{{Kisi Din}}

by angel4u on February 17, 2009, 05:02:53 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1026 times)
angel4u
Guest
Reply with quote
Chehre Pe Mere Zulf Ko Failao Kisi Din,
Kya Roz Garje Ho Baras Jao Kisi Din,

Raazon Ki Tarah Utro Mere Dil Mein Kisi Shab,
Dastak Pe Mere Haath Ki Khul Jao Kisi Din,

Pedon Ki Tarah Husn Ki Baarish Mein Naha Lun,
Badal Ki Tarah Jhoom Ke Gir Jao Kisi Din,

Khushbu Ki Tarah Guzrun Main Dil Ki Gali Se,
Phoolon Ki Tarah Mujhpe Bikhar Jao Kisi Din,

Phir Haath Ko Hairat Mile Band-E-Qaba Ki,
Phir Lutf-E-Shab-E-Wasl Ko Dohrao Kisi Din,

Guzrein Jo Mere Ghar Se To Ruk Jaayein Sitare,
Is Tarah Meri Raat Ko Chamkao Kisi Din,

Main Apni Har Ek Saans Usi Raatko De Dun,
Sar Rakh Ke Mere Seene Pe So Jao Kisi Din...



NM
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Kisi Ka... by Amit Janglan in Shayri-E-Dard
2004 , GUZAR GAYA ! KISI KA KIA GAYA , OR KISI KA KIA GAYA ? by SADIQA JAWED in Shairi - E - Zindagi
Khuda kisi ko kisi pe fida na kare by urs4evasomdev in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
mahobat kisi kisi ko milti hai by jochahohojayein in Shayri-E-Dard
Dil kya kare...jab kisi ko kisi se pyar ho jaaye. by bauljee in Shayri-E-Dard
Pooja
Guest
«Reply #1 on: February 17, 2009, 05:04:31 PM »
Reply with quote
wow kaya baat hai Anhel... bahoot he achi kavita apne hum sab ke sath share ki hai... bahoot khoob!! ek ek lafz khumar main dooba hua!!! Good sharing!!
Logged
salma786
Guest
«Reply #2 on: February 17, 2009, 05:28:24 PM »
Reply with quote
Bahoot hi achi sharing Huzena Usual Smile
Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3 on: February 17, 2009, 05:47:14 PM »
Reply with quote
waah Angel ji bahut hi achi n touchy composition .... Applause Applause

thanks 4 sharing....

Thanks @kash..
Logged
angel4u
Guest
«Reply #4 on: February 17, 2009, 05:47:40 PM »
Reply with quote
Bahoot hi achi sharing Huzena Usual Smile
Clapping Smiley Clapping Smiley


thanks dearo...
Logged
aaina
Guest
«Reply #5 on: February 18, 2009, 06:40:31 AM »
Reply with quote
Chehre Pe Mere Zulf Ko Failao Kisi Din,
Kya Roz Garje Ho Baras Jao Kisi Din,

Raazon Ki Tarah Utro Mere Dil Mein Kisi Shab,
Dastak Pe Mere Haath Ki Khul Jao Kisi Din,

Pedon Ki Tarah Husn Ki Baarish Mein Naha Lun,
Badal Ki Tarah Jhoom Ke Gir Jao Kisi Din,

Khushbu Ki Tarah Guzrun Main Dil Ki Gali Se,
Phoolon Ki Tarah Mujhpe Bikhar Jao Kisi Din,

Phir Haath Ko Hairat Mile Band-E-Qaba Ki,
Phir Lutf-E-Shab-E-Wasl Ko Dohrao Kisi Din,

Guzrein Jo Mere Ghar Se To Ruk Jaayein Sitare,
Is Tarah Meri Raat Ko Chamkao Kisi Din,

Main Apni Har Ek Saans Usi Raatko De Dun,
Sar Rakh Ke Mere Seene Pe So Jao Kisi Din...



NM


bhut khoobsurat ghazal hai ye amjad islam amjad sahab ki

isi bher mai unhi ki ek aur ghazal.........

khud apne liyen baith ke sochenge kisi din
youn hai ki tujahy bhool ke dekhenge kisi din

jaati hai kisi jheel ki gehraaii kahan tak
aankho mer teri doob ke daikhenge kisi din

khushboo se bhari shaam se jugnoo ke qalam se
ek nazm tere waaste likhenge kisi din

soyenge terii aankh ki khalvat mai kisi raat
saye mai terii zulf ke jagenge kisi din
Logged
angel4u
Guest
«Reply #6 on: February 18, 2009, 04:28:31 PM »
Reply with quote
wow kaya baat hai Anhel... bahoot he achi kavita apne hum sab ke sath share ki hai... bahoot khoob!! ek ek lafz khumar main dooba hua!!! Good sharing!!

Thanks a lot Pooja di..
aapne taarif ki achha laga... Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #7 on: February 18, 2009, 04:29:25 PM »
Reply with quote
bhut khoobsurat ghazal hai ye amjad islam amjad sahab ki

isi bher mai unhi ki ek aur ghazal.........

khud apne liyen baith ke sochenge kisi din
youn hai ki tujahy bhool ke dekhenge kisi din

jaati hai kisi jheel ki gehraaii kahan tak
aankho mer teri doob ke daikhenge kisi din

khushboo se bhari shaam se jugnoo ke qalam se
ek nazm tere waaste likhenge kisi din

soyenge terii aankh ki khalvat mai kisi raat
saye mai terii zulf ke jagenge kisi din
  Applause Applause
bahut khoob aslam ...
Logged
aaina
Guest
«Reply #8 on: February 19, 2009, 06:52:45 AM »
Reply with quote
  Applause Applause
bahut khoob aslam ...

thnxxx angel ji.........................
Logged
aaina
Guest
«Reply #9 on: February 21, 2009, 11:57:43 AM »
Reply with quote
ashq aankh mai phir atak raha hai
kankar sa koi khatak rha hai

mai us ke khyaal se gurai.nza
wo meri sada jhatak rha hai

tehreer usi ki hai, magr dil
khat padtay huwai atak rah hai

hain phone pe kis ke sath batain
aur zahan khan bhatak rha hai

sadiyon se safr mai hai samndar
sahil pe thakan tapak rha hai

ek chaand saleeb e shaaq e gul par
bali ki tarhan latak raha hai   (parveen shakir)
Logged
rawattanha
Guest
«Reply #10 on: February 21, 2009, 12:01:05 PM »
Reply with quote
good work angl and aania ji keep wirting.
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 08:12:23 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.101 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer