KAISY BATAON MAIN TUMHAIN , MERY LIYH TUM KON HO

by SADIQA JAWED on October 31, 2004, 05:34:13 PM
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7 8
ReplyPrint
Author  (Read 10506 times)
waheed_rose2004
Guest
«Reply #60 on: December 01, 2004, 05:14:50 AM »
Reply with quote
Quote from: "SADIQA JAWED"
Hum say milnay toh aaaye sahib ya humain hi bulayee sahib
Dost hi kya sada rahay gain hum Baat kuch toh barhayee sahib
Ho gya jo likha tha kismat main Phir ku aansooo bahayeee sahib
Pass aaa jaye Khuda kay liye Dil nahi ab jalayeee sahib
Ku hain khamoosh is qadar Akhir kuch toh hum ko batayee sahib
Khauf aata hai is andharay say Haath apna barhayee sahib
Ali bewafa hain log yahan Kya bhala dil lagayee sahib.



very nice sadiqa jawed.....and lovebites..........  sadiqa ji maine is ghazal ko edit kar diya ab kuch jyada acchi lag rahi hai...aap apni ghazlon ko aise hi likha karen.....har ek line alag alag rahe to padhne mein easy rahta hai..........
Logged
lovebites
Guest
«Reply #61 on: December 01, 2004, 06:29:30 AM »
Reply with quote
Quote from: "waheed_rose2004"
Quote from: "SADIQA JAWED"
Hum say milnay toh aaaye sahib ya humain hi bulayee sahib
Dost hi kya sada rahay gain hum Baat kuch toh barhayee sahib
Ho gya jo likha tha kismat main Phir ku aansooo bahayeee sahib
Pass aaa jaye Khuda kay liye Dil nahi ab jalayeee sahib
Ku hain khamoosh is qadar Akhir kuch toh hum ko batayee sahib
Khauf aata hai is andharay say Haath apna barhayee sahib
Ali bewafa hain log yahan Kya bhala dil lagayee sahib.



very nice sadiqa jawed.....and lovebites..........  sadiqa ji maine is ghazal ko edit kar diya ab kuch jyada acchi lag rahi hai...aap apni ghazlon ko aise hi likha karen.....har ek line alag alag rahe to padhne mein easy rahta hai..........


yo........thanks waheed...........!


Naa janay konsi rut main bichar gaiy woh Log
Jo apnay dil main bahut ehtram rakhtay thay
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #62 on: December 02, 2004, 07:19:57 AM »
Reply with quote
HMMMMM THNKX WAHEED... THNKX FOR EDITING MY GHAZAL Usual Smile
SO NICE OF U Usual Smile

N ALSO THNKX FOR GOOD SUGESTION....

Jahan par dar bnana ho wahan diwar karty hain
Hum Ahl-e-dil mohabat ko bohat dushwar karty hain
Musalsal khamshi yun bhi to hum ko mardaly gi
To phir khuf kaisa hai chalo inkar karty hain
Tumhain ab kia batain us jan ka limss kaisa tha
Hamary hont jalty hain agar izhar karty hain
Sadii Ahl-e-mohabat ka yahi anjam hota hai
Unhain diwar main chunty hain ya sangsar karty hain
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #63 on: December 02, 2004, 01:50:48 PM »
Reply with quote
very nice lovebites   &  sadiqa javed...............
Logged
lovebites
Guest
«Reply #64 on: December 02, 2004, 02:09:59 PM »
Reply with quote
Quote from: "waheed_rose2004"
very nice lovebites   &  sadiqa javed...............
Thanks a lot............!

Safena dil akela he chala jaoon ga,
Na pohanch saka gaht tak tu mukura k doob jaoon ga,
mujhe pukar lo abhi waqat hai,
chala giya tu loat ke na aoon ga.
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #65 on: December 02, 2004, 02:22:22 PM »
Reply with quote
THNKX WAHEED BHUY.... Usual Smile
==
Bezuban lafzoon ko zuban na do

Jatey huey logoon ko sada na do

Jo na mil sakey us ka gila na kero

Jo mil hai us ko bekhbari main gunwa na do

Geeli rutain ,nasheeli ghatain ,sahir ankeen
dey ker

Sheher-e-hawadis ko andheeri shab ka tofha na do

Adhoorey chand ki jadoogari main kho ker
Mausmoon ko shairi na do

Kachey gharey ki peet main doobney wali koi aur thi

Tum apni palkoon ko bheegney na do
Logged
lovebites
Guest
«Reply #66 on: December 02, 2004, 06:57:18 PM »
Reply with quote
------------!*Itni jaldi badeltey naihi*!----------------


Merri Mohabbat say tu kuch doost bhi jal jatay hain
Dushmanoo say bhi kuch agay hi, nikal jatay hain


Ghaer tu Ghaer hain,Ghaeroon say Gilla kia kerna
Kia kahien Unn ko jo teeer apnoo say chal jatay hain


Aasteenoo ko bacha kar tu buhat rakhtay hain
Phir bhi kuch saanp jo Anjanay main pal jatay hain


Aap iss Shakhs ko Pathar bhi nahi keh saktay
Garri_e_Ishq say pathar bhi pighal jatay hain


Apnay haathoon main liey phirti hay Dunia SooRAJ
Ik hum hain kay CharraGhoon say Behal jatay hain


Itni jaldi tu badaltay nahi Mossam bhi Zahra
Jitni teezi say Yahaan Loog baddal jatay hain
Logged
bazish
Guest
«Reply #67 on: December 02, 2004, 08:12:33 PM »
Reply with quote
Har shammaa bujhii raftaa raftaa har Khvaab lutaa dhiire dhiire
Shiishaa na sahii patthar bhii na thaa dil Tuut gayaa dhiire dhiire

Barason mein maraasim banate hain lamhon mein bhalaa kyaa Tuutenge
Tuu mujh se bichhadanaa chaahe to diivaar uthaa dhiire dhiire

Ehasaas huaa barbaadii kaa jab saare ghar mein dhuul udii
Aaii hai hamaare aangan mein patajhar kii havaa dhiire dhiire

Dil kaise jalaa kis vaqt jalaa ham ko bhii pataa aakhir mein chalaa
Phailaa hai dhuaan chup ke chup ke sulagii hai chitaa dhiire dhiire

Vo haath paraaye ho bhii gaye ab duur kaa rishtaa hai 'Qaiser'
Aatii hai merii tanhaaii mein Khushbuu-e-hinaa dhiire dhiire
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #68 on: December 03, 2004, 07:02:36 AM »
Reply with quote
wah!!!!  sadiqa..........lovebites...........bazish....... ....
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #69 on: December 03, 2004, 07:14:24 AM »
Reply with quote
GOOD ONE BAZISH JEE....

THNKX WAHEED....

shaayad ye waqt humse koi chaal chal gayaa
rishta wafa ka aur hi rangon me dhal gayaa
ashko ki chandni se behtar woh suraj hai
jo duniya ko roshan karne ke liye jalta chala gaya
Logged
Nedura!
Guest
«Reply #70 on: December 03, 2004, 07:49:53 AM »
Reply with quote
nice one sadiqa i read it somewhere else too!!!
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #71 on: December 03, 2004, 11:18:04 AM »
Reply with quote
THNKX NEDURA... Usual Smile
Logged
lovebites
Guest
«Reply #72 on: December 03, 2004, 01:28:17 PM »
Reply with quote
mein bhoole jaoon tummhein ab munasib hai
mein bhoole jaoon tummhein ab munasib hai
mager bhulana bhee chahoon you kis taraah bhooloon
kay tum tou phir bhee haqeeqat ho koee khwab naheen
yahaan dil ka yeh alam hai kya kahoon (kambakht)
bhula saka na yeh woh silsila jo tha hee naheen
woh ik khayal jou awaz tak gaya hee naheen
woh aik baat jo mein keh naheen saka yum se
woh ik rabt jo hummein kabhee raha hee naheen
mujhey hai yaad woh sab jou kabhe hua hee naheen
ager yeh hal hai dil kaa tou koee samjhaye
ager yeh hal hai dil kaa tou koee samjhaye
tummhein bhulana bhee chahoon tou kis taraah bhoolon
kay tum tou phir bhee haqeeqat ho koee khawab naheen
kay tum tou phir bhee haqeeqat ho koee khwab naheen...
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #73 on: December 04, 2004, 06:24:37 AM »
Reply with quote
Quote from: "SADIQA JAWED"
GOOD ONE BAZISH JEE....

THNKX WAHEED....

shaayad ye waqt humse koi chaal chal gayaa
rishta wafa ka aur hi rangon me dhal gayaa
ashko ki chandni se behtar woh suraj hai
jo duniya ko roshan karne ke liye jalta chala gaya


very nice sadiqa  excellent...........too good lovebites.............

Aaj Woh Mujhse Bechad Kar Door Chala Gaya
Meri Tanhai Ka Alam Wasee Kar Gaya
Jaane Waale Ne Yeh Bhi Na Poocha
Bolo Abb Tum Jeeyoge Kaise................................
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #74 on: December 04, 2004, 10:21:38 AM »
Reply with quote
THNKX WAHEED.......... :D
N GOOD ONE....U WROTE

ankoon main jo sapnay hain inhain sajaoon ga main
aik din tujh ko apna banaoon ga main

dil ki dharkan say awaz day kar
taray dil main utar jaoon ga main

har mosam bahar ban jayee
geet aysa gungunaoon ga main

tray ghamoon ko bhulanay kay liyee
apni khushhiyaan bach aaoon ga main

teri in num ankoon ki qasam
in main kabhee ansoo na laoon ga main

bus yehi kahta hoon ab sahil
tujh ko bhool kay ji na paoon ga main
Logged
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7 8
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 08:36:26 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.171 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer