kashish......sheba

by Sheba on May 12, 2011, 07:55:10 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1183 times)
Sheba
Guest
Reply with quote

                        tafseel zindagi ki wo bayaan karta gayaa..,
                        zakhmo ko mere wo jawaan karta gayaa..,

                        rahi kamyaab bewafaai mein bhi mohabbat uski,
                        muskura kar mujhe wo hairaan karta gayaa,

                        aarzuein, josh-o-jazabbaT khamosh the sabhi,
                        qurbat mein apni mujhe insaan karta gayaa,

                        lekar khud pe ilzaam zamaane ka,
                        shahar mein mujhe badnaam karta gayaa,

                       kashish aisi usmein ki khud ko bhula baithi,
                        wajood-e-sheba ko wo jaam karta gayaa...........!!!!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
~!~Kashish~!~ by badnaam_shayar in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
kashish by fidaa in Shayri for Khumar -e- Ishq
Kashish by @kaash in Shayri for Khumar -e- Ishq
kashish by 1234jamil in Shayri for Khumar -e- Ishq
kashish by saahill in Shayri for Dard -e- Judai
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #1 on: May 12, 2011, 08:03:15 AM »
Reply with quote

                        tafseel zindagi ki wo bayaan karta gayaa..,
                        zakhmo ko mere wo jawaan karta gayaa..,

                        rahi kamyaab bewafaai mein bhi mohabbat uski,
                        muskura kar mujhe wo hairaan karta gayaa,

                        aarzuein, josh-o-jazabbat sabhi khamosh the,
                        qurbat mein apni mujhe insaan karta gayaa,

                        lekar khud pe ilzaam zamaane ka,
                        shahar mein mujhe badnaam karta gayaa,

                        kashish aisi usmein ki khud ko bhula baithi,
                        wajood-e-sheba ko wo jaam karta gayaa...........!!!!!


Waah Waah Waah Waah Waah!!!!!

Sheba Ji Aapka Andaaz-e-Bayaan Hi Alag Hai..

Akhir Kis Ashaar Ki Tareef Karoon..Bahut bahut Khoob!!!

"Rahi kamyaab bewafaai mein bhi Mohabbat Uski
 Muskura Kar Mujhe Woh Hairaan karta Gaya"

 "Aarzuein,Josh-e-Jazbaat Sabhi Khamosh The
  Qurbat mein Apni Mujhe Insaan Karta Gaya"

Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley



Logged
Taasir siddiqui
Guest
«Reply #2 on: May 12, 2011, 08:15:25 AM »
Reply with quote
                     

                        aarzuein, josh-o-jazabbat sabhi khamos
                        qurbat mein apni mujhe insaan karta gaya

                       
                        KUCH SAMAJ NAHIN AAYA

                        kashish aisi usmein ki khud ko bhula baithi,
                        wajood-e-sheba ko wo jaam karta gayaa...........!!!!!
[/b][/color]
[/quote] BangHead
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #3 on: May 12, 2011, 08:52:22 AM »
Reply with quote
                     

                        aarzuein, josh-o-jazabbat sabhi khamos
                        qurbat mein apni mujhe insaan karta gaya

                      
                        KUCH SAMAJ NAHIN AAYA

                       kashish aisi usmein ki khud ko bhula baithi,
                        wajood-e-sheba ko wo jaam karta gayaa...........!!!!!
[/b][/color]
 BangHead

Taasir Bhai...Har Insaan Apne Jazbaaton ko Apne Tareeke Se lafzon Mein zaahir Karta Hai..

"Aarzuein,Josh-e-Jazbaat Sabhi khamosh The
 Qurbat mein Apni Mujhe Insaan Karta Gaya..

Bin Aarzuein Ke Bin Jazbaaat Ke,
Bin kisi Ehsaas Ke Insaan Sirf Mitti Ka Ek Putla bankar Hi reh Jaata Hai..Isme Yeh Ehsaas Ko Darshaaya Gaya Hai ke
Kisi Ke Qurbat mein(Presence Mein)Yeh Ehsaas Phir Zinda Hue,
Isliye Mujhe Woh Shaks Phir insaan karta Gaya..


Kashish Aisi The Ke Khud Ko Bhula baithi
Wajood-e-Sheba Ko Woh jaam karta Gaya


Insaan Khud Ko Tab Bhoola Baithta Hai jab
 Woh Kisi Nashe mein Ghum Rehta Hai,
Yahan par Yeh Batlaaya Gaya Ke Uss Insaan Ki Kashish mein,
uski maujoodgi Mein,Main Khud Ke Wajodd Ko Bhula baithi,
Yahan Comparison Ek Jaam Se Kiya Gaya

Mujhe Inn 2 A'shaar mein Balki bahut gehraai nazar Aayi..Baaki Sheba Ji Bata Sakte Hai Ke Jo Maine Likha Hai Woh Sahi hai Yaa Galat..

Agar maine Kuch galat Likha Hai To main Muaafi Ka Haqdaar Hoon Aapse Bhi Aur Sheba Ji Se Bhi..Shukriya

Logged
sbechain
Guest
«Reply #4 on: May 12, 2011, 08:59:09 AM »
Reply with quote
Taasir Bhai...Har Insaan Apne Jazbaaton ko Apne Tareeke Se lafzon Mein zaahir Karta Hai..

"Aarzuein,Josh-e-Jazbaat Sabhi khamosh The
 Qurbat mein Apni Mujhe Insaan Karta Gaya..

Bin Aarzuein Ke Bin Jazbaaat Ke, Bin kisi Ehsaas Ke Insaan Sirf Mitti Ka Ek Putla bankar Hi reh Jaata Hai..Isme Yeh Ehsaas Ko Darshaaya Gaya Hai ke Kisi Ke Qurbat mein(Presence Mein)Yeh Ehsaas Phir Zinda Hue,Isliye Mujhe Woh Shaks Phir insaan karta Gaya..


Kashish Aisi The Ke Khud Ko Bhula baithi
Wajood-e-Sheba Ko Woh jaam karta Gaya


Insaan Khud Ko Tab Bhoola Baithta Hai jab Woh Kisi Nashe mein Ghum Rehta Hai,Yahan par Yeh Batlaaya Gaya Ke Uss Insaan Ki Kashish mein,uski maujoodgi Mein,Main Khud Ke Wajodd Ko Bhula baithi,Yahan Comparison Ek Jaam Se Kiya Gaya

Mujhe Inn A'shaar mein Balki bahut gehraai nazar Aayi..Baaki Sheba Ji Bata Sakte Hai Ke Jo Maine Likha Hai Woh Sahi hai Yaa Galat..

Agar maine Kuch galat Likha Hai To main Muaafi Ka Haqdaar Hoon Aapse Bhi Aur Sheba Ji Se Bhi..Shukriya




waah khawaish ji aapne wahi explain kiya jaisa maine sher mein likha thaa 100% same. waah itna acha to main bhi taasir sahab ko nahin samjha paati waise main apne sher ko kisi ke liye tabhi explain karti hoon jab main sure rahti hoon ki ye samajh se baahra hoga. per taasir sahab ne jinn sher per aitraaz jatayaa wo bahut aasaan tha samajhne ke liye.

aapkaa bahut bahut shukriya khawaish ji
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
killbill
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
24 days, 7 hours and 41 minutes.
Posts: 2130
Member Since: Oct 2010


View Profile
«Reply #5 on: May 12, 2011, 09:25:15 AM »
Reply with quote
kamaal ka peshkash
Logged
Taasir siddiqui
Guest
«Reply #6 on: May 12, 2011, 10:01:36 AM »
Reply with quote
Mujhe to aaj maalum hua jaam sharaab ko kehte hai main jaam ko pyala matlab goblet samajta tha aur sheba ka wajood pyala ban ke khud ko bhula bheta? kamaal hai?  kher ab waah waah karna hi hai to bematlab misre bhi kya ja sakta hai...waah waah
Logged
manzil-e-ishq
Guest
«Reply #7 on: May 12, 2011, 10:08:16 AM »
Reply with quote
bht hi khoob peshkash sheba ji....
sply 3rd one....
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #8 on: May 12, 2011, 11:16:32 AM »
Reply with quote

                        tafseel zindagi ki wo bayaan karta gayaa..,
                        zakhmo ko mere wo jawaan karta gayaa..,

                        rahi kamyaab bewafaai mein bhi mohabbat uski,
                        muskura kar mujhe wo hairaan karta gayaa,

                        aarzuein, josh-o-jazabbaT khamosh the sabhi,
                        qurbat mein apni mujhe insaan karta gayaa,

                        lekar khud pe ilzaam zamaane ka,
                        shahar mein mujhe badnaam karta gayaa,

                        kashish aisi usmein ki khud ko bhula baithi,
                        wajood-e-sheba ko wo jaam karta gayaa...........!!!!!


Bahut umda sheba ji...khwaish ji har lafz ko bade khubsurat shabdo mein apne explain kiya hai bahut acha ji..
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #9 on: May 12, 2011, 11:17:03 AM »
Reply with quote
bahut khoob shiba ji icon_flower icon_flower
 Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #10 on: May 13, 2011, 02:27:26 PM »
Reply with quote
Shebaa jee! aap ke kalaam me lafzoN ko jis tarah maanikhez andaaz me sajaayaa gayaa hai qaabil e taareef hai.....dili daad kubool farmaayen.....
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #11 on: May 13, 2011, 03:42:44 PM »
Reply with quote

waah khawaish ji aapne wahi explain kiya jaisa maine sher mein likha thaa 100% same. waah itna acha to main bhi taasir sahab ko nahin samjha paati waise main apne sher ko kisi ke liye tabhi explain karti hoon jab main sure rahti hoon ki ye samajh se baahra hoga. per taasir sahab ne jinn sher per aitraaz jatayaa wo bahut aasaan tha samajhne ke liye.

aapkaa bahut bahut shukriya khawaish ji
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Thankyou Soooooo Much Shebaji..Jo Aapne itni Izzat bakshi..Aur Aap Shukriya Naa Kahiye, balki Humein Aapka Shukriya Ada Karna Chahiye Jo Aapne Itni Achi Ghazal Padhne Ka Humein Mauka Diya..

Logged
sbechain
Guest
«Reply #12 on: May 21, 2011, 09:53:11 AM »
Reply with quote
Mujhe to aaj maalum hua jaam sharaab ko kehte hai main jaam ko pyala matlab goblet samajta tha aur sheba ka wajood pyala ban ke khud ko bhula bheta? kamaal hai?  kher ab waah waah karna hi hai to bematlab misre bhi kya ja sakta hai...waah waah

AT VERY OUTSET I EXTEND MY THANKS FOR YOUR NOTEWORTHY COMMENTS.
SIR, I HEREBY ACCEPT THAT MY LITTLE KNOELEDGE CANNOT REACH TO YOUR INTELLECT LEVEL. SO PLEASE DONT BANG YOUR HEAD AND DONT PASS ANY SATIRICAL COMMENTS TO ANY ONE. IF YOU HAVE OBJECTION IN ANY STANZA, COULD BE ASKED IN DIFFERENT WAY.IF YOU DONT LIKE DONT GIVE A BIG HAND . THATS ALL. I DONT ENTERTAIN ANY ONE IN  P.M UNLESS IT IS INEVITABLE.LOOKING FORWARD TO LEARN FROM YOU . I CAN READLY CORRECT SPELLINGS IF SOME ONE SAYS, BUT I DONT FORMULATE THE 'SHER' ON OTHERS ADVISE.

    I DONT,UNLESS I FEEL IT NEEDS TO BE CLARIFIED, IF OBJECTION RAISED IN ANY OF MY SHER.

THANK YOU SIR.
Logged
sbechain
Guest
«Reply #13 on: May 21, 2011, 10:23:05 AM »
Reply with quote
kamaal ka peshkash

THANK YOU KILLBILL
Logged
sbechain
Guest
«Reply #14 on: May 23, 2011, 10:04:33 AM »
Reply with quote
Bahut umda sheba ji...khwaish ji har lafz ko bade khubsurat shabdo mein apne explain kiya hai bahut acha ji..

thank you broken ji
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 04:50:41 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.12 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer