jaati hu!!!

Hawaye chu chu kar tera haal sunati hai
Lipat kar mujhse, teri bahon ki yaad karati hai

Her ek Tamanna phir muchalti hai mere dil main
Teri her ek tamnna ka ahsaas karati hai

Chand ki chadini phail jaati hai mujh per is kadar
Tera mere sir per duptta ordna yaad karati hai

Band ankhon mai phir socha karu main sirf tujhko
Subah ki kiran hi phir hosh mai laati hai!!!
Logged
Roja
Guest
«Reply #33 on: March 12, 2008, 01:32:46 PM »
Reply with quote
Nice going Pooja di and Majid ji...  Applause
Logged
Pooja
Guest
«Reply #34 on: March 12, 2008, 04:16:46 PM »
Reply with quote
Thanks Majid and Roja!!! Thik hai Majid ji Hum intzaar kar rahe hai!!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #35 on: March 12, 2008, 05:01:09 PM »
Reply with quote


Aksar In Hawaon Se Tera Jikar Karte Hai.
Humto Teri Yaad Se Bhi Shukar Karte Hai.

Machal Ne Lagti Hai Tamanna.e.Dil Aur Bhi
Jab Aap Humari Soch Se Guzar Karte Hai.

Chand Bhi Khud Ko Jalne Lagta Hai Us Waqt.
Jab Uske Aage Aapki Tareef Bayan Karte Hai

Is Hayat Main Tujhe Hi Pane Ki Khwaish Hai
Aksar Apni Duao Main Teri Hi Talab Karte Hai.

shukaria Honey!! Bilkul sahi kaha Majid ji ne to kamal kar rakha hai!! aise likh jaate hai ki mai jawab hi sochati rah jaati hu!!!

Hawaye chu chu kar tera haal sunati hai
Lipat kar mujhse, teri bahon ki yaad karati hai

Her ek Tamanna phir muchalti hai mere dil main
Teri her ek tamnna ka ahsaas karati hai

Chand ki chadini phail jaati hai mujh per is kadar
Tera mere sir per duptta ordna yaad karati hai

Band ankhon mai phir socha karu main sirf tujhko
Subah ki kiran hi phir hosh mai laati hai!!!


BAHUT KHOOB POOJAJI..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #36 on: March 12, 2008, 05:04:12 PM »
Reply with quote
Shukaria Khwaish ji!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #37 on: March 13, 2008, 02:39:31 PM »
Reply with quote
wah kaya baat hai Majid ji... poem ka bilkul sahi jawab diya hai apne!! Bahoot khoob!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #38 on: March 14, 2008, 03:23:40 PM »
Reply with quote
dard ke mood mai hai ajj dil, phir bhi koshish karati hu... dard ki jhalak najar aa jaaye to maafi chahugi...

Lipat kar tere seene se her dard bhool jaati hu
kuch palo ke sakoon main, jahan bhool jaati hu

Hawa tujhko chu kar jo chu jaati hai mujhe
khayalo main bas ek teri hi chavi banati hu

her ek taraf dekhu tujhe hi main ab to
bin tere na jaane kaya soch, ghbara jaati hu

palko per nind liye bhi na so saku main
tere khayalo se her raat khud ko sulati hu
Logged
Pooja
Guest
«Reply #39 on: March 14, 2008, 03:37:20 PM »
Reply with quote
shukaria Majid ji!!!
Logged
syednaami
Guest
«Reply #40 on: May 03, 2008, 09:32:08 PM »
Reply with quote
Ab Jaagine Do

Har soch men teri tasveer hai pai, ab jaagine do, -
Khayalon men tujhe haqiqat jaana, ab jaagine do, -

Mann men yeh kaisi kasak uthhi, ab jaagine do, -
Angdai teri lena mera tadapna, ab jaagine do, -

Teri Muskaan se mile raahat, ab jaagine do, -
Chandini bhi tujhse sharmai, ab jaagine do, -

Tanman main agan kaisi lagai, ab jaagine do, -
Bahekte jazbaat ki khaamosh sachai, ab jaagine do, -
 
Har soch men teri tasveer hai pai, ab jaagine do, -
Khayalon men tujhe haqiqat jaana, ab jaagine do, -



(Syed Naami)

-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-
Thoda likha qabool ho.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #41 on: May 05, 2008, 01:10:29 PM »
Reply with quote
bahoot khoob Sami ji!! Bahoot hi acha likha hai apne.. jalad he jawab likhne ki koshish hogi!!
Logged
Roja
Guest
«Reply #42 on: May 05, 2008, 01:14:22 PM »
Reply with quote
shukaria Honey!! Bilkul sahi kaha Majid ji ne to kamal kar rakha hai!! aise likh jaate hai ki mai jawab hi sochati rah jaati hu!!!

Hawaye chu chu kar tera haal sunati hai
Lipat kar mujhse, teri bahon ki yaad karati hai

Her ek Tamanna phir muchalti hai mere dil main
Teri her ek tamnna ka ahsaas karati hai

Chand ki chadini phail jaati hai mujh per is kadar
Tera mere sir per duptta ordna yaad karati hai

Band ankhon mai phir socha karu main sirf tujhko
Subah ki kiran hi phir hosh mai laati hai!!!



Jab Bhi Ye Hawaa Aapka Paigaam Lati Hai
Kya Kahe Ye Dil.e.Kihaan Mehek Sa Jata Hai.

Raat Bhr Yun Hi Baithe Rehte Hai Teri Soch Main
Na Jaane Kab Subah Ka Shamsh Nikal Aata Hai.

Aksar Ho Jaati Hai Dil Ki Dhadkane Tez Aur Bhi
Jab Kabhi Aapka Chehra.e.Noor Yaada Aata Hai.

Ye Aapki Chahat Ka Asar Hai Ya Mera Pagalpan.!
Koi Aashiq To Koi Hume Deewana Bulaata Hai.


Kihaan..Jahaan. Duniya.
Shamsh..Suraj. Aaftab.

Wah wah lajawaab Majid ji..
Logged
syednaami
Guest
«Reply #43 on: May 05, 2008, 01:39:10 PM »
Reply with quote
Thanks so much Pooja Saahiba, Roja Ma'am aap ka bhi tah-e-dil se mashkoor hun.

Logged
Pooja
Guest
«Reply #44 on: May 05, 2008, 01:40:21 PM »
Reply with quote
Nindein humari chura kar, khud ko jagana chahte ho
Kis nirdayta se, humare armaano ko satana chahte ho

Kasak teri hi ban jaati hai meri angdaia,
angdaio main sansein bhi chuarana chahte ho
E-sanam, kyun humko itna tadpana chahte ho

Her ghadi, har pal, ek tu he tu najar ayye
Kyun humare chitwan ko itna bhatkaana chahhte ho
Kis liye, nindein chura kar, humko behakana chahte ho

Nindein humari chura kar, khud ko jagana chahte ho
Kis nirdayta se, humare armaano ko satana chahte ho
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 08:22:08 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.1 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer