Khumar-e-Ishq...

by D K on March 12, 2006, 11:22:36 PM
Pages: 1 2 3 4 [5] 6
ReplyPrint
Author  (Read 6323 times)
Pooja
Guest
«Reply #60 on: March 19, 2006, 11:54:31 PM »
Reply with quote
Wah DK ji kaya khoob likha hai..kuch jawab dene liye bhi chor dety.. app to sab kuch hi kah gaye!!!

Kaya khoob likha apne, yah Ishq kya kya karwata hai
Kisi ne bahaai nadiyan doodh ki, to kisi se kachy matke se nadi paar karwata hai
Kisi ka saawan bahaar laye to kisi ke aankh ashq bahaye
Pal do pal ke pyar ke lamhe, zindagi bhar ki judai sahen karwaye
Apni apni kismet ke khel, Ishq pal pal naya roop sabko hai dikhaye!!
Logged
D K
Guest
«Reply #61 on: March 20, 2006, 06:36:25 PM »
Reply with quote
Thnx Pooja ji and nice one...

Ishq karne waale kahan chain se jeete hain...
Dard ka zeher wo din raat peete hain,
Aashiq apne bechaini ko kis tarah roke...
Apna zakham kured kured kar dobara seete hain.
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #62 on: March 20, 2006, 06:51:27 PM »
Reply with quote
Pooja aur DK

kya badhiya likha hai aap dono ne

DK aap ka avatar aap ki shayari ke saath jaata hai :D

Rajbir
Logged
D K
Guest
«Reply #63 on: March 20, 2006, 06:55:02 PM »
Reply with quote
:p

shukriya paaji Usual Smile
Logged
shayar_dildaar
Guest
«Reply #64 on: March 21, 2006, 11:22:02 PM »
Reply with quote
good going guyz nd galz....
Logged
D K
Guest
«Reply #65 on: March 23, 2006, 10:40:51 PM »
Reply with quote
Shukriya sahab Usual Smile

Jisne kabhi bhi ishq kiya ho,
Usse pucho kya hai Ishq...

Dil to sabke paas hai lekin,
Dhadkan deta hai yeh Ishq...

Jeevan to sabke paas hai lekin,
Saanse deta hai yeh Ishq...

Ummed to sabke paas hai magar,
Hosla deta hai yeh Ishq...

Pal to yun sab kat rahe hain,
Jeena sikhata hai yeh Ishq...
 
Khushi mein to sab hanste hi hain,
Gum mein bhi muskuraana sikhata hai Ishq...

Kisi aur ko to sab chahte hi hain,
Khud se hi mohabbat sikhata hai Ishq...

Mitti ko bhi cho jaaye to,
Jadoo se sona karta hai Ishq...

Sahi kaha hai kise ne kabhi,
Kuch lafzon ka hai nahin yeh Ishq...

Umr beetegi ise samajhte samjhaate,
Samajh jaoge jab hoga Ishq...
Logged
D K
Guest
«Reply #66 on: March 29, 2006, 10:23:47 PM »
Reply with quote
ye bhi kisi ko pasand nahi aaya sad5
ok .. one more try

Kya batayein mohabbat ne kya kya sikha diya...
Chand lamhon mein jannat ka nazara dikha diya,
 
Uska zikr karne ka bahana dhoonta hoon main...
Tanhayi mein bhi deewaron se baat karna sikha diya,
 
Kaise bataun duniya ko kitna pyaar hai unse...
Har patte har bootey par apna afsana likha diya,
 
Ek tamanna dil mein thi ki unka deedaar ho...
Aaj qayamat ho gayi, unhone apna chehra dikha diya,
 
Sharab mein kahan wo baat jo unke shabab mein hai...
Hosh mein nahi main, jabse usne hoton se pila diya,
 
Kuchh to baat hogi us malika-e-husn mein doston...
Yoon hi nahi uske liye "DK" ne apna dil tak bichha diya.
Logged
shayar_dildaar
Guest
«Reply #67 on: March 29, 2006, 11:37:11 PM »
Reply with quote
Kya baat hain DK sahab..
Logged
Talat
Guest
«Reply #68 on: July 12, 2006, 09:28:19 AM »
Reply with quote
Quote from: "D K"
Meri zindagi mein aa kar tumne mujhe jeena sikha diya...
Is bhatakte hue rahgeer ko ... raasta dikha diya,

Masroof ho gaya tha main is duniya ke khel mein...
Haath thaam kar tumne mujhe apne aap se mila diya,

Zindagi khoobsurat lagne lagi tumse milke...
Ye kaun sa jaam tumne apni aankhon se pila diya,

Tumsa na koi hai aur na hi hoga is jahan mein...
Ek deewane ko tumne pyaar karna sikha diya.


Good one DK !! and other ones are really nice as well !!...Keep on writing here !! Winking

Nice ones by other freinds as well !!! Usual Smile
Logged
Talat
Guest
«Reply #69 on: July 12, 2006, 09:29:09 AM »
Reply with quote
Quote from: "D K"
ye bhi kisi ko pasand nahi aaya sad5
ok .. one more try

Kya batayein mohabbat ne kya kya sikha diya...
Chand lamhon mein jannat ka nazara dikha diya,
 
Uska zikr karne ka bahana dhoonta hoon main...
Tanhayi mein bhi deewaron se baat karna sikha diya,
 
Kaise bataun duniya ko kitna pyaar hai unse...
Har patte har bootey par apna afsana likha diya,
 
Ek tamanna dil mein thi ki unka deedaar ho...
Aaj qayamat ho gayi, unhone apna chehra dikha diya,
 
Sharab mein kahan wo baat jo unke shabab mein hai...
Hosh mein nahi main, jabse usne hoton se pila diya,
 
Kuchh to baat hogi us malika-e-husn mein doston...
Yoon hi nahi uske liye "DK" ne apna dil tak bichha diya.


This one also very nice !!! Usual Smile
Logged
Talat
Guest
«Reply #70 on: July 12, 2006, 09:30:15 AM »
Reply with quote
Chupke se koi dil me bas jaaye
Aur neend bhi jab koi le jaaye
Reh reh kar jab wo yaad aaye
Kya isko mohabbat kehte hain ?

Yaadain jab de jaayen muskaan
Jab haseen lagne lage har samaa(n)
Jhuk jaaye jab zameen pe aasmaan
Kya isko mohabbat kehte hain ?

Koi khwaab aankhon me sajne lage
Dil tadpe, seene me machalne lage
Jab khud se hi anjaan koi lagne lage
Kya isko mohabbat kehte hain ?
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #71 on: July 13, 2006, 03:44:05 PM »
Reply with quote
Quote from: "Talat"
Chupke se koi dil me bas jaaye
Aur neend bhi jab koi le jaaye
Reh reh kar jab wo yaad aaye
Kya isko mohabbat kehte hain ?

Yaadain jab de jaayen muskaan
Jab haseen lagne lage har samaa(n)
Jhuk jaaye jab zameen pe aasmaan
Kya isko mohabbat kehte hain ?

Koi khwaab aankhon me sajne lage
Dil tadpe, seene me machalne lage
Jab khud se hi anjaan koi lagne lage
Kya isko mohabbat kehte hain ?


Wah kya baat hai Talat ji.....waise haan isi ko mahobbat kehte hain :wink:
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #72 on: July 13, 2006, 09:13:51 PM »
Reply with quote
Quote from: "Talat"
Chupke se koi dil me bas jaaye
Aur neend bhi jab koi le jaaye
Reh reh kar jab wo yaad aaye
Kya isko mohabbat kehte hain ?

Yaadain jab de jaayen muskaan
Jab haseen lagne lage har samaa(n)
Jhuk jaaye jab zameen pe aasmaan
Kya isko mohabbat kehte hain ?

Koi khwaab aankhon me sajne lage
Dil tadpe, seene me machalne lage
Jab khud se hi anjaan koi lagne lage
Kya isko mohabbat kehte hain ?


ankhoin mein khwab sajne hain laghe
dil mein hulchul si hone laghe
aaye samne jabh woh
tu na jane kyun hum darne laghe

yaadein taza kar karh muskurane laghe
haar samaa humhe haseen laghne laghe
jabh kare mohabbat usse
tu khud ke liye ANJANI bane laghe :D:D
Logged
D K
Guest
«Reply #73 on: July 13, 2006, 09:50:53 PM »
Reply with quote
Nice ones Talat and Lucy

Talat ji hausla afzai ke liye shukriya .. but maine bola na yahan nahi  ... bas last one aapke kehne pe :D

Hamare ishq ki daastaan aise bayan ho jaye...
Ye chand ye taare bhi aaj iske gawah ho jaye,

Intezaar tha kabse tere iqraar ka jane-e-wafa...
Darr hai ki kahin na mujhse aaj khata ho jaye,

Aazaad kar do aaj in gesuon ko bandishon se...
Khoobsurat ye mausam, aashiqana ye sama ho jaye,

Mehk uth-ti hai ye saba tujhe chhu kar...
Lehra do aanchal ki makhmali ye hawa ho jaye,

Kyon chhupa rakha hai chand ko hijab mein...
Dikha do chehra ki kaafir sara jahan ho jaye,

Darr nahi qayamat ka, intezaar hai ki bas...
Tere ishq mein meri jaan fana ho jaye.
Logged
roshni246
Guest
«Reply #74 on: July 13, 2006, 09:52:40 PM »
Reply with quote
Quote from: "D K"
Nice ones Talat and Lucy

Talat ji hausla afzai ke liye shukriya .. but maine bola na yahan nahi  ... bas last one aapke kehne pe :D

Hamare ishq ki daastaan aise bayan ho jaye...
Ye chand ye taare bhi aaj iske gawah ho jaye,

Intezaar tha kabse tere iqraar ka jane-e-wafa...
Darr hai ki kahin na mujhse aaj khata ho jaye,

Aazaad kar do aaj in gesuon ko bandishon se...
Khoobsurat ye mausam, aashiqana ye sama ho jaye,

Mehk uth-ti hai ye saba tujhe chhu kar...
Lehra do aanchal ki makhmali ye hawa ho jaye,

Kyon chhupa rakha hai chand ko hijab mein...
Dikha do chehra ki kaafir sara jahan ho jaye,

Darr nahi qayamat ka, intezaar hai ki bas...
Tere ishq mein meri jaan fana ho jaye.



wah wah bohot khoob!!!! =D>  =D>
Logged
Pages: 1 2 3 4 [5] 6
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 02:29:38 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.097 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer