***khwaab***

by tabassum shakeel on January 04, 2007, 05:35:34 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 914 times)
tabassum shakeel
Guest
Reply with quote
 bichhati apni palaken tere pairon ke tale bhi main
jo tera saath milta doosari hi ban ke rahti main

tere darwaze pe main khud diya ban ke jala karti
jo ye hota to hamdam baat koi aur hi hoti

tu mujhse roothne ka ek bhi pal chhant na pata
main teri har khushi pe is tarah qurban ho jaati

hamara ghar hi phir ek bagh hota apni chahat ka
jahaan ke har ik phool ka khwab hota usme rahne ka

na deewaren hi hotin ham indradhanush ko bula lete
vo dauda dauda aata dekhne is ghar ki khushiyon ko

meri nazmon hi me na tum jo meri zindagi me hote
to main ek doosari hoti zindagi khushnuma hoti

magar tum khwab the mera to bas khwabo tak rah pae
na tum tak main pahunch paai na mujh tak tum pahunch paae    
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
~~~KHWAAB......~~~ by vitasta in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
**KHWAAB** by harshmeet in Shayeri for Dard -e- Bewafai
khwaab ko khwaab samajh ke khwaab ki tauheen na kar... by diya786 in Shairi - E - Zindagi
Khwaab ki ahmiyat khwaab se hai by @kaash in Shayri for Khumar -e- Ishq
Khwaab hi khwaab rahaa hun buntey: by abdbundeli in Shayri for Khumar -e- Ishq
Shihab
Yoindian Shayar
******

Rau: 27
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
29 days, 4 hours and 51 minutes.

Maut To Ek Shuruaat Hai...

Posts: 2082
Member Since: Dec 2006


View Profile
«Reply #1 on: January 08, 2007, 08:18:41 AM »
Reply with quote
Bohat Khoob tabassum ji
Daad hazir hai kabul farmaaye ji
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #2 on: January 08, 2007, 05:48:32 PM »
Reply with quote
     

bahut bahut shukriya hum dum ji...........

  kabhi aanhkse vo jhalak gae
                              kabhi khwab ban ke thirak gae
                              teri yaad ke vo mahal hasin
                              meri saanson me hain mahak rahe
                              kya inhe me bhool paaungi
                              ye tera hasin khwab hai
                              inhe saath leke jaaungi
                              ye mera hasin khwab hai...................
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #3 on: January 10, 2007, 07:26:29 PM »
Reply with quote
justju ek khwaab ki mar ke bhi jo poori naho
khwaab ye jisane banae usake bhi khwaab poore na hon
ek bas hai qafila sa khwaabon ka likhati hun main
inko jab bhi padhna chaha khud hi ro deti hun main
khwaab hain ya hain ye aansu ya ki bas koi aah hain
khwaab se ye kyun nahi hain kyun ye be unwan hain....................
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #4 on: January 10, 2007, 07:33:22 PM »
Reply with quote
baat hai khwabki
khwab hai faaqt ek khwab
sakht zindagi se
pher ke jab aankhen
moond lin kisi ne
apni bojhal palken
ik ruphala aanchal
tir gaya zahan par
ik hasin tabassum
aagai dahan par
jaag kar jo khoya
so ke pa liya hai
ik hasin duniya
me ghar bana liya hai
har khushi yahan hai
zindagi yahan hai
baat hai khwab ki
khwab hai faqat ik khwab...................
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 03:39:39 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer