majid
Guest
|
paise ki chamak ke aage dil dikhta nahi duniya ke baazar mein aanshoo bikta nahi
rait ke gharonde ki kya bisaat yahan haseen kitna bhi ho khawaab tikta nahin
aandhiyan kitni hi chali zamane mein magar deepak teri aarzoo ka kabhi bujhta nahin
jab se ibaadat ki hai teri chahat ki yeh dil kahin aur ab bhatakta nahin
shamma ki tarah ham dil jalaye jayenge pathar dil to phir bhi pighalta nahin
sacha pyaar bejubaan hota hai yeh baat kyun koi samajhta nahin
N/M
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
pinky
Guest
|
|
«Reply #1 on: December 16, 2006, 08:26:08 PM » |
|
Wah bahut badhiya..
Samajh jaaye koi khamoshi jo Pyaar ki Duniya mein itna shor kyun ho?? Bezuban jazba hai mohabbat.. Mehsus kar le agar zamana to Itni nafrat hi kyun ho??
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Aryaan
Guest
|
|
«Reply #2 on: December 17, 2006, 03:04:22 AM » |
|
Good One Majid & Nice Reply Pinky...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
pinky
Guest
|
|
«Reply #3 on: December 17, 2006, 07:45:05 PM » |
|
Kabhi to kaha karo.. Bahut ganda hai pinky.. kharab likha hai he he he :lol:
|
|
|
Logged
|
|
|
|
FAREE
Guest
|
|
«Reply #4 on: December 17, 2006, 08:11:05 PM » |
|
Nice One Majid n Nikki ji
Kuch Humari Traf se
Peete rahe teri hi khatir ghont kadve hazar baar Zindzgi se nahi magar hare tere pyaar se baar-baar
|
|
|
Logged
|
|
|
|
paani
Guest
|
|
«Reply #5 on: December 18, 2006, 06:09:23 AM » |
|
paise ki chamak ke aage dil dikhta nahi duniya ke baazar mein aanshoo bikta nahi
rait ke gharonde ki kya bisaat yahan haseen kitna bhi ho khawaab tikta nahin
aandhiyan kitni hi chali zamane mein magar deepak teri aarzoo ka kabhi bujhta nahin
jab se ibaadat ki hai teri chahat ki yeh dil kahin aur ab bhatakta nahin
shamma ki tarah ham dil jalaye jayenge pathar dil to phir bhi pighalta nahin
sacha pyaar bejubaan hota hai "majid" yeh baat kyun koi samajhta nahin Majid... yaar pe kurbaa hai sabi... kya khu likh diya hai aapne..
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #6 on: December 18, 2006, 10:06:12 AM » |
|
NICE MAJID ...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
pinky
Guest
|
|
«Reply #7 on: December 18, 2006, 07:16:52 PM » |
|
bohat bohat shukariya faree and paani saheb....
umeedon ke chiraag raahon mein jalaye rakhna raat lumbi hi sahi hauslon ko jagaye rakhna
kisi ko muqamal jahan milta nahin duniya mein mohabbat ki tasveeron se ghar ko sajaye rakhna
churane wale aankhon se kaazal bhi chura lete hai hasinaon se milo to nazron ko jhukaye rakhna
khanakte hue jaam aksar chalak bhi jaate hai hansho khul kar magar ashkon ko chupaye rakhna
jab aate hai aatish-fishaan* kohraam macha dete hai gam ke angaron ko seene mein dabayein rakhna
patjhar mein gir jaye wo patte ham nahin "majid" muflisi ke daur mein bhi asmat* ko bachaye rakhna bahut badhiya ji Majid-E-Mast!!!! he he he :lol:
|
|
|
Logged
|
|
|
|
pinky
Guest
|
|
«Reply #8 on: December 19, 2006, 06:45:59 PM » |
|
Wo kya hai na ki tum itna achcha likhte ho ki fir main kuch likh hi nahi paati hoon.. hehe he :lol:
koshish karti hoon ji..!!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
pinky
Guest
|
|
«Reply #9 on: December 19, 2006, 06:58:48 PM » |
|
Dil ki iss uljhan ko koi samajhta nahi.. Kya sochti hain dhadkane dil bhi samajhta nahi..
Bas tu hi tu rehta hai har khayal mein mere.. Raaz-E-Ulfat ab tak suljha nahi..
Har aahat par hota hai tere aane ka guman Iss beqarai ko shayad tu bhi samjha nahi..
Teri hi saanso se hain Wabasta saanse meri Tu Meri mohabaat se anjaan to nahi..
Kab tak Yun hi kehni hogi har baat mujhe Khamosh lafzon ko kyun tu samajhta nahi..??
|
|
|
Logged
|
|
|
|
waheed_rose2004
Guest
|
|
«Reply #10 on: December 19, 2006, 07:02:16 PM » |
|
bahot khoob Pinky.........Majid.........
|
|
|
Logged
|
|
|
|
pinky
Guest
|
|
«Reply #11 on: December 19, 2006, 07:07:26 PM » |
|
Thanx ji...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
pinky
Guest
|
|
«Reply #12 on: December 20, 2006, 08:05:33 PM » |
|
hmm..sahi kaha hai..
Darr to lagta hai kahin fir koi Raahon mein dil ki Mujhe akela na chhod jaaye..
Mohabbat karne se ghabrata hai dil,phir koi pyar ke naam par dhokha na de jaaye..
Par ek yakeen sa dil ko hota hai tujhe dekh kar,sochti hoon Shayad tera saath mujhe mil hi jaaye..
Na bhi ho iqraar-e-mohabbat, Khamosh zuban ki baatein bhi jaane Kaise mera dil samajh jaaye..
Kyun na hum iss rishte ko aisa koi mod de dein ke mere dil mein Teri dhadkan hamesha ke liye utar jaaye..
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ANKUR_CRAZY
Guest
|
|
«Reply #13 on: December 24, 2006, 08:10:37 PM » |
|
bahut acche majid bhai...
Kaash vadon ka matlab wo samajhte, Kaash khamoshi ka matlab wo samajhte, Nazar milti hai hazaron nazron se, Kaash meri nazron ka matlab wo samajhte
NM
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Shihab
Yoindian Shayar
Rau: 27
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:29 days, 4 hours and 51 minutes.
Maut To Ek Shuruaat Hai...
Posts: 2082 Member Since: Dec 2006
|
|
«Reply #14 on: December 30, 2006, 12:15:59 PM » |
|
Dushwariyon se aajmaish ka silsila rahe har thokar par seene mein badhta hausla rahe
rukta nahin waqt kabhi kisi ke intezaar ko jaanib-e-manzil badhta tera kaafila rahe
najdikiyaan gar badhe to ulajhne ka hai khatra rishton ke darmiyaan bhi jara faasla rahe
khushiyan kharidi ja sakti hai choti si kamaai mein imaan kar gar usmein pasina mila rahe
dushmani ne dil ke darwaje band kar diye mana dosti ke liye koi to Raasta khula rahe
dil-e-sehra mein naumeedi ki kitni aandhiyan chale "HumDum" koshish karo umeed ka koi gul khila rahe
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|