" ek choti c khawahish " Aaj fir se ulajh k reh gai hu
tumhari baaton me..jazbaton me...
ehsason me..lafzon me...
khayalato me..sawalon me...jawabon me...
apni vivashtaon me....us koshish ki gunjaish me...
us 'khwahish' me jiska khwaab dekha krti thi tanha raaton me..
jb chahti hu manati hu khud ko....
tumse juda hone k liye...tb tb hi kyu shuru ho jate hein
silsile in haseen baton k...
jinki chahat thi mujhe...kai lamhaton se...
band us chaukhane me..sari trishnae thi...
ki machal uthi betaab c yeh tumse khul kr gungunane ko..
jinhe chupaya tha mene ab tk apne us SAAYE se
yahi sochkr ki shayad mita sku un fariyadon ko...
jazbaton ko jo shayad dil k kisi kone me,mene dabae hue the..
ki han mere dil me..b ghirte h us pyas k badal...
tumse rukhsat hone ko...
bekhabar the vo hmare in IRADON se...ki
AAG
ka dariya jo unki rago me daudta h
usi ki chingari jla k rakh degi hume khak me..
uda degi hmari neendon ko...
unki vo shrarat bhari baatein...
ki aaj manga h kuch humse DIL-E-DEEDAR ne..
simat k reh jaein unki bahon me humesha k liye
us masoomiyat per ki aaj mangah kuch mere pyar ne...
de doon unhe unke hisse ki khushi.jiski chahat h unhe...
Deewane h jiski 'rukhsat ' k liye reh gae h machalkr..
samne mere..zidd h unki yeh...jo bna deti h kamzor mujhe...
samjhati hu jb unhe ki
'ISSE HUM OR B KAREEB AA JAENGE'...
ki namumkin ho jaega bhulana...ek duje k liye...
is per kehte h vo ki 'tumhe lgta h me tumhe bhula dunga??
kehte h hum ki 'han mujhe lgta h'
khamosh ho jate h kuch pal k liye
pakr mere jwabon ko..ki shayad lgta h unhe b ki
unki mohabbat ko me samajh na saki....
per fir se hume mnate h vo ki...
de dun chahat ka nazrana unhe...
or ro pdta h dil mera unki esi baton per...
puchta h mujhse ki
kese ban gai hu itni kathor me apni chahat k liye?
??
jee chahta h uski har tamanna per var du khud ko...
kr dun poori icchaein.....unki..khushi k liye...
kyunki unki khushi me meri khushiyan samai hui h....
bhawnao ke sagar me kabhi idhr to kbhi udhr hilore marta h dil mera....
kr deti hu naraj unhe...dukhati hu unke dil ko...
lgta h unhe ki shayad bharosa nhi hume unki mohabbat pe...
isi dvandva me..kbhi unke to kabhi apne dil ko thes pahunchati hu..
nhi chahti kuch aisa krna ki apni hi nazron me gir jau...
nafrat kerne lg jau khud se....
chahat to dil me humesha se yhi thi
saup du apna sb kuch unhe haq h jise mujh per
kyun nhi de pa rhi hu khushiyon ka sansar use??
kyun anjaan bnte h vo b sab kuch jan kr
ki chahti hu hona unhi ki sda k liye....
ki kash vo samajh pate mere in jazbaton ko...
koi or na ho sirf vhi ho haqdar meri is chahat ka.....
is ibadat ka...