KAISY BATAON MAIN TUMHAIN , MERY LIYH TUM KON HO

by SADIQA JAWED on October 31, 2004, 05:34:13 PM
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 8
ReplyPrint
Author  (Read 10363 times)
SADIQA JAWED
Guest
Reply with quote
“Kaisey Bataoon Main Tumhain
   Merey Liyeh Tum Koon Ho.!!!“
*Tum dharkano ka geet ho
*Jeaven ka tum sunget ho
*Tum zindagi tum bandagi
*Tum roshani tum tazgei
*Tum her khushi tum pyar ho
*Tum preet ho mun meet ho
*Ankho main tum
*Yadoon main tum
*Sansoon man tum
*Aanhoo main tum
*Neendoon main tum
*Khuwaboon main tum
*Tum ho meri her bat main
*Tum ho mere din rat main
*Tum soch main tum kam main
*Tum subha main tum sham main
*Merey leye pana bhi tum
*Mery liyh khoona bhi tum
*Mery liyh hansna bhi tum
*Mery liyh rona bhi tum
*Aur jagna, sona bhi tum
*Jaoon kaheen dekhoon to
*Tum ho wahaan , tum ho wahaan
Kaisey Bataoon Main Tumhain!!!
*Tum bin to main kuch bhi naheen
*Kaisey bataon main tumhey
*Halat diley beytab ki
Kaisey bataoon!!!
*Tumhi to chahat ho meri
*Tumhi mera arman ho
*Taakti hoon main har pal jisey
*Tumhi to wo tasveer ho
*Tumhi meri taqdeer ho
*Tumhi sitara ho mera
*Tumhi nazara ho mera
*Yoon dhiyaan main mery ho tum
*Jaisey mujhey gherey ho tum
*Sarey mery jevan main tum
*Her pal main tum, har cheez main tum
*Mery liyh rasta bhi tum
*Mery liyh manzil bhi tum
*Mery liyh sagar bhi tum
*Mery liyh sahil bhi tum
*Main dekhti bas tum ko hon
*Main sochti bas tum ko hon
*Main janti bas tum ko hon
*Main manti bas tum ko hon   
   Kaisey baton main tumhain!!!
   Mery liyh tum kaun ho…
-------------------------------------------------------
Logged
bazish
Guest
«Reply #1 on: October 31, 2004, 05:51:52 PM »
Reply with quote
Teri Qasam Humko Teri Yadain Jo Aati Hai
Hamain Har Pal Satati Hai
Abh To Nahi Lagta Hamara Dil Tumhare Bin
Abh Har Dharkhan Rulati Hai

Tumhara Sath Agar Milta Humara Dil Na U Jalta
Ke Jal K Hum Ne Rato Main Tarap Kar Beqarari Main
Guzare Hai Woh Kitne Pal Woh Yado Main

Teri Qasam Humko Teri Yadain Jo Aati Hai
Hamain Har Pal Satati Hai

Raho Tum Khush Jidhar Bhi Ho Humara Haal Mat Pocho
Hamari Yea Dua Hai
Tumhari Jo Bhi Rahe Hai Tumhain Le Jae Gulshan Main Baharo Main

Teri Qasam Humko Teri Yadain Jo Aati Hai
Hamain Har Pal Satati Hai

Qiamat Dil Pe U Guzari Bhulae Hum Bhala Kaise
Dhuwa Uthta Hai Dil Se U Lagi Thi Yea Aag Kaise
Wohi Sapne Wohi Yadain Wohi Beeti Hoi Batain

Jab Aati Hai Humain Har Pal Jalati Hai

Teri Qasam Humko Teri Yadain Jo Aati Hai
Hamain Har Pal Satati Hai
Abh To Nahi Lagta Hamara Dil Tumhare Bin
Abh Har Dharkhan Rulati Hai
Logged
Neelam
Guest
«Reply #2 on: November 01, 2004, 06:03:27 AM »
Reply with quote
Good work Sadiqa and nice one Bazish........
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #3 on: November 01, 2004, 06:41:46 AM »
Reply with quote
VERY GOOD BAZISH...!!!!
Logged
mudassirali
Guest
«Reply #4 on: November 01, 2004, 07:02:27 AM »
Reply with quote
nice sadiqa , good poem from nana patekar madhuri starrer film.
Logged
mudassirali
Guest
«Reply #5 on: November 01, 2004, 07:07:35 AM »
Reply with quote
meri saasson mein mein tum
meri rahoon mein tum
par kya karoon yeh key mein jaanta hoon
meri kismat mein nahin ho tum
Logged
bazish
Guest
«Reply #6 on: November 01, 2004, 08:12:30 AM »
Reply with quote
Raat Ki Tanhai Aur Meri Soch Thi
Chehra Tera Samne Tha Aur Meri Soch Thi
To Nahi To Kuch Nahi Kis Qadar Tanha Ho Main
Samne Tasvir Teri Aur Meri Soch Thi
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #7 on: November 01, 2004, 10:45:29 AM »
Reply with quote
thnkx. mudasir ,but i got this poem from a card , so i dont know about any filims shairi...

WELL GOOD ONE MUDASIR N BAZISH.......
Logged
mudassirali
Guest
«Reply #8 on: November 03, 2004, 07:32:48 AM »
Reply with quote
wel come sadiqa and also thanks for compliment.

kehtey hain key har mod par mil jayeingey hamdard
shayad  meri  basti  mein  adakar  bohot  hain
Logged
bazish
Guest
«Reply #9 on: November 03, 2004, 06:30:43 PM »
Reply with quote
Hai ikhtiyaar mein tere to mojazaa kar de
Vo shakhs meraa nahiin hai use meraa kar de

Ye ret_zaar kahiin Khatm hii nahiin hotaa
Zaraa sii duur to rastaa haraa bharaa kar de

Main us ke zaur ko dekhuun vo meraa sabr-o-sukuun
Mujhe charaag banaa de use havaa kar de

Akelii shaam bahut jii udaas karatii hai
Kisii ko bhej ko_ii meraa ham_navaa kar de
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #10 on: November 10, 2004, 10:04:34 AM »
Reply with quote
Hai ikhtiyaar mein tere to mojazaa kar de
Vo shakhs meraa nahiin hai use meraa kar de

GR8 WRITTEN BAZISH...!!!
Logged
nishita
Guest
«Reply #11 on: November 10, 2004, 10:06:04 AM »
Reply with quote
waah all
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #12 on: November 10, 2004, 10:20:43 AM »
Reply with quote
KABAY JISM K HAR TAR SY GUZARTA HUA
KIRAN KA PYAR MUJHY AFTAB KARDY DA
JUNOON PASAND HAI DIL OR TUJH TAK ANY MAIN
BADAN KO NAOO,LAHOO KO CHANAB KARDYGA
MAIN SACH KAHONGI PHIR BHI HAR JAONGI
WO JHOTE BOLY GA AWR LAJWAB KARDY GA
Logged
Nedura!
Guest
«Reply #13 on: November 10, 2004, 10:27:41 AM »
Reply with quote
hmmmm this ones a song....

meri kahani mera kissa ho tum
meri kahani mera kissa ho tum
tumhe kaise bhula sakta hoon
kaise dil se mitaa saktaa hoon
meri saanson kaaaaaa hisaaa ho tummm!
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #14 on: November 10, 2004, 03:57:10 PM »
Reply with quote
WELL ITS GOOD NEDURA!!!
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 8
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 08:04:40 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.135 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer