koocha ba koocha dar-badar kab se

by waheed_rose2004 on November 18, 2004, 05:28:28 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 966 times)
waheed_rose2004
Guest
Reply with quote
koocha ba koocha dar-badar kab se bhatuk raha hai dil
hum ko bhula ke rah wo apni dagar chala gaya
bharkaain meri piyaas ko aksar teri aankhain
sehra mera chehra hai samandar teri aankhain
phir kon bhala daad-e-tabussam unhain day ga
roain gi bohot mujh say bicher ker teri aankhain
bojhal nazar aati hain bazahir mujhay lakin
khulti hain bohot dil main uttar ker teri aankhain
ab tak meri yaadoon say mitaaye nahi mitta
bheegi huwi ik shaam ka manzar teri aankhain
mumkin ho to ik taza ghazal or bhi keh loon
phir orrh na lain khawaab ki chadar teri aankhain
yaan daikhtay rehna ussay acha nahi muhsin
wo kaanch ka paikar hai to patthar teri aankhain.............
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
BASTI BATI KOOCHA KOOCHA !!! by faiiz_76 in Shayri-E-Dard
Pooja
Guest
«Reply #1 on: November 18, 2004, 06:08:43 PM »
Reply with quote
wah bahoot khoob waheed_rose!!!!!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #2 on: November 19, 2004, 06:55:05 AM »
Reply with quote
Thanx Pooja...........
Logged
Miss Kismat
Guest
«Reply #3 on: November 19, 2004, 07:05:56 PM »
Reply with quote
Waqi Gubsurat...Keep it On...With Love Miss Kismat...
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #4 on: November 19, 2004, 07:31:00 PM »
Reply with quote
Quote from: "waheed_rose2004"
koocha ba koocha dar-badar kab se bhatuk raha hai dil
hum ko bhula ke rah wo apni dagar chala gaya
bharkaain meri piyaas ko aksar teri aankhain
sehra mera chehra hai samandar teri aankhain
phir kon bhala daad-e-tabussam unhain day ga
roain gi bohot mujh say bicher ker teri aankhain
bojhal nazar aati hain bazahir mujhay lakin
khulti hain bohot dil main uttar ker teri aankhain
ab tak meri yaadoon say mitaaye nahi mitta
bheegi huwi ik shaam ka manzar teri aankhain
mumkin ho to ik taza ghazal or bhi keh loon
phir orrh na lain khawaab ki chadar teri aankhain
yaan daikhtay rehna ussay acha nahi muhsin
wo kaanch ka paikar hai to patthar teri aankhain.............


Wow bahut Achchhe Waheed Bhai!! Very Nice!!

Unki Aankhein meri Aankhon mein mujhe Kaisi Lageen,
Kahne ko Dil to bahut Chaahe magar kahein kis se....!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #5 on: November 19, 2004, 08:52:49 PM »
Reply with quote
Nice AKS JI!!!
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #6 on: November 20, 2004, 06:03:40 AM »
Reply with quote
Shukriya ji!! Pooja ji!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #7 on: November 20, 2004, 04:17:30 PM »
Reply with quote
Quote from: "sharmaarunkumar"
Quote from: "waheed_rose2004"
koocha ba koocha dar-badar kab se bhatuk raha hai dil
hum ko bhula ke rah wo apni dagar chala gaya
bharkaain meri piyaas ko aksar teri aankhain
sehra mera chehra hai samandar teri aankhain
phir kon bhala daad-e-tabussam unhain day ga
roain gi bohot mujh say bicher ker teri aankhain
bojhal nazar aati hain bazahir mujhay lakin
khulti hain bohot dil main uttar ker teri aankhain
ab tak meri yaadoon say mitaaye nahi mitta
bheegi huwi ik shaam ka manzar teri aankhain
mumkin ho to ik taza ghazal or bhi keh loon
phir orrh na lain khawaab ki chadar teri aankhain
yaan daikhtay rehna ussay acha nahi muhsin
wo kaanch ka paikar hai to patthar teri aankhain.............


Wow bahut Achchhe Waheed Bhai!! Very Nice!!

Unki Aankhein meri Aankhon mein mujhe Kaisi Lageen,
Kahne ko Dil to bahut Chaahe magar kahein kis se....!


bahot touching words aap ne likha hai arun bhai,,,...bahot khoob.........

har dil main aitbaar ki shama roshan nahi hoti.
pyar ke liye zindagi kam nahi hoti.
khwahish par gar kisi ka zor nahi,
wasi khwahish dare khwahish kabhi kam nahi hoti......
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #8 on: November 20, 2004, 06:17:18 PM »
Reply with quote
Shukriya Waheed Bhai!!! very nice written!!!!!

Khud apni Moahabbat pe aitbaar hota to,
Yoon Udaas apni Mehfilein Nahin Hoteen!

Khwahishein hi Bataati hain Ishqq ke raaste,
Raaste Magar Kabhi Manzilein Nahin hoteen!

Hoti hai Mohabbat to gehraaiyon se Dil ki,
Dimaagon ki ismein Daleelein nahin hoteen!

Humein Pataa Kaise Chalti naraazgi Unki,
Mathe pe unke woh Tirchhi Lakeerein nahin hoteen!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #9 on: November 21, 2004, 05:47:53 AM »
Reply with quote
Quote from: "sharmaarunkumar"
Shukriya Waheed Bhai!!! very nice written!!!!!

Khud apni Moahabbat pe aitbaar hota to,
Yoon Udaas apni Mehfilein Nahin Hoteen!

Khwahishein hi Bataati hain Ishqq ke raaste,
Raaste Magar Kabhi Manzilein Nahin hoteen!

Hoti hai Mohabbat to gehraaiyon se Dil ki,
Dimaagon ki ismein Daleelein nahin hoteen!

Humein Pataa Kaise Chalti naraazgi Unki,
Mathe pe unke woh Tirchhi Lakeerein nahin hoteen!


wow arun bhai..........ek choti se sher humari taraf se.........

be aitbar waqt pe jhunjhla ke ro pade
kho ker kabhi tujhey to kabhi paa ke ro pade

khushian kahan hamare pass rahin
bahir kabhi hanse to ghar aa ke ro pade...............
Logged
Pooja
Guest
«Reply #10 on: November 21, 2004, 06:27:58 AM »
Reply with quote
wah!!!
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #11 on: November 21, 2004, 07:14:44 AM »
Reply with quote
wowow!! Superb!!! Bahut Khoob!!! Waheed Bhai!!!
Shukriya Pooja ji!!!!
Logged
nishita
Guest
«Reply #12 on: November 21, 2004, 09:08:17 AM »
Reply with quote
waaaah all too good
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #13 on: November 21, 2004, 09:20:11 AM »
Reply with quote
Shukriyaaaa! ji!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #14 on: November 21, 2004, 03:51:59 PM »
Reply with quote
Thanx Pooja......Nishita.........Arun Bhai.............
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 09:41:17 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.106 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer