KAISY BATAON MAIN TUMHAIN , MERY LIYH TUM KON HO

by SADIQA JAWED on October 31, 2004, 05:34:13 PM
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8
ReplyPrint
Author  (Read 10433 times)
waheed_rose2004
Guest
«Reply #45 on: November 26, 2004, 05:13:42 AM »
Reply with quote
very nice lovebites.....
Logged
lovebites
Guest
«Reply #46 on: November 27, 2004, 07:52:34 AM »
Reply with quote
Rait par likh ke mera naam mitaya na karo
aankhen sach bolti hain, pyaar chupaya na karo
log har baat ka afsana bana lete hain
sab ko haalaat ki rudaad sunaya na karo
ye zaroori nahin har shakhs masiha hi ho
pyaar ke zakhm amaanat hain dikhaya na karo
shahar-e-ehsaas mein pattharaav bahut hain "Mohsin"
dil ko shiishe ke jharonkhon mein sajaaya na karo
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #47 on: November 29, 2004, 02:39:43 PM »
Reply with quote
VERY GOOD LOVEBITES....TOO GOOD
Logged
lovebites
Guest
«Reply #48 on: November 29, 2004, 02:46:11 PM »
Reply with quote
Quote from: "SADIQA JAWED"
VERY GOOD LOVEBITES....TOO GOOD


HuMm~! thanks a lot..............!
Logged
immi
Guest
«Reply #49 on: November 29, 2004, 02:53:59 PM »
Reply with quote
2 good Lovebites ....
Logged
lovebites
Guest
«Reply #50 on: November 29, 2004, 03:14:42 PM »
Reply with quote
Quote from: "immi"
2 good Lovebites ....

thanks...............! alot
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #51 on: November 29, 2004, 03:33:13 PM »
Reply with quote
Hum say milnay toh aaaye sahib ya humain hi bulayee sahib
Dost hi kya sada rahay gain hum Baat kuch toh barhayee sahib
Ho gya jo likha tha kismat main Phir ku aansooo bahayeee sahib
Pass aaa jaye Khuda kay liye Dil nahi ab jalayeee sahib
Ku hain khamoosh is qadar Akhir kuch toh hum ko batayee sahib
Khauf aata hai is andharay say Haath apna barhayee sahib
Ali bewafa hain log yahan Kya bhala dil lagayee sahib.
Logged
lovebites
Guest
«Reply #52 on: November 29, 2004, 03:35:55 PM »
Reply with quote
Quote from: "SADIQA JAWED"
Hum say milnay toh aaaye sahib ya humain hi bulayee sahib Dost hi kya sada rahay gain hum Baat kuch toh barhayee sahib Ho gya jo likha tha kismat main Phir ku aansooo bahayeee sahib Pass aaa jaye Khuda kay liye Dil nahi ab jalayeee sahib Ku hain khamoosh is qadar Akhir kuch toh hum ko batayee sahib Khoof aata hia is andharay say Haath apna barhayee sahib Ali bewafa hain loog yahan Kya bhala dil lagayee sahib

Bohat khoob.........!

Ik aisi bhi gharri ishq mein aaee thi ke hum
Khaak ko haath lagaatey tu sitaara kartey
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #53 on: November 29, 2004, 03:41:03 PM »
Reply with quote
THNKX LOVEBITES...

N KHAK KO HATH LAGATY TO SITARA KARTY...(TOO GOOD)

MAINAI KYUNPYAR KIAAAAA

mainai kyun pyar kiaaaaaaaaaa
apna dil budnaam kiaaaaaaaa
ankhoon mai mere kaisa ka chehra raha
kyun dil ki dhadkhan nai bhi yeh hi shor majaya
kai tou mera hai kai tou mera hai
koi batahai mainai kyun pyar kiaaaaaaa
yeh dil budnaam kiaaaaaaaaaaaa


tou mujhe nahi chahta
phir kyun dil tujhe ko hai chahta hai
kyun ratoon ko dil jagnai laga hai ankhoon mai aansoo kyun rehnai lagai hai
aakhir kyun
mainai kyun pyar kiyaaaaaaaaaa
apna dil budnaam kiaaaaaaaaaa


ab mera dil mere paas nahi hai
ab merei sapnai sirf tujh sai hi hai
ab meri yadoon mai sirf tou hi hai
ab meri zindagii ki khush teri khushi mai
tou mujh ko nahi chahtha
phir kyun mera dil tujh ko hai chahta
mainai kyun pyar kiyaaaaaaaaaa
yeh dil budnaam kiaaaaaaaaaa

mai tere bina zinda hoon
tou mujhe chor kar apna duniya mai khush hai
hamesha souchtii thi kai tou nai aghar mujhe chor diaaaa tou mar maarjaoooooon gi
magar jub tou mujhe tanha chor kar chala gaya
phir mujhe maloom huwa tou nai tou mujhe kabhi chaha hi na tha
nmainai kyun pyar kiaaaaaaaaa yeh dil budnaam kiaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa
Logged
lovebites
Guest
«Reply #54 on: November 29, 2004, 03:47:31 PM »
Reply with quote
bohat zaberdat  waooooooooo.......!
[thanks and ur welcome]

kabhi kabhi to wo itna khayal rekhta hai
zera zera si tamanna sambhl rekhta hai

yehi to baat hai us smein k ranjishoan mein bhi
sukhoan ka sukh to dukhon ka mala rekhta hai
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #55 on: November 29, 2004, 04:01:07 PM »
Reply with quote
THNK N WOW....KABHI KABHI (TOO GOOD)
-----
Chahnay Ki khata.....

bar bar nahi karti ,
main lafzon mai kuch bhi izhar nahi karti ,
iska matlab ye nahi k main tujhe piyar nahi karti
chahti hoon main tujhe aaj bhi per
teri soch mei apna waqt bekar nahi karti
tamaasha naa ban jaaye kahi mohabbat meri
isi liye apne dard ko namoodaar nahi karti
jo kuch mila hai usi mei khush hoon main
tere liye khuda se takraar kartai hoon mai
per kuch tou baat hai teri fitrat mein zalim
warna Mein tujhe chahne ki khataa bar bar nahi karti.....
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #56 on: November 29, 2004, 04:02:22 PM »
Reply with quote
Lafzoon ki kahani hay
Bas yahi zindagani hay
Kabhi ghum kay katahray main
Kabhi khusyoon kay dayray main
Humain bas muskurana hay
Abhi tu muskurana hay

Zindagi ki rahoon main
Rahiyoon kay milnay say
Phir bicharnay kay dar say
Abhi dil ko bahlana hay
Humain bas muskurana hay
Abhi tu muskurana hay

Guzray howe lamhoon ki
Yadoon ko bholana hay
Abhi tu ashkoon ko
Ankhoon main chupana hay
Humain bas muskurana hay
Abhi tu muskurana hay
Logged
lovebites
Guest
«Reply #57 on: November 29, 2004, 04:05:22 PM »
Reply with quote
waoooo bohat khoob and thanks Sadiqa.........J.........!

Un ke Zulphein un ka chahra hata sakta nahin
Dil ke betabi kisee sorat chupa sakta nahin
Kitnee dilkash hein mohabbat ke jawan majboorian
Samnay manzil hay aor paaon barha sakta nahin !!
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #58 on: November 30, 2004, 07:44:12 AM »
Reply with quote
THNK U N KHOOL WRITTEN LOVEBITES...

"Mujhay bas itna kehna hai Kabhi main yaad aaoon to Kabhi tanhai ki raatain Tumhain ziada sataein to Kabhi titli na bolay to Aur jugnoo lout jaye to Kabhi jab dil bhi bhar jaye Koi jab sunn na paye to Agar sab dost sathi bhi Jo tum se rooth jaaein to Kabhi jab khud se lar lar kar Thakan se choor ho jao Kabhi chahtay huay bhi khud akelay Ro na paao to Apni aankhon ko band karna Mujhay aawaz de dena Aur phir meray tasawwur se Jo chaho batain keh dena Meray kaandhay pe sir rakh kar Tum jitna chaho ro lena Phir khud main jab loat jao to Us he duniya chalay jana Magar bas itna kehna hai Ke jab bhi dukh ya khushiyon main Hamain dil se pukaro gay Hamain tum saath pao gay.......
Logged
lovebites
Guest
«Reply #59 on: December 01, 2004, 05:03:17 AM »
Reply with quote
Thanks........!Sadiqa-J

woh kesi pagal larki thee
khawabon main khoi rehti thee
jab koi ussay samjhata tha
woh hans kar tala karti thee
phir aik din baithay baithay hi
nah janay kion woh ronay lagi
ashkon ki aisi jhari lagi
woh tinka tinka behti rahi
janay kis ke gumaan main thee
janay kis armaan main thee
woh kesi pagal larki thee
woh aatay jatay chehron ko
chup reh kar takti raston ko
jheel si gehri aankhon main
bheegi bheegi palkon main
toofan chupaaye rehti thee
gham saray khud hi sehti thee
woh kesi pagal larki thee
ham nai bhi socha ik baar
poochain uss ka haal-e-zaar
kon hai woh aadam bezar
jis say karti hai woh pyar
lekin ham to haar gaye
khali saray war gaye
ik din sheesha choor huwa
sans ka punchi door huwa
jo pathhar say takrati thee
woh kesi pagal larki thee
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 07:56:29 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.121 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer