.'.'.'.'.Kaisi hai yeh jawani.'.'.'.'.

by Saba_Saba on July 31, 2005, 08:32:12 AM
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 5012 times)
BeNam
Guest
«Reply #15 on: September 24, 2005, 01:28:36 AM »
Reply with quote
---- Wah wah wah wah ustad maar hi dalogi------------

Husn ka ishq per jadu chalana, Muqtasar si baat hai,
Bande ka tujh  per marana, mahobaat ki baat hai,
Madhoshi hai tere pyaar ki, Gunah maine nahi kiya,
yeh toh kamzori hai dil ki ke Tujhase pyaar kiya !


--- BENAM -------
Banda majboor hai mahobaat main teri,
Warna jhukana nahi fidarat main meri!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Jawani..ka badal! by Deewana29 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Husn-o-jawani by Amit Janglan in Shayri for Khumar -e- Ishq
Aai jawani ... by NewYorker in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 3  All »
jawani ko.... by thelostworld in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
BE- RAHAM JAWANI by poem143s in Shayri for Khumar -e- Ishq
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #16 on: September 24, 2005, 12:06:11 PM »
Reply with quote
Wah Pooja .... BeNam

keep it up

Kaisa yaha jaadu chala hai
Kya kisi ne kuchh kaha hai
Lab rahe khamosh dono ke bhi
Lekin aankho sab keh diya hai
Logged
BeNam
Guest
«Reply #17 on: September 24, 2005, 08:55:53 PM »
Reply with quote
----Saba_saba thanks for appreciation ------

Mahobaat ki her ada nirali hai,
Husn hai gul yahan aur deewana her mali hai,
Na jane jo isey uski khak javani hai,
Ishq karane wale her dil ki koi kahani hai,
kar deta hai woh haal dil ka, ke bin piye hi jhoomate hai,
Yeh hai woh jazba, jise pane ko farishtey bhi taraste hai!

--- BENAM -------
Banda majboor hai mahobaat main teri,
Warna jhukana nahi fidarat main meri!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #18 on: September 25, 2005, 08:57:33 AM »
Reply with quote
bahoot bahoot shukariyan Saba and BeNam!!!

apne bahoot hi achy jawab likhy hai!!! bahoot hachi line likhi apne "Husn hai gul yahan aur deewana her mali hai"

Her ada husan ne paai Ishaq se hai
Her ada husan ki Uthai Ishaq ne hai
Ishaq bin Husan ka husan kuch nahi
Bin tere E meet mere, mera geet kuch nahi!!!
Logged
BeNam
Guest
«Reply #19 on: September 26, 2005, 01:11:00 AM »
Reply with quote
--- bahot achhe Pooja ----

Suno unhone kaha mujhe meet hai,
Sunkar yeh zindagi main ghula sangeet hai,
Unki zinda dili ne badhai himmat hai,
Aaj lagata hai ke unhe bhi hamase mahobaat hai!

--- BENAM -------
Banda majboor hai mahobaat main teri,
Warna jhukana nahi fidarat main meri!
Logged
TERA_ASHIK
Guest
«Reply #20 on: September 26, 2005, 06:21:12 AM »
Reply with quote
tu mera  ek chota  sa  kam  kaar  de
tu  apni  yeh  jawani mere  naam  kar de
ek  baar mere  aagosh  me  aa  jaa
aur  apni sarri  taklifo ko  bhool  jaa
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #21 on: September 26, 2005, 05:08:40 PM »
Reply with quote
Pooja n BeNam gr888888888888


Is hausla afzayi ka shukriya
lagta hai unhone dil hume diya
Karne lagi sargoshiya hawa
jalne laga hai dil me unki chahat ka diya
Logged
Pooja
Guest
«Reply #22 on: September 26, 2005, 05:25:51 PM »
Reply with quote
wah bahoot khoon BeNam, TA and Saba!!!

Unka diya ab kabhi bujane na paye
Jo lagi hai dil mai, ab jaan ke sath hi jaye
kar di umar ab tere naam maine sanjana
ab iske aggy, shabdo ka sath diya nahi jai!!!
Logged
BeNam
Guest
«Reply #23 on: September 26, 2005, 06:39:55 PM »
Reply with quote
----Bahot khub Saba You are excellent ----
--- Poojaji toh hamesha se hi achha lekhati hain ---

Dekho toh tum kahete ho humey sajana,
Muskil nahi namumkin hai tumhe samajhana,
Jaan lu kaise badalati hai her ada teri,
Mang lu dua main jo khuda kare yeh murad puri!

--- BENAM -------
Banda majboor hai mahobaat main teri,
Warna jhukana nahi fidarat main meri!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #24 on: September 26, 2005, 07:12:27 PM »
Reply with quote
wah bahoot khoob BeNam ji!!!

Apki shayari hi,meri shayri mai nikhar llai hai
jo samjh sake Husan ko, wo najar abhi Ishaq ne nahi paai hai
mang ne se pahle, jara husan ko to samjho
jaane bina hakikat ko, na tum aise tarpo!!!
Logged
BeNam
Guest
«Reply #25 on: September 26, 2005, 07:46:10 PM »
Reply with quote
----
Hum toh husn ki adao per merana janate hai abhi,
Her ada main hai bhed kain, yeh toh janate hai sabhi!

Husn ki adaon ko samajhana hamare bus ki baat nahi,
Khuda jo nahi kar paye, wahan hamari aukat nahi!

Pal main khafa toh pal main masha hota hai husn,
Inhi Ada se kabhi dil toh kabhi jaan bhi leta hai husn!

--- BENAM -------
Banda majboor hai mahobaat main teri,
Warna jhukana nahi fidarat main meri!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #26 on: September 26, 2005, 09:38:45 PM »
Reply with quote
wo husan kaya, jo Ishaq se naaj na uthwaye
wo husan kaya, Jo ishaq ko sanmbhal na paye!!!

Khuda ko Ishaq aor Husan mai kayun laaty ho
apni chahto se pucho, khud kaya chahty ho

Pal mai jo hans de pal mai jo ro dety hai!!
aise log barre saaf dil wale hoty hai!!!!
Logged
BeNam
Guest
«Reply #27 on: September 27, 2005, 02:40:44 PM »
Reply with quote
--- Thanks Poojaji ----

Husn ki rahem ke talabgar hai hum,
Kiya tha tung is liye gunehgar hai hum,
kyun khafa nahi woh sochate hai hum,
Shayad kal ki gusatakhi thi hi kuchh kum!

Husn hi meherban hua jata hai kyun,
Meri nadaniyon ko maaf karata hai kyun,

Unhe bhi shayad hai mahobaat dilon jaan se ab toh,
Warna Nazara kuch aur hi hota ab toh,
Kal ki gustakhiyon ka sila mangate jo woh,
Mana rahe hote ruthe rab ko hum toh!

--- BENAM -------
Banda majboor hai mahobaat main teri,
Warna jhukana nahi fidarat main meri!
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #28 on: September 27, 2005, 04:54:41 PM »
Reply with quote
Shukriya BeNam Ji & Pooja Ji

U both r superb .... tongue3 tongue3

Yeh silsila kaha se kaha jaata hai
Har ek lamha faasla mita jaata hai
Husn aur ishq ki takrar hai jo abad se
Husn aur ishq ko ek saath le aata hai



........ cool yaar very impressed .........
Logged
BeNam
Guest
«Reply #29 on: September 27, 2005, 04:57:11 PM »
Reply with quote
--- Hey Saba you are cool!!!!!

Silsiley yunhi chalate rahe dua hai rab se,
Lekin Hum na rahenge mehfil main kal se!

--- BENAM -------
Banda majboor hai mahobaat main teri,
Warna jhukana nahi fidarat main meri!
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 26, 2025, 07:44:51 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.136 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer