Khumare..e..ishq

by majid on January 31, 2007, 11:57:27 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1378 times)
majid
Guest
Reply with quote
Khumar..e..Ishq Ka Jaadoo Mujhpe Bhi Chhane Lagaa Hai
Ha Kisi Ke Pyaar Main Ab Ye Dil Bhi Dhadkane Lagaa Hai.

Pehle Be Fikar The Har Waqt Mastiyon Main Bitaaya Karte The
Abto Har Pal Us Dilrubaa ke Intezaar Main Guzar Ne Lagaa Hai.

Pehle Sirf Ishq Mohabbat Ko Kitaabon Main Pada Karte The Hum
Ab Yahi Pyaar, Banke Lahoo Nash Nash Main Utar Ne Lagaa Hai

Pehle Mashoor The iS Duniya Main, Majid ,Ke Naam Se Hum
Abto Ye Zamaana Hume ,Pagal, Aashiq, Deewana Bulaane Lagaa Hai
:wink:
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
ishq hai by nishita in Songs & Lyrics « 1 2 3 4 »
Ishq by c00l in Shayri for Khumar -e- Ishq
!! Ishq !! by muneeb in Shayri-E-Dard
ishq ishq na kareya kar by dil apna punjabi in Pain in Love : Punjabi poetry
Shayari for Khumare-e-ishq by R.M. Dixit in Other Languages
pinky
Guest
«Reply #1 on: January 31, 2007, 12:02:35 PM »
Reply with quote
bahut khoob likha hai aapne majid..!!
Usual Smile
Logged
FArah
Guest
«Reply #2 on: January 31, 2007, 01:26:05 PM »
Reply with quote
very good sir. u r really nice poeter.
Logged
FArah
Guest
«Reply #3 on: January 31, 2007, 01:30:54 PM »
Reply with quote
musum ma sy aik musum jodai ha
phir b hum na rahie IShq apnai ha
suba ki nikli raat ko wapas ay ha
mager apna sub kuch ulta ay ha
apnay khawabo ma osay bitha ay ha
sang nhi chal sakta per basa ay ha
ankho sy ,dil sy , damag sy apna ay ha
dakho zara naya dard ankho ma basa ay ha
Logged
ANKUR_CRAZY
Guest
«Reply #4 on: January 31, 2007, 04:13:34 PM »
Reply with quote
bahut acche majid bhai
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #5 on: January 31, 2007, 06:37:09 PM »
Reply with quote
Gud job Majid and Farah...Lage raho :wink:
Logged
pinky
Guest
«Reply #6 on: January 31, 2007, 09:07:15 PM »
Reply with quote
Ishq ka Khumar jo mausam mein hai..
Kaise koi bhalla bach payega..
Ek Muskurahat chhod kar hothon par..
Ye har tanhayi apne saath le jayega..
Logged
ALONE BAD
Guest
«Reply #7 on: February 01, 2007, 11:37:29 AM »
Reply with quote
Quote from: "majid"
Khumar..e..Ishq Ka Jaadoo Mujhpe Bhi Chhane Lagaa Hai
Ha Kisi Ke Pyaar Main Ab Ye Dil Bhi Dhadkane Lagaa Hai.

Pehle Be Fikar The Har Waqt Mastiyon Main Bitaaya Karte The
Abto Har Pal Us Dilrubaa ke Intezaar Main Guzar Ne Lagaa Hai.

Pehle Sirf Ishq Mohabbat Ko Kitaabon Main Pada Karte The Hum
Ab Yahi Pyaar, Banke Lahoo Nash Nash Main Utar Ne Lagaa Hai

Pehle Mashoor The iS Duniya Main, Majid ,Ke Naam Se Hum
Abto Ye Zamaana Hume ,Pagal, Aashiq, Deewana Bulaane Lagaa Hai
:wink:




bahooot khuub MAjid ji..... bahoot aacha likha hai aapne
Logged
pinky
Guest
«Reply #8 on: February 01, 2007, 07:46:15 PM »
Reply with quote
Quote from: "majid"
Quote from: "pinky"
Ishq ka Khumar jo mausam mein hai..
Kaise koi bhalla bach payega..
Ek Muskurahat chhod kar hothon par..
Ye har tanhayi apne saath le jayega..


ji Bohat Khoob Kaha Pinky Ji aapne LagE Raho... :wink:
humaari bhi chhoti si koshish kabool kare :lol:

meri raaton ko mehkaane laga hai.
ek chehra hai jo khwabon main aane laga hai.
majid kuch is kadar ho gaya hai deewana uska
ke har lafz main ab use dohrane laga hai


Aap achcha likhenge to hum reply to denge hi aur aapko wo achchi laggi to bahut achchi baat hai..

Ek Chere ko jab se basaya hai khwabon mein
Tasveer ban kar wo aankhon mein uttar aaya hai..
Jo dekh lein hum kisi ko nigaahein utha ke,
Har koi uski surat ko pehchaan leta hai..
Logged
pinky
Guest
«Reply #9 on: February 05, 2007, 08:32:40 PM »
Reply with quote
Quote from: "majid"
Quote from: "pinky"
Quote from: "majid"
Quote from: "pinky"
Ishq ka Khumar jo mausam mein hai..
Kaise koi bhalla bach payega..
Ek Muskurahat chhod kar hothon par..
Ye har tanhayi apne saath le jayega..


ji Bohat Khoob Kaha Pinky Ji aapne LagE Raho... :wink:
humaari bhi chhoti si koshish kabool kare :lol:

meri raaton ko mehkaane laga hai.
ek chehra hai jo khwabon main aane laga hai.
majid kuch is kadar ho gaya hai deewana uska
ke har lafz main ab use dohrane laga hai


Aap achcha likhenge to hum reply to denge hi aur aapko wo achchi laggi to bahut achchi baat hai..

Ek Chere ko jab se basaya hai khwabon mein
Tasveer ban kar wo aankhon mein uttar aaya hai..
Jo dekh lein hum kisi ko nigaahein utha ke,
Har koi uski surat ko pehchaan leta hai..


wah ji wah kya baat hai....jawab nahi aap ka

jabse moahbbat ko banke lahoo rag rag main utaara hai.
tabse bina dare hi humne zamaane se nazron ko milaaya hai.
aap ki deedaar ka kuch yun hua hai majid pe asar ke
fir usne har chehre main sirf aap ko hi paaya hai.


Itni mohabbat ab sambhalna mushkil hai
Ke Baahon mein qaid kar lo mujhe..
Nahi uthti ab nazrein bhi tumhare deedar ko,
Ke yun na paas aao mere..
Kehna bahut mushkil hai tumse ek lafz bhi,
Bas tum khamosh hi rehne do mujhe..
Tumhari nazadikiyon mein ye kaisa nasha hai Sanam..
Ke Meri tanhayiyon se kheench laaya mujhe..
Logged
pinky
Guest
«Reply #10 on: February 14, 2007, 09:27:11 PM »
Reply with quote
Nashe mein mohabbat ke doob ke dekha hai
Tera khayal hi bas mujhe madhosh kar jata hai
Ek roz socha tujhse duur rahoon main
Lekin
Mera dil hi mujhe majbur kar deta hai..
Aisa kya hai tere ehsaas mein maloom nahi
Jo na chahte hue bhi mujhe tere kareeb le aata hai..
Logged
pinky
Guest
«Reply #11 on: February 17, 2007, 08:33:00 PM »
Reply with quote
Sajti hai Mehfil meri tere hi Khayalon se
Tere naam se hi dil mein roshni hoti hai..
Aisa jaadu hai tere pyaar mein ae sanam,
Ke Judai mein bhi nazdikyan mehsus hoti hain..
Logged
paani
Guest
«Reply #12 on: February 28, 2007, 08:44:01 AM »
Reply with quote
Nice MAjid & Pinky good job guys...

Gazab ki ronak se musallah hai nur-e-isqh bhi Saahib
teri roshni ki taabish hai, ye mehake huye jazbaat mere!!!
Logged
pinky
Guest
«Reply #13 on: March 27, 2007, 08:34:53 PM »
Reply with quote
Bahut khoob hai ji ..

Paani shukriya tareef karne ka..!!
aapne bahut khubsurat lines kahin hain..
thanx!! Usual Smile
Logged
pinky
Guest
«Reply #14 on: March 27, 2007, 08:37:18 PM »
Reply with quote
Intezar mere mehboob yun na kiya karo mera
Mera dil badda bechain rehta hai..
Khumar tumhare deedar ka ab tak utra nahi
Aankhon mein tumhara chehra
Subah shaam rehta hai..
Usual Smile
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 07:50:07 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.133 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer