Kisi Khush Nigha Si Aankh Nay (03453400042)

by 1st_love on December 01, 2007, 10:29:21 PM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 4299 times)
1st_love
Guest
«Reply #15 on: May 18, 2008, 08:42:43 AM »
Reply with quote
Galat andaz_e_nazroon se kion dekha
Safar main sath gar chalna nahi tha

Dhikaye the kion jhothe khwab mujh ko
Mere khwaboon main gar rehna nahi tha

Teri janib se jo kuch bhi mila hai
Yakeen kar is ka to socha nahi tha

Vazahat ab koei mat paish karna
Tu apne pyar main saccha nahi tha...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Khuda kisi ko kisi pe fida na kare by urs4evasomdev in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
Kisi Bhi Aankh Mein Nami Nahi Hogi. by majid in Shayri-E-Dard
Kisi ki aankh se sapne chura kar kuch nahi milta by pkgoyal in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon (Bahadur Shah Zafar)...!! by Talat in Ghazals « 1 2  All »
Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon........Rishi by Rishi Agarwal in Share: Poetry of Pain
1st_love
Guest
«Reply #16 on: May 18, 2008, 08:43:23 AM »
Reply with quote
Chalo phir milengey Kisi Shab
Raat ke Aanchal ku Ourhey
Fasloon Sey Moun Morey
Taroon Ke Neelgoo Roshni Mein
Chand Ke ujlee Chandnee Mein
Aansoon Key Sahil Per
Phir sey Rakhe-e-ngey Qadam
Hathoon Mein Haath Thame
Ankhoon he Ankhoon Mein,
Safar kar lengey
Kaee Manzileen,Kaee Rastay
Aur Koi Nahee Bus,
Yeh Khamooshi Mein Aur Tum
Woh Unkhaee Se Bateein
Umad ayeingey Phir sey
Tere Bheege Palkoon per
Hawa Bus Ruk Se jayegee
Aarzooein Phir Sey Machl Jayeingee
Saansien bus tehr see jayeingee
Iss tootatey Khwab Kee taab Na la kar
Aankhein Phir sey 'Chalk' jayeingee
Sada phir bhi na aye gee
Khamooshi Phir Bhi reh jayegee
Aansoon Key Sahil Per
Phir sey Rakhe-e-ngey Qadam
Chand Bhi Badal Ke Oot Sey
Hum Ku jhankta Hu ga
In berham Waqt ke Maujoon Mein
Dobta Dekha ga Hum Ku
Chandnee Bhi Laut jayegee
'Tu' phir sey Duur Buhat Duur Chale jayegee
Beet jayege Sare Raat Isee safr Mein
'Aankh' Khule gee Aur yeh Kwab nagri

03453400042
Logged
syednaami
Guest
«Reply #17 on: May 18, 2008, 08:45:55 AM »
Reply with quote
Yeh Telenor number ka kya chakkar hai dost?  Winking
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 07:40:37 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.132 seconds with 20 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer