khwaab-o-khyaal se

by @kaash on May 25, 2009, 12:52:35 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1197 times)
@kaash
Guest
Reply with quote
kuch nahi chahti qalam khwaab-o-khyaal se
kuch nahi chahti mahakti rut maah-o- saal se

shaam ke pehle peher me ye khushbu kaisi
kuch nahi chahti khumaari raat ke haal se

itminaan nahi milta aksar saya hi nahi dikhta
kuch nahi chahti nazar palkon ki chaal se


humne chaha hai kitna neendon ko hi maalum hai
kuch nahi chahti sahar chasm-e-nam ke malaal se


ejaad kia ya maqaam-e-ishq khud hi kayam ho gaya
kuch nahi chahti beqaraari khamoshi ke sawaal se


husn pe nahi marte ye kahan kab tak saath dega
kuch nahi chahti sada-e-dhadkan unke zavaal se


koi aarzoo nahi par poshida saanson me bechainiyan
kuch nahi chahti bekaraari khud ke bahaal se



-KAASH-




Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
khyaal aya by ~*heartbreaker*~ in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 ... 5 6 »
khwaab ko khwaab samajh ke khwaab ki tauheen na kar... by diya786 in Shairi - E - Zindagi
TERA KHYAAL... by Farah Aziz in Shayri for Khumar -e- Ishq
KHYAAL..(K_A) by khamosh_aawaaz in Miscellaneous Shayri
Khwaab-o-khyaal ki duniya isliye basaata hun by @Kaash in Shayari -e- Husn
deepika_divya
Guest
«Reply #1 on: May 25, 2009, 01:55:25 PM »
Reply with quote
beautiful written Kaash Ji.. bahoot bahoot sunder sabdo mea apne khwabo ko byan kiya hai.. superb!
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #2 on: May 25, 2009, 09:20:51 PM »
Reply with quote
beautiful creation kaash ji,very very nice. Applause Applause Applause
Logged
SARVESH RASTOGI
Guest
«Reply #3 on: May 26, 2009, 02:19:57 AM »
Reply with quote
Bahut khoobsurat Kaash Ji
SARVESH RASTOGI
Logged
Roja
Guest
«Reply #4 on: May 26, 2009, 02:20:59 AM »
Reply with quote
kuch nahi chahti qalam khwaab-o-khyaal se
kuch nahi chahti mahakti rut maah-o- saal se

shaam ke pehle peher me ye khushbu kaisi
kuch nahi chahti khumaari raat ke haal se

itminaan nahi milta aksar saya hi nahi dikhta
kuch nahi chahti nazar palkon ki chaal se


humne chaha hai kitna neendon ko hi maalum hai
kuch nahi chahti sahar chasm-e-nam ke malaal se


ejaad kia ya maqaam-e-ishq khud hi kayam ho gaya
kuch nahi chahti beqaraari khamoshi ke sawaal se


husn pe nahi marte ye kahan kab tak saath dega
kuch nahi chahti sada-e-dhadkan unke zavaal se


koi aarzoo nahi par poshida saanson me bechainiyan
kuch nahi chahti bekaraari khud ke bahaal se



-KAASH-

Beautiful presentation... @Kaash ji.. Applause Applause Applause
Logged
Talat
Guest
«Reply #5 on: May 26, 2009, 11:22:39 AM »
Reply with quote
Bohot khoob Kaash Ji... Bohot achcha likha hai aapne, humesha ki tarah !
Logged
aaina
Guest
«Reply #6 on: May 26, 2009, 12:54:01 PM »
Reply with quote
bhut khoob kaash bhut acha likha hai dear...
Logged
salil2002
Guest
«Reply #7 on: May 27, 2009, 10:37:17 AM »
Reply with quote
kuch nahi chahti qalam khwaab-o-khyaal se
kuch nahi chahti mahakti rut maah-o- saal se

shaam ke pehle peher me ye khushbu kaisi
kuch nahi chahti khumaari raat ke haal se

itminaan nahi milta aksar saya hi nahi dikhta
kuch nahi chahti nazar palkon ki chaal se


humne chaha hai kitna neendon ko hi maalum hai
kuch nahi chahti sahar chasm-e-nam ke malaal se


ejaad kia ya maqaam-e-ishq khud hi kayam ho gaya
kuch nahi chahti beqaraari khamoshi ke sawaal se


husn pe nahi marte ye kahan kab tak saath dega
kuch nahi chahti sada-e-dhadkan unke zavaal se


koi aarzoo nahi par poshida saanson me bechainiyan
kuch nahi chahti bekaraari khud ke bahaal se



-KAASH-





bahut achche kaash..........khoobsurat khayal hai yaar aapke........aage bhi oonhe shabdon mein dhaal kar likhte rahiyega
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #8 on: May 27, 2009, 10:50:44 AM »
Reply with quote
Mashallah Bohat Achcha Kalaam Likha Hai Aapne Kaash Ji,.
Logged
salil2002
Guest
«Reply #9 on: May 27, 2009, 10:59:57 AM »
Reply with quote
shukriya Salil aap bhi kuch likhte dear
dear ishq mein likhna bahut mushkil hai mere liye par koshish karta hoon


ooske honthon kii surkhi bayaan karti hai jo
mere lab ooski is kahaani ke raazdaar hain
kucch kehna chahti hai palkein magar oothti nahin
haya k bojh se simti huyi uski aankhon mein izhaar hain
main jaanta hoon kii kehna muskil hai, uska haal-e-dil
magar mujhe bhi sirf ab TEEN lafzon kii darkaar hai
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #10 on: May 28, 2009, 06:05:05 AM »
Reply with quote
Wah Kaash Mere Dost.. Kamaal Kar Diya.. Behad Khubsoorat Rachna Pesh Ki Hai.. Behad Pyaar Bhare Ehasaas Bikhere hain aapne yahan.. Daad Kubool Karen.. Applause Applause


**~** Mann **~**
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 04:54:13 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.131 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer