Kisi Khush Nigha Si Aankh Nay (03453400042)

by 1st_love on December 01, 2007, 10:29:21 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 4300 times)
1st_love
Guest
Reply with quote
Kisi Khush Nigha Si Aankh Nay


Kisi Khush Nigha Si Aankh Nay
Yeh Kamal Mujh Pay Karam Kia...!
Meri Loh-E-Jaan Pay Raqam Kia
Woh Jo Ek Chaand Sa Harf Tha
Woh Jo Ek Shaam Sa Naam Tha...!
Woh Jo Aik Phool Si Baat Phirti Thi Dar Badar
Ussay Gulistaan Ka Pata Diya...!
Mera Dil K Shehar-E-Milaal Tha Ussay Roshni Main Bassa Diya
Meri Aankh Aur Khaab Ko Kisi Aik Pal Main Beham Kia
Merey Aainoon Pay Gard Thi Mah-O-Saal Ki
Woh Uttar Gaye.......!
Woh Jo Dhundh Thi Merey Chaar Soo Woh Bikhar Gaye
Sab Hi Roop Aaks-E-Jamaal K
Sab Hi Khaab Shaam-E-Wisaal K
Jo Ghubaar Waqt Main Sar Basar Thay Attay Howay
Woh Chammak Uthay......!
Woh Jo Phool Raah Ki Dhool Thay
Woh Mehak Uthay.....!
Lay Saath Rang Bahar K
Chala Main Jo Sang Bahar K
Tu Sajja Diye Sab Hi Raastay
Kisi Dast Sho'abda Saaz Nay
Merey Naam Par Merey Waastay
Meri Bay Ghar Ko Panah Di
Meri Justaju Ko Nishaan Diya
Jo Yaqeen Say Bhi Haseen Hai
Mujhay Aik Aisa Ghumaan Diya
Woh Jo Reza Reza Wajood Tha
Ussay Ek Nazar Main Baham Kia
Kisi Khush Nigha Si Aankh Nay
Yeh Kamal Mujh Pay Karam Kia...!


Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Khuda kisi ko kisi pe fida na kare by urs4evasomdev in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
Kisi Bhi Aankh Mein Nami Nahi Hogi. by majid in Shayri-E-Dard
Kisi ki aankh se sapne chura kar kuch nahi milta by pkgoyal in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon (Bahadur Shah Zafar)...!! by Talat in Ghazals « 1 2  All »
Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon........Rishi by Rishi Agarwal in Share: Poetry of Pain
1st_love
Guest
«Reply #1 on: December 01, 2007, 10:30:26 PM »
Reply with quote
Bus yahi soch key thodi si bacha rakhi hai

Humney ek sham charago sey saja rakhi hai,
shart logo ney hawayo sey laga rakhi hai.


Shayad aajaye koi humsey bhi zyada pyasa,
bus yahi soch key thodi si bacha rakhi hai


Hum bhi anjaam ki parwah nahi kartey yaro,
jaan hamney bhi hatheli pey utha rakhi hai


Tum hamey katl to karney nahi aye lekin,
aastino mein yeh kya cheez chupa rakhi hai.

Logged
1st_love
Guest
«Reply #2 on: December 01, 2007, 10:31:03 PM »
Reply with quote
YEH AJEEB MERI MUHABTAIN

Koi puch lay to main kia kahoon

yeh to jany kasi

sadi sadi ki azioaton ka giaan hai

yeh ajeeb meri muhabtain

koi puch lay to main kia kahoon

yeh ajeeb mery Ranj_o_alam

yeh naseeb sang_e_siaah per

mery zakhm zakhm dil_o_nazar

yeh ajeeb meri muhabtain

koi puch lay to main kia kahoon?

Logged
1st_love
Guest
«Reply #3 on: December 01, 2007, 10:31:46 PM »
Reply with quote
mayra saathi shaam ka taara

dukh ki leher ne chheRa hoga
yaad ne kanker phaiNka hoga

aaj to mayra dil kehta hai
tu is waqt akayla hoga

mayray choomay huay haathoN se
auroN ko khat likhta hoga

bheeg chaleeN ab raat ki palkein
tu ab thak ker soya hoga

rayl ki gehri seeTi sun ker
raat ka jangal gooNja hoga

sheher k khaali station per
koi musaafir utra hoga

aaNgan mein phir chiRyaaN boleeN
tu ab so ker uTTha hoga

yaadoN ki jalti shabnam se
phool sa mukhRa dhoya hoga

moti jaisee shakal bana ker
aaeinay ko takta hoga

shaam hui ab tu bhi shayed
apnay gher ko lauTa hoga

neeli dhundli khaamoshi mein
taaroN ki dhun sunta hoga

mayra saathi shaam ka taara
tujh se aaNkh milaata hoga

shaam k chaltay haath ne tujh ko
mayra salaam to bhayja hoga

pyaasi kurlaati kooNjooN ne
mayra dukh to sunaya hoga

main to aaj bahut roya hooN
tu bhi shayed roya hoga

nasir tayra meet puraana
tujh ko yaad to aata hoga

Logged
1st_love
Guest
«Reply #4 on: December 01, 2007, 10:32:26 PM »
Reply with quote
Yaad main kia tha per aab najnay kia ho gaya hon
Aainy main shaka dekhy ek zamana ho gaya
Khatam hoi diary, girny lagy patty Riaz
Aa gaya mah-e-december saal boorha ho gaya
"""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""
"""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""
Aangan main utar aai hy manoos si khushbo
Yadon ka azdaham hy december aan puhancha hy
Khamoshion ka raaj hy khizan taak main hy
Udaasi bhi buhat aam hy december aan puhancha hy
Tery aany ki umeed bhi ho chali ma'adoom
nay baras ka ehtamam hy december aan puhancha hy
Khunak rut main tanhai bhi chukhat py khari hy
Jaary ki udaas shaam hy december aan puhancha hy
""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""
""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""
Tu hi pehlo main nahi werna december main wahin
Dhoop main beth ker akhbar perha kerty hain
Ger tujhy chhorny ki sooch bhi aay dil main
Hum to khud ko bhi wahin chhor dia kerty hain
""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""
""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""
Udaas ratoon main , garam coffee ki talkhion main
Woh kuch ziada hi yaad aata hy serdion main
Logged
1st_love
Guest
«Reply #5 on: December 01, 2007, 10:33:16 PM »
Reply with quote
MAAF KAR MUJH KO * -
 

 
 

ZULM SARAY HI RAWA RAKH NA JUDAI DE MUJHE,
PYAR BAS APNA LUTA DE NA KHUDAI DE MUJHE,
MEIN IS DUKH MEIN AUR JI NHI SAKTI ,
MAAF KAR MUJH KO MERI JAAN REHAI DE MUJHE,
JANTI HOUN TERE DIL MEIN MERI DARA NHI HAI,
BHANE BANA K HAR GIZ NA SAFAI DE MUJHE,
JANE KIS MORR PE AA POUNCHE HEIN HUM,
JIS TARAF DEIKHOUN FAQAT TU HI DIKHAI DE MUJHE ,
MUJH SE TU DOOR BOHAT DOOR JACHUKA HAI MAGAR,
TERI MAANOOS SADA AB BHI SUNAI DE MUJHE,
MEIN IK MOOM K PUTLE SE HOI HOUN PATHAR ,
KYA HUA HAI MUJH KO ZARA TU HI AGAAHI DE MUJHE,
IK FAQAT PYAR HI TO MANGA THA,
KAB KAHA THA SARI KHUDAI DE MUJHE,
AB TUJHE DIL SE BHULA KAY HUMEIN JENA HOGA,
AB APNI HAR YAAD SE AYE DOST REHAI DE MUJHE,
IK TERI DOSTI MEIN YE HAAL HUA HAI MERA,
TERI BAATOUN K SIWA KUCH NA SUNAI DE MUJHE,
CHALO AB PYAR K QISAY KO YAHEIN KHATAM KAREIN,
AB NA DIL K KISI JAZBE KI SACHAI DE MUJHE
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #6 on: December 02, 2007, 04:36:07 AM »
Reply with quote
Nice Work 1st love... Usual Smile
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #7 on: December 02, 2007, 06:52:29 AM »
Reply with quote
Really a very very very nice work 1st_Love...
Every Post is a Masterpiece in Itself...

Keep It Up... and Keep Sharing your thoughts with us...
Logged
Amant
Guest
«Reply #8 on: December 02, 2007, 07:11:06 AM »
Reply with quote
Hi
Logged
salman03462005518
Guest
«Reply #9 on: December 23, 2007, 03:48:33 PM »
Reply with quote
Waqat Se Waqat Ki Kya Shikayat


Waqat Se Waqat Ki Kya Shikayat Karein
Waqat Hi Na Raha Waqat Ki Baat Hai

   


Uss Ney Dekha Muje Ussney Chaha Muje
Ussnay Thukra Diya Waqat Ki Baat Hai

   

 

Koi Mushkil Parri Koi Kaam Aa Gaya
Zehan Mein Usskay Jo Mera Naam Aa Gaya

   


Baad Muddat Ke Woh Doston Ki Tarrah
Hum Se Huss Ke Milla Waqat Ki Baat Hai

   

 

Zindagi Hum Say Anjaan Tu Ho Gai
Ek Rishtay Ki Pehchaan Tu Ho Gayi

   


Koi Chahat Na Thi Bas Murrawatt Thi
Woh Khud KO Samjha Liya Waqat Ki Baat Hai

   

 

Apna Rang-e-Muhabbat Hai Sab Se Juda
Koi Pochhay Tu Rashid Kahon Or Kya

   


Jiss ko Payaa Nahi Ussko Kho Ker Bhi Main
Kiyon Ussi Ka Raha Waqat Ki Baat Hai
03462005518
Logged
salman03462005518
Guest
«Reply #10 on: December 23, 2007, 03:49:11 PM »
Reply with quote
Toot Jaate hain

 

 

Toot jaate hain sabhi rishte mager

Dil se dil ka raabta apni jagah

Dil ko hai tujh se na milne ka yaqeen

Tujh se milne ki dua apni jagah

 

Mast nazron se dekh lenaa tha

Ager tamanna thi aazmane ki

Hum to behust youn hi ho jaate

Kya zaroorat thi muskurane ki

 

Chehrey per banawat ka gussa,

Aankhon say chalakta pyaar bhi hai,

Is shauq_e_ada ko kya kahiye

Inkar bhi hai iqraar bhi hai,

 

Kal mila waqt to zufain suljha doonga

Aaaj uljha hoon zara waqt ke sulajhne main

Yoon to sulajh jatee hain uljhee zulfain

Umar kat jati hai waqt ke sulajhe main

 

Dil ko manana gar hota aaasaaan

Na karta kisi ko yoon ye pareshaan

Tanha na rahta bhari mehfil main

Na hoti woh halat jo ho na bayaan

 

Khudaa jab husn deta hai

Nazaakat aaa hee jati hai

Kadam chun chun kar rakhti ho

Kamar balkha he jaati hai

 
03462005518
Logged
salman03462005518
Guest
«Reply #11 on: December 23, 2007, 03:49:30 PM »
Reply with quote
Aao yaadon kei phool saja lei hum
kabhi tum yaad aao humhe kabhi yaad tumhe aaye hum

dil ki chaukhat per ghaavon nei kiye hain basere
kabhi sahlaon tum kabhi marham lagaaye hum

yuin na milna humse jaise milte hon kisi ajnabi sei
kabhi lagaana gale humko kabhi pahnaaye haar baahon
kei hum

mere dil per aaj bhee hain yaadein un mulaqaaton ki
kabhi aana tera dahleej per meri kabhi pardon se
dekhte theh hum

aye sanam na kate ab injezaar kei yeh ghariyan
yaadon kei phoolon se kaise zindagi gujaare hum

 03462005518
Logged
salman03462005518
Guest
«Reply #12 on: December 23, 2007, 03:57:45 PM »
Reply with quote
surk jode ki tabo taab ho mubaarak tujhe
teri aankho ka nayaa khwab ho mubarak tujhe

yeh mere sher mere aakhri nazraane hain..
me un apno me hun jo aaj se begaane hain

Meine Jazbaat Nibhaayen hain Usoolon ki Jageh..
Apne Armaan Piro Laaya Hun Fulon ki jageh...

185.
Mein onse keh raha hoon mujhe yaad kijiye...
Kabhi to sapnon mein apne bulaya kijiye...
kuch iss tarha se humko yaad kijiye...
jab yaad kijiye to hans diya kijiye...

doosron par agar app inayat kijiye...
to hum par bhi ek karam kijiye...
ik wade_e ulfat hum se bhi kijiye...
jhoota he sehi maghar wada to kijiye...

na yoon hum pe itna sitam kijiye...
na yoon hum se nazrain chooraya kijiye...
Agur kuch na ho sake tu itna tu kijiye...
tanhaiyon mein apni mujhe pukara kijiye...

03462005518
Logged
salman03462005518
Guest
«Reply #13 on: December 23, 2007, 03:58:24 PM »
Reply with quote
Aansoo May Na Dhoondna Humey,
Dil May Hum Bas Jaayenge,

Tamanna Ho Agar Milne Ki,
To Band Aankhon May Nazar Aayenge.

Lamha Lamha Waqt Guzer Jaayenga,
Chund Lamhoo May Daaman Choot Jaayega,

Aaj Waqt Hai Do Baatein Kar Lo Humse,
Kal Kya Pata Kon Apke Zindagi May Aa Jayega.
03462005518
Logged
salman03462005518
Guest
«Reply #14 on: December 23, 2007, 03:59:01 PM »
Reply with quote
ghar se beghar kar gayeen karwaten naseeb ki
dur kitni ho gayeen jo manzeelen kareeb thein..

rafta rafta aagayeen. do dilon me duriyan
kal mohabbat thi jahaan.. aaaj hain majburiyaan

aaj kamil ho gayeen.. aatishen rakeeb ki
dur kitni ho gayeen jo manzeelen kareeb thein..

tujko ai dil milgayaa, ab wafaaon ka sila
kardiya kaatib ne aakhir aaj apna faisla...

dil ke tukde kar gayeen thokren habeeb ki
dur kitni hogayeen jo manzilen kareeb thein


jaane kyon lagti hai dil ko har khushi ajeeb si
dur kitni hogayeen jo manzilen kareeb thein

03462005518
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 07:59:07 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.118 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer