kam a saki na upni vafayein to kya karein

by chiraaaaaaaaag on May 28, 2005, 06:14:37 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 949 times)
chiraaaaaaaaag
Guest
Reply with quote
kam a saki na upni vafayein to kya karein
ik bevafa ko bhool na jaayein to kya karein

mujh ko ye etaraf duaaon me hai asar
jaye na arsh par jo duayein to kya karein

ik din ki bat ho to use bhool jaayein hum
nazil hon roz dil pe balayein to kya karein

shab bhar to un ki yaad me tare gina kiye
tare-se din ko bhi nazar ayein to kya karein

ahad-e-tarab ki yad mein roya kiye bahut
ab muskura ke bhool na jayein to kya karein

ab jii mein hai ki un ko bhula kar hi dekh lein
vo bar bar yad jo aayein to kya karein

tark-e-vafaa bhi jurm-e-muhabbat sahi "chiraag"
milane lagein vafa ki sazayen to kya karein
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Main kuch keh na saki... by srishti2511 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Na Saki..... by palkhi in Shayeri for Dard -e- Bewafai
saki by Rajiv'sshayri in Kaifiyaat-ae-maye
karein to kya karein by arifuddin in Shayri for Khumar -e- Ishq
chiraaaaaaaaag
Guest
«Reply #1 on: May 28, 2005, 06:22:59 AM »
Reply with quote
kabhii saaya hai kabhi dhoop muqaddar meraa
hotaa rahata hai yuun hi qarz barabar meraa

tuu jaate hain kabhi mere kinare mujh mein
doob jata hai kabhi mujh mein samandar mera

kisii sahara mein bichhad jayenge sab yar mere
kisii jangal mein bharak jayega lashkar meraa

bavafaa thaa to mujhe puchne vale bhi na the
bevafaa hun to hua nam bhi ghar ghar meraa

kitane hanste hue mausam abhii aate lekin
ek hii dhoop ne kumhala diya manzar meraa

aakhri jur'a-e-pur kaif ho shayad baqii
ab jo chaalka to chalak jayega sagar meraa
Logged
chiraaaaaaaaag
Guest
«Reply #2 on: May 28, 2005, 06:31:21 AM »
Reply with quote
kabhi to khul ke baras abr-e-meharaban ki tarah
mera vajuud hai jalate hue makaan ki tarah

bhari bahar ka sinaa hai zakhm zakhm magar
sabaa ne gaye hain lori shafiq man ki tarah

vo kaun thaa jo barhana badan chattano se
lipat gaya tha kabhi bahr-e-bekaran ki tarah

sakut-e-dil to jaziraa hai barf ka lekin
tera Khuloos hai suraaj ke sayebaan ki tarah

main ik khvab sahi aap ki amanat hun
mujhe sambhal ke rakhiyega jism-o-jaan ki tarah

kabhii to soch ke vo shaks kis qadar tha buland
jo bichh gaya tere qadmon me asmaan ki tarah

bulaa rahaa hai mujhe phir kisi badan ka basant
guzar na jaye ye rut bhi kahin khizan ki tarah

lahuu hai nisf sadi ka jis ke aabagiine me
na dekh "chirag" use chashm e agravaan ki tarah
Logged
Tosha
Guest
«Reply #3 on: May 28, 2005, 10:44:56 AM »
Reply with quote
aap ke alfazo ko kya main quote karun
chiraaaaaagh aap ne to dil jeet liya
kya bakhobbi kahi hai vo baat
jo sadiyon se ghariyon main dafan thi
is mohabbat main aap ne ek baat phir
chuya hai is dil ko
...
keep coming wth ya amazing work
Logged
tushar_4u_im
Guest
«Reply #4 on: May 28, 2005, 01:24:50 PM »
Reply with quote
Quote from: "chiraaaaaaaaag"
kam a saki na upni vafayein to kya karein
ik bevafa ko bhool na jaayein to kya karein

mujh ko ye etaraf duaaon me hai asar
jaye na arsh par jo duayein to kya karein

ik din ki bat ho to use bhool jaayein hum
nazil hon roz dil pe balayein to kya karein

shab bhar to un ki yaad me tare gina kiye
tare-se din ko bhi nazar ayein to kya karein

ahad-e-tarab ki yad mein roya kiye bahut
ab muskura ke bhool na jayein to kya karein

ab jii mein hai ki un ko bhula kar hi dekh lein
vo bar bar yad jo aayein to kya karein

tark-e-vafaa bhi jurm-e-muhabbat sahi "chiraag"
milane lagein vafa ki sazayen to kya karein



1 nahi 2 nahi 3   3

1 nahi 2 nahi 3    3

kar liye hai  ye post tune bahut hassin
Logged
chiraaaaaaaaag
Guest
«Reply #5 on: May 30, 2005, 12:22:59 PM »
Reply with quote
thank u tosha ji and tushaar ji ..... hausla badane ka shukria











mana ke un ke nezon pe ab sar nahin koi
kyaa un ke aastin me bhi khanjar nahin koi

mazburiyon ne ghar se nikalane na diya
duniyaa samajh rahii hai meraa ghar nahin koi

ab kya karenge ham naye surajki roshani
jab dekhane ke vaaste manzar nahin koi

dil ho raha hai der se khamosh jheel sa
kya doston ke haath me patthar nahin koi

qismat sabhii kii vaqt ke haathon me rahati hai
is daur men kisii kaa muqaddar nahin koi
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #6 on: May 31, 2005, 06:10:45 AM »
Reply with quote
humesha hi raha bagta insaan khwabon ke piche
usne hakikat kya hai ye kabhi janaa hi nahi
begano ko banana chaha har dum apnaa
apno kon hai yahan usne pehchana hi nahi
Logged
chiraaaaaaaaag
Guest
«Reply #7 on: May 31, 2005, 02:51:07 PM »
Reply with quote
jo dil ne kahii lab pe kahaan ai hai dekho
ab mehfil-e-yaaran me bhi tanhai hai dekho

phulon se hava bhi kabhi ghabarai hai dekho
gunchon se bhi shabnam kabhi katarai hai dekho

ab zauq-e-talab vajah-e-junuun thair gayaa hai
aur arz-e-vafaa baais-e-rusvai hai dekho

Gam apane hi ashkon ka kharidar hua hai
dil apani hi halaat kaa tamaashai hai dekho
Logged
tushar_4u_im
Guest
«Reply #8 on: May 31, 2005, 03:08:43 PM »
Reply with quote
Quote from: "sandhaya"
humesha hi raha bagta insaan khwabon ke piche
usne hakikat kya hai ye kabhi janaa hi nahi
begano ko banana chaha har dum apnaa
apno kon hai yahan usne pehchana hi nahi


aapney to aapne hote hai,.....

loot hi lete hai kabhi na kabhi,..


kehte hai hum tere sath hai,..

jab aati hai mushkile to na murker dekha kabhi,...

kaisi hai kaisi hai ye aapno ki aapni zindigi,....
Logged
chiraaaaaaaaag
Guest
«Reply #9 on: June 06, 2005, 04:38:05 PM »
Reply with quote
phir se mausam baharon ka aane ko hai
phir se rangin zamana badal jayega
ab ki bazm-e-chiragaan saza lenge hum
ye bhi arman dil kaa nikal jayega

aap kar dein jo mujh pe nigaah-e-karam
merii ulfat ka reh jayega kuch bharam
yun fasana to mera rahega yahin
sirf unavaan us kaa badal jayega

phiki phiki si kyun sham-e-maikhana hai
lutf-e-saqi bhi kam khali paimana hai
apani nazron se hi kuch pila dijiye
rang mehfil ka khud hi badal jayega

mere mitne ka un ko zara gam nahin
zulf bhi un ki aey dost barham nahin
apane hone naa hone se hota hai kya
kam duniya ka yun hi to chal jaayegaa

aap ne dil jo 'chiraag' ka toda to kya
aap ne us ki duniya ko chhoda to kya
aap itne to aakhir paresha na ho
vo sambhalate sambhalate sambhal jayga
Logged
Tosha
Guest
«Reply #10 on: June 06, 2005, 04:43:02 PM »
Reply with quote
kya baat hai chiraaaaaaaaaaaaag
.....
bahut ke khoobsurat likha hai aap ne....aap ke liye kuch khas pesh karna parega...ek break ke baad
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #11 on: June 06, 2005, 09:19:01 PM »
Reply with quote
............................good job..................................
Logged
chiraaaaaaaaag
Guest
«Reply #12 on: June 08, 2005, 11:36:48 AM »
Reply with quote
ty faree sahan aur tosha ji hum aapke jawab ka intezaar kar rahe hain .............. vaada yaad rakhiyega upnaa






jism upna hai koi aur na saya upna
jane is jiest me hey kaun sa rishta upna

toone kis mod pe choda tha mujhe umr e ravaan
tac raha hun kai sadiyon se main rasta upna

hum rahe bhi to badalte hue mausam ki tarah
teri ankhon me koi aks na thehra upna

ik tera gum tha ba~har rang jo shaadab raha
is shazar ne giraya koi patta upna

kitane asanaam tarashe hain teri soorat k
jhank kar dekh zara mujh se sarapa upna
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 01:54:50 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.102 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer