Khusboo,.

by Jaanasheen on February 12, 2008, 10:12:56 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 940 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
Reply with quote
Bechain Bahaaron Mein Kya-Kya Hai Jaan Ki Khushboo Aaati hai.
Jo Phool Mehakta Hai Use Toofaan Ki Khushboo Aaati Hai,.

Kal Raat Dikhaa Ke Khwaab-e-Tarab So Sej Ko Sunaa Ke Chord Gaya,.
Har Silvat Se Phir Aaj Usi Mehmaan Ki Khushboo Aaati Hai,.

Talkin-e-Ibaadat Ki Hai Mujhe Yun Teri Mukaddas Aankhon Ne,.
Mandir Ke Darichon Se Jaise Lobaan Ki Khushboo Aaati Hai.

Kuch Aur Bhi Saansein Lene Par Majboor Sa Main Hojaata Hoon,.
Jab Itne Bade Jungle Me Kisi Insaan Ki Khushboo Aaati Hai,.

Kuch Tu Hi Mujhe Ab Samjhaa De Aye Kufr Duhaai Hai Teri,.
Kyun Sheik Ke Daaman Se Mujhko Imaan Ki Khushboo Aaati Hai,.

Darta Hoon Kahin Is Aaalam Se Jeene Se Na Munakir Ho Jaoon,
Ahabaab Ki Baaton SE Mujhko Ehsaan Ki Khushboo Aaati Hai,.

_______________________________________-Qateel Shifaai-.

Waise Ye Shayari Jaise Andaaz Se Dekhi Jaaye Waise Hi Rukh Badal Ti Hai,.
Mujhe To Ye Ishq Ke Taalookh Se Lagi So Post Kardi,.
Logged
diya786
Guest
«Reply #1 on: February 12, 2008, 12:29:44 PM »
Reply with quote
hum aapki sahyari ke deewane ho gaye hain ab kya like ki jitne alfaz aapki tareef mein kahe jaye kam hi hain...........
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #2 on: February 12, 2008, 12:57:43 PM »
Reply with quote
This Are Not My Work, I Have Just Shared It,.
Taareef Aap Likne Waalon Ki Kariye Diya ji,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3 on: February 12, 2008, 01:04:41 PM »
Reply with quote
Apne Haaton Se Yun Chehra Ko Chupaate Kyon Ho,.
Mujh Se Sharmaate Ho To Saamane Aate Kyon Ho,.

Tum Kabhi Merii Tarah Kar Bhi Lo Iqaraar-e-Wafaa,
Pyaar Karte Ho To Phir Pyaar Chupaate Kyon Ho,.

Ashk Aankhon Mein Meri Dekh Ke Rote Kyon Ho,.
Dil Bhar Aataa Hai To Phir Dil Ko Dukhaate Kyon Ho,.

In Se Vaabastaa Hai Jab Mera Muqaddar Phir Tum,
Mere Shaanon Se Ye Zulf Hataate Kyon Ho.,

Roz Mar-Mar Ke Mujhe Jeene Ko Kehte Kyon Ho,
Milane Aate Ho To Phir LauT Ke Jaate Kyon Ho,.

____________________________-Unknown-
Logged
Pooja
Guest
«Reply #4 on: February 12, 2008, 03:41:16 PM »
Reply with quote
nice sharing lil bro
Logged
mehhekkk
Guest
«Reply #5 on: February 12, 2008, 05:41:35 PM »
Reply with quote
bahut badhiya

khuboo to jaha dhundh lo waha mil jayegi pyar ki
jarurat hai dil use pehchan le harpal.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #6 on: February 13, 2008, 08:20:47 AM »
Reply with quote
Shukriya Pooja Didi,.
And Mehekk Sis,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #7 on: February 13, 2008, 08:25:17 AM »
Reply with quote
ishq ke shole ko bhadakaao ke kuch raat kate,.
dil ke angaar ko dahakaao ke kuch raat kate,.

hijr mein milne shab-e-maah ke Gam aaye hain,
chaaraasaazon ko bhi bulaao ke kuch raat kate,.

chashm-o-rukhsar ke azgaar ko jaari rakho,
pyaar ke nagme ko dohraao ke kuch raat kate,.

koh-e-Gam aur garaan aur garaan aur garaan,
Gamzaa-o-tesh ko chamakaao ke kuchh raat kate,.

____________________________-Makhdoom Moeenudin-
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 10:14:25 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.099 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer