KOI ADA NAHI.......Anahita

by Anahita on April 19, 2012, 09:26:00 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 577 times)
Anahita
Guest
Reply with quote
Koi Ada Naheen Mujhme Unhe Rijhane Ke liye,
    Bas Unki Chahat se Nikharti hu, Sawarti Hoon.
Unki Wafa Ki Shama Se Roshan Ho Rishta Hamara,
   Yahi Soch Kar Ummidon Ke Andhere Se Guzarti hoon.
Janti Hu ki Unhe Mere Liye Waqt Naheen,
    Fir Bhi Har Pal Unka Intezar Karti Hoon.
Apne Hi haathon Se Ashq Pochh Kar sambhal leti hoon Khud Ko,
   Jab Bhi Unke Diye Zakhmo Se Toot Kar Bikharti Hoon.
Unki Bewafai Ne zindagi Se koi lagav Bhi na Chhoda,
  Jane Kyun Fir Bhi Maut Se Darti Hoon.....!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Anahita says by Anahita in Shayri for Khumar -e- Ishq
Anahita says... by Anahita in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Anahita says. by Anahita in Shayri for Khumar -e- Ishq
Anahita Says.... by Anahita in Shayeri for Dard -e- Bewafai
YE SACH HAI KI......Anahita by Anahita in Shayeri for Dard -e- Bewafai
dolly
Guest
«Reply #1 on: April 19, 2012, 10:24:38 AM »
Reply with quote
bahut bahut khoob anahita.....
Logged
injured.warrior
Guest
«Reply #2 on: April 19, 2012, 06:51:10 PM »
Reply with quote
bahut khoob anahita ji...
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW
«Reply #3 on: April 19, 2012, 07:20:19 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause waah Anahita ji waah... jawaab nahi aapki lekhni ka... jitni taarif karun kam hai... badi khoobsurti se aapne apne dil ke ehsaaason ko pesh kiya hai aur bahut khoob kiya hai... bahut achcha likhte hain aap... yunhi likhte rahiye.....!!!

tumse duur hoke main aaj bhi tumhi ko yaad karta hoon,
jeeta hoon kehne ke liye, har roz kai baar marta hoon,

badi aasaani se tumne hamaari mohabbat ko bewafaa kaha,
main naasamajh aaj bhi bas tumhi pe aetbaar karta hoon,

ye aur baat hai ki main waqt nahi de paaya tumhe kabhi,
main is jahaan me sabse badh ke tumse pyaar karta hoon,

kuch waqt hi aisa tha aur kuch meri majburiyaan rahi,
lo main aaj meri har ek bhool ko sweekaar karta hoon,

kyun tum mujhe rijhaane ke liye sajti sanwarti ho,
jaana, main to tumhaari saadgi se pyaar karta hoon.....

*****HRIDAY*****
Logged
Anahita
Guest
«Reply #4 on: April 20, 2012, 08:38:28 AM »

Thank you hriday jee. Likhte to Aap bhi bahut khoob hain. Usual Smile
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW
«Reply #5 on: April 20, 2012, 11:20:16 AM »
Reply with quote
shukriyaa Anahita ji....!!!

Thank you hriday jee. Likhte to Aap bhi bahut khoob hain. Usual Smile
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 28, 2025, 02:01:23 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.102 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer